Monday, December 25, 2006

Mastana piye ja yun hi mastana piye ja – Akhtar Shirani



mastana piye ja yun hi mastana piye ja
paimana to kya cheez hai maikhana piye ja
kar garq may-o-jam gam-e-gardish-e-ayyam
ab ae dil-e-nakam tu maikhana piye ja


may-noshi ke aadab se aagah nahi tu
jis tarah kahe saqi-e-maikhana piye ja


is basti mein hai vahashat-e-masti hi se hasti
divana ban aur bada-e-divana piye ja
maikhane ke hangamen hain kuch der ke mehaman
hai subah qarib “akhtar” divana piye ja


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akhtar Shirani



No comments:

Post a Comment