Pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhtar
No comments:
Post a Comment