Friday, June 3, 2016

Mana ke un ke nezon pe ab sar nahi koi – Sagar Azmi



mana ke un ke nezon pe ab sar nahi koi
kya un ke aastin mein bhi khanjar nahi koi
majaburiyon ne ghar se nikalne na diya
duniya samajh rahi hai mera ghar nahi koi
ab kya karenge hum naye surajki roshani
jab dekhane ke vaste manzar nahi koi
dil ho raha hai der se khamosh jhil sa
kya doston ke hath mein pathar nahi koi
qismat sabhi ke waqt ke hathon mein rahati hai
is daur mein kisi ka muqaddar nahi koi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Azmi



1 Arbi Bathroom Me

1 Arbi Bath Room me phone pr BAT kr ra tha,
PATHAN ne suna to andar jakr arbi ko boht mara,
logo ne pucha to Bola. ye kameena Bath Room me TILAWAT kar rha ta.

Kehte Hain Tujh Ko Log Maseeha Magar

Kehte Hain Tujh Ko Log Maseeha Magar Yahan

Ek Shakhs Marr Gaya Tujhe Dekhne K Baad...

Kehte Hain Tujh

Destroy my own life

I could be a Doctor and save lives..!!


I could be a Lawyer and defend lives..!!


I could be a Soldier and protect lives..!!


But why to play with lives of others??


So I chose to do CA and destroy my own life…!!—

punjabi shayari words sms



Soh rab di tenu pyar kita
hor kise nu kade bulaya vi nayi
tenu apni samaj ke dil dita
hor kise te dil kade aaya hii nahi
pyar tere de butte nu pani laya
hor butta pyar da laya hi nayi
teri yaad vich rehnda main sher likhda
hor aj tak sher banaya hi nahi
tu keh pagal ya keh chhalla
gusa gallaa teriya da kade aaya hii nahi



Thursday, June 2, 2016

Uss Nay Khat Main



Uss Nay Khat Main
Ishq Ka Matlab Pooch Liya Hai
Mein Nay Likha Hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Aa Kar
Maan Angan Mein Phool Khila Dey
Jab Koi Naam Labon Ko Choo Kar
Dharkano Ki Tarteeb Bhula Day
Jab Koi Jazba Kar-E-Junoon Se
Atish Ko Gulzar Bana Day
Laikin Itna Dhiyaan Mein Rakhna
Koi Siraat-E-Ishq Se Guzry Tab Khulta Hai
Ishq Se Pehlle Ishq Ka Matlab Kab Khulta Hai



I Am Pakistani

I’m not just bombs, poverty &corruption. I’m Edhi’s philanthropy. I’m AQ Khan’s brilliance. I’m Afridi’s exuberance. I’m Miandad’s six. I’m Nusrat fateh’s vocal chords. I’m fastest growing IT industry. I’m in four weathers. I’ve 2nd highest mountain. I’ve 8 of 20 highest peaks. I ve world’s best cancer hospital. I’m 7th nuclear power. I’m 4th nation to build cruise missiles. I broke Soviet Union. I’m hospitality. I’m epitome of resilience. I’m one of the few bravest nation of world. Yes, I’m Pakistan ! Please spread optimism instead of negativity about me. Sincerely, Pakistan.

Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga



Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga
Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga


Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main
Dil Ka Qaraar Tujhko Main Hi Doonga


Tere Paas Pass Main Rahoonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main


Teri Dharkano Mein Rahoon Mein
Teri Thandhi Thandhi Aahoon Mein



Teri Bahaki Bahaki Sansoon Mein Ma Rahoonga
Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga


Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Mai


Ek Pyaas Hi Ahsaas Hai Sawal Hai
Jawab Ki Taslaash Hai


Ab Ke Liye Ab Jine Do
Mujhe Zindagi Ko Peene Do


Maut Se Milkar Yeh Dil Ab Chikahta Hai Jiney Ko
Ab Bhi Rahoon Mein Bahoon Mein


Tere Sapnoon Mein Khawaboon Mein
Teri Dil Ke Kuch Kahyalo Mein Ma Rahoonga


Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga
Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga


Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main
Do Diloon Hai Iss Jahan Se


Dard Aaya Yeh Kahan Se
Bhool Bhi Jaoo Pas Aaoo Na


Kah Sakey Na Aaj Tak Jo
Mujhse Tum Woh Baat Keh Do


Na Chuapaoo Maan Jaoo Na
Mujhko Dil Ka Haal Tum Sunaoo Na


Tera Tan Mein Jhal Raatoon Mein
Tere Mann Mein Bhi Baatoon Mein


Tere Pyar Ki Saugatoon Mein Ma Rahoonga
Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga


Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main



International Family Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest International Family Day l Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate International Family Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy International Family Day l sms greeting


The anniversary is a time of reflection of the event that was experienced. It is healthy and natural to remember an event on the anniversary of the day it occurred. Moments of joy should be celebrated with joy.


Memories of our family and childhood are what shape our personality and who we are. We take the traditions we grew up with us into adulthood. Our childhood home, in our subconscious is like our mothers womb. It will always be our true home and the home against which all future homes will be judged.

The main goal of a family Day is to spread knowledge about families’ problems. The holiday is focusing on a special role of a family as the main cell of society and its emphasizing the meaning of pro-family politics.

Contemporary family is in crisis, many marriages are breaking apart. The number of big families with many children is lowering. Statistical European family has one or two children. Currently, Europe is the only continent, where more people is dying than being born.


Join the celebration and wish happy Family Day. Send family cards and ecards with family quotes, wishes, family poems and greetings


Happy International Family Day Mubarak to all of you from shayari Online Team




Wednesday, June 1, 2016

Tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai – Qateel Shifai



tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai
jit le jaye koi mujhko nasibon vala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai
jane kab aaye koi dil mein jhankane vala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai
imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Qateel Shifai



Raat ka Khana

Hadis Sharif


1.Raat ka Khana na chhoro


chahe 1 methi khajoor Q na ho,


Q k raat ka khana chhorna


admi ko zaeef kar deta hai


(IBN-e-MAJA)


2-Khouf Se Tanhai Mei Rone K Siwa Koi b Cheez Allah Ki Nrazgi Ko Nahi Mita Skti


3-Allah Us Shkhs Ko Abad Rakhta Hai Jo Hades Sun K Dosro ko Pohnchye


“Assalam.o.Alaikum”Subha Bakhair

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar Koi Aur Ho,
Hum Us Shakhs Se Wafa Ka Taqaaza Nahi Karte...

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka

Rehne Do Ab K Tum Bhi Mujhe Parh Na

Rehne Do Ab K Tum Bhi Mujhe Parh Na Sako Ge
Barsat Me Kaghaz Ki Tarha Bheeg Gaya Hun...

Rehne Do Ab

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar - Sad Poetry

Sad Poetry

Roman Urdu Sad Poetry

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar..!
Ke Be-Zarar Hi Sahi, Be-Zameer Ham bhi Nahi…!

Urdu Poetry

ہمیں  بجھا  دے،  ہماری  انا  کو  قتل  نہ  کر
کے بے ضرر ہی سہی، بے ضمیر ہم بھی نہیں

Tuesday, May 31, 2016

I Want To Speak Dil Se




I Want To Speak: Dil Se


That’s My Kind Of: Ishq



I Want This To Be: Gupt


As I Always Have: Darr



That I Will Loose You: Sajani


And That Would Be Great: Sadma



I Am Your: Mr.Aashique


But Sometimes Bit: Deewana



Tell Me: Hum Aapke Hain Kaun


As I Feel : Kuch Kuch Hota Hai



In This : Duniya Dilwalon Ki


I Told You: Maine Pyar Kiya



May Be : Dil To Pagal Hai


Because: Jab Pyar Kisise Hota Hai



The Whole World Appears As: Dushman


But Anyway: Pyar To Hona Hi Tha







Larkiyoun k Nakhre

LarkiyOun k nakhre


Aur Qurbani k bakre


Hamesha mehenge partay hain

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar Ho Bhi,
To Kis Umeed Pe Kahiye K Arzoo Kya Hai...

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar

Monday, May 30, 2016

1 Bar Main Bemar Hoa

1 Bar Main Bemar Hoa
1 Dost ne Mujhe Hospital Jane ka Kaha
Main Hospital Chala Gya
Wahan 2 Drwazay Thy
1 Pr Khas bemari or 1 pr Mamoli Bemari Likha tha
Mujhe Mamoli Bemari thi is Liye Me Mamoli Bemari Wale Room me Chla Gya
Wahan B 2 Drwazy thy 1 Pr Khas Admi or 1 pr Aam Admi likha tha
Me Gharib Admi Tha is liye Aam Admi Wale Door se Andar Chla Gya
Andar Gaya to!dekha k Mai Hospital se Bahar Tha.
Geo Pakistan!:-)

Wishing u 12 Months of Happiness

Wishing u 12 months of HAPPINESS
52 weeks of FUN
365 days of LAUGHTER
8760 hours of GOOD LUCK
525600 minutes of JOY
31536000 seconds of SUCCESS.
HAPPY BIRTHDAY!

Sunday, May 29, 2016

Sookhe Patton Ki Tarha Bikhre Hain Hum To

Sookhe Patton Ki Tarha Bikhre Hain Hum To
Kisi Ne Samaita Bhi To Sirf Jalane K Liye...

Sookhe Patton Ki

Pichlay Qisay Le Baitha

Neend to aaney Ko Thi Par Dil Pichlay Qisay Le Baitha


dost


Ab Khud KoBe-Waqt Sulany Main Kuch Waqt to Lagta Hai___!!!

Aim of Art is

The aim of art is to represent not the outward appearance of things,


but their inward significance. ~ Aristotle

Saturday, May 28, 2016

Aur Kuch Nahi Hota To Bhari Barish Main

Aur Kuch Nahi Hota To Bhari Barish Main

Tujh Se Bichre Hue Raston Pe Safar Karta Hun...

Aur Kuch Nahi Hota

Baray-e-nam sahi koi meharban to hai – Aqeel Shadab



Baray-e-nam sahi koi meharban to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasaman to hai


teri farakhdili ko duayen deta hun
mere labon pe tere lams ka nishan to hai


ye aur bat ki wo ab yahan nahi rahata
magar ye us ka basaya hua makan to hai


alava is ke na kuch aur parda rakh mujh se
fasil-e-jism mere tere darmiyan to hai


bichad ke zinda nahi rah sakenge hum donon
mujhe ye vaham to hai un ko ye guman to hai


saron pe sayafigan abr-e-arazu na sahi
hamare pas sarabon ka sayaban to hai


gul-e-murad nahi sang-haye-tifl sahi
garib-e-shahar ka aakhir kisi ko dhyan to hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aqeel Shadab



Ye Bhi Mumkin Hai Tujhe Ishq Wilaayat De

Ye Bhi Mumkin Hai Tujhe Ishq Wilaayat De De

Ye Bhi Mumkin Hai Tere Hosh Thikany Aa Jaen...

Ye Bhi Mumkin

Mitt Jaye Gunah

Mitt Jaye Gunahon Ka Tasawur Hi Is Jahan Say . . .


.


.


Agar Ho Ye Yaqeen K Koi Humen Dekh Raha Hai .!

Ramadan poetry in urdu



The holy month of Ramadan is just about to come.The month of Ramadan is the most superior month in Islamic Calendar


May This Ramadan be as bright as ever.
May this Ramadan bring joy, health and wealth to you.


May the festival of lights brighten up you
and your near and dear ones lives.


May this Ramadan bring in u the most
brightest and choicest happiness and
love you have ever Wished for.


May this Ramadan bring you the
utmost in peace and prosperity.


May lights triumph over darkness.
May peace transcend the earth.


May the spirit of light illuminate the world.


May the light that we celebrate at Ramadan
show us the way and lead us together on the
path of peace and social harmony


Ramadhan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein


Punjgana Ho Namaz Ke Haj-o-Zakat Ho,
Hum Sab Ruju Karte Hain Rahman Ki Taraf,
Lekin Karam Ki Hadd Hai Ye Rab-e-Kareem Ki,
Ramazan Chal Kay Aata Hai Insan Ki Taraf


share with us more .Ramadan poetry in urdu ..in comments section below



Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye



DUA..


Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye


Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye


Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye


Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malik Aagahi Chahiye


Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye


Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..


Aameen



Friday, May 27, 2016

Nasir Poetry – Niyat-e-Shoq Bher Na Jaye



Niyat-e-Shoq Bher Na Jaye Kaheen
Tu Bhi Dil Se Uter Na Jaye Kaheen


Aaj Daikha Hai Tujh Ko Dair K Baad
Aaj Ka Din Bhi Guzer Na Jaye Kaheen


Na Mila Ker Udaas Logon Se
Husn Tera Bikher Na Jaye Kaheen


Aarzo Hai K Tu Yahan Aaye
Aur Phir Umer Bher Na Jaye Kaheen


Aao Kuch Dair Ro Hi Lain Nasir
Phir Yeh Derya Uter Na Jaye Kaheen



Thursday, May 26, 2016

Har Kisi Ke Honton Ko Chooma

Har Kisi Ke Honton Ko Chooma...
Bewafa Log Honton Par Bhi Zehar Laga Dety Hain....

Submitted By: Qaisar Baloch

Sumandar Mein Uturta Hoon Tu



Sumandar Mein Uturta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati Hain


Tumhara Naam Likhney Ki Ijaazat Chin Gai Jub Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati Hain


Naa Jaaney Ho Gaya Iss Qadar Hassaas Mein Kub Se
Kissi Se Baat Karta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati Hai

Woh Sub Guzrey Huey Lumhaat Mujhko Yaad Atey Hain
Tumharey Khut Jo Parhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati Hain


Mein Saara Din Buhut Masroof Rehta Hoon Magar Joonhi !!
Qadam Chaukhut Pe Rakhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati Hain


Hazaaron Mausumon Ki Hukmaraani Hai Merey Dil Pur
Wasi Mein Jub Bhi Hansta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati Hain



Wednesday, May 25, 2016

Dard Mujhe Chukar ker

Dardko Bhi Dard Hone Laga,
Dard Khud Hi Mere Ghava Dene Laga,
Dard Ke Liye Main Na Roya,
Lekin Dard Mujhe Chhukar Khud Rone Laga.. .

Tuesday, May 24, 2016

Mere Bachpan Ka Mukhtasir Mausam

Mere Bachpan Ka Mukhtasir Mausam,
Rizq Ki Justuju Mein Beet Gaya…..

Bachpan-beet-gaya

Birthday Poem For Brother



Birthday Poem For Brother
I’m fortunate, and I’m glad
I got you for my brother;
Even if I had the chance,
I wouldn’t pick another.
I’m happy you’re in my life;
You’re my winner, come what may.
May your birthday wishes come true
On your very special day.
By Joanna Fuchs



Amn ka jo paigam sunane wale hain – Majid Deobandi



amn ka jo paigam sunane wale hain
galiyon galiyon aag lagane wale hain
tum le jao neza khanjar aur talvar
hum maqtal mein sar le jane wale hain
zulm ki kale badal se darana kaisa
ye mausam to aane jane wale hain
bimaron ka ab to khuda hi hafiz hai
sare masiha zeher pilane wale hain
** this was a satire on the state on medical
schools and the attitude of doctors in india
these days **
jan bachane wale to sab hain lekin
ab kitne iman bachane wale hain
hum ko un valiyon ki nisbat hasil hai
dasht ko jo gulzar banane wale hain
bhuka rah ki sail ko khairat jo de
hum bhi ‘majid’ usi gharane wale hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majid Deobandi




Paani Peeney Ka sahi time

Paani Peeney


Ka sahi time


Jab paani Jism par Behtar Asar kar sakta hai.


1 glass subah Uthney k baad


> Androoni Aaza ko Activate krta hai.


1 glass Nahaney


K baad..


> Blood Presure kam rakhta hai.


2 Glass khana khaney K 30min pehle..


> Hazma Behtar Bananey me Madad deta hai.


Aadha 1/2 glass soney se Pehle..


> Heart Attack


+ Brain Stroke se Bachata hai.


Ye aik bohat acha msg hai jo agr forward kiya jaye to kafi log faida utha sakty hain..

Monday, May 23, 2016

You Have To Love A Nation



You Have To Love A Nation
India That Celebrates Its Independence
Every August 15,
Not With A Parade Of Guns, Tanks, And Soldiers
Who File By The India
In A Show Of Strength And Muscle,
But With Family Picnics Where Kids Throw Frisbees, The Potato Salad Gets Iffy,
And The Flies Die From Happiness.
You May Think You Have Overeaten,
But It Is Patriotism.
~Erma Bombeck



EID kay Ashaar

Nazar ka chain dil ka suroor hotay hain,


kuch aise log jahan main zaroor hotay hain,


sada chamakta rahay unki EID ka tehwaar,


qareeb reh kay bhi hum se jo dor hotay hain.

Sunday, May 22, 2016

Be-Waja Nahi Roota Ishq Mein Koi ‘Ghalib’ - Ishq Shayari

Ishq-Aansu-Shayari

2 Lines Ishq Poetry

Be-Waja Nahi Roota Ishq Mein Koi ‘Ghalib’,
Jisy Khud Se Barh Ke Chaho, Wo Rulata Zaroor Hai…!

Phir se mausam baharon ka aane ko hai – Zahid



Phir se mausam baharon ka aane ko hai
phir se rangin zamana badal jayega
ab ke bazm-e-charagan saja lenge hum
ye bhi araman dil ka nikal jayega
aap kar den jo mujh pe nigah-e-karam
meri ulfat ka reh jayega kuch bharam
yun fasana to mera rahega yahin
sirf unavan us ka badal jayega
phiki phiki si q sham-e-maikhana hai
lutf-e-saqi bhi kam khali paimana hai
apni nazron se hi kuch pila dijiye
rang mahafil ka khud hi badal jayega
mere mitane ka un ko zara gham nahi
zulf bhi un ke ae dost barham nahin
apne hone na hone se hota hai kya
kam duniya ka yun hi to chal jayega
aap ne dil jo ‘zahid’ ka toda to kya
aap ne us ke duniya ko choda to kya
aap itane to aakhir pareshan na hon
wo sambhalate sambhalate sambhal jayega


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zahid



Wo Jo Kehta Tha K Ishq Me Kya Rakha

Wo Jo Kehta Tha K Ishq Me Kya Rakha Hai,
Aik Heer Ne Usy Ranjha Bana Rakha Hai.....

Wo Jo Kehta Tha K Ishq

Guzari umar e mohabbat

Guzari umar e mohabbat hum ney es qadar dhokey mein


Wo mujhko bawafa samhja, main unko bawafa samjhi

Saturday, May 21, 2016

Tera Janam Din Mein Manau

Heart Touching Story…एक प्यारे से couple को करीब 10 साल बाद एक बच्ची हुई,वो सभी आपस मेंखुश थे, एक दूसरे से बहुत प्यार करते थे. और बच्ची तो उनकी दुलारी थी.एक सुबह, जब बच्ची करीब कुछ दो सालो की थी, तो पति ने टेबल पर एक बोतल देखि जिसका ढ़क्कन खुला हुआ था.वो काम के लिए late हो रहा था. इसलिए उसने पत्नी को बोतल का ढ़क्कन लगाने और उसे अलमारी में रखने के लिए कह कर चला गया.पत्नी जो की kitchen में अपने काम में busy थी. वो भूल ही गयी. उसका ध्याननहीं गया.छोटी लड़की ने उस बोतल को देखा और खेल खेल में उसके पास जाकर उसे उठा लिया. उसके रंगीन रंग को देख कर खुश होते हुए उससे खेलने लगी. और उसेपूरा पी गयी… वो बोतल एक दवा की थी,जो adults के लिए वो भी कम dosages के लिए थी. उस दवा से बच्ची की हालत बहुत ख़राब हो गयी. दवा जहर की तरह असर कर रही थी.क्योंकि उसका छोटा सा शरीर सह नहीं पा रहा था.. जब उसकी माँ ने यहदेखा तो वो तुरंत उसे अस्पताल ले गयी,जहाँ उसकी मृत्युहो गयी.. उसकी माँ बहुत ही डर गयी, और सदमे में आ गयी. वो अपने पति का सामना कैसे करेगी.. खबरपाते ही, पति जब आये औरअपनी बच्ची को इस हालत में देखा तो वो सह नहीं पाए, उन्हें दर्द हुआ. उन्होंनेअपनी पत्नी की तरफ नजर उठा के देखा, वो सहमी हुई थी, और कहा, “ मैं तुम्हे बहुत ही ज्यादा चाहता हूँ.”और पत्नी को गले लगाकर उसे सहारा दिया, अपने बच्चे को खोने के गम में वो बिलख पड़ी… पति के ऐसे reaction की उम्मीद नहीं थी, पर उसके मन में बसएकबात आई. अगर वो खुद ही बोतल बंद कर देता तो, और अपनी पत्नी, जिसने अभी अभी अपनी मासूम सी बच्ची खोयी है,उसे दिलासे की जरुरत है, आरोप-प्रत्यारोपसे कुछ नहींहोने वाला था… उसनेवो किया जो समय और स्तिथि के अनुरूप था. कई बार हमारे जीवन में भी ऐसे पल आ जाते है, जब हम आसानी से किसी पर अपना काम थोप देते है,जबकि हम स्वयं ही उन्हें करने के काबिल हैं. हम दूसरो परअसफ़लता का ठीकरा भी फोड़ देते है. और हम मौके की नज़ाकतको भी नहीं समझते है.कितनी ही बार ऐसे मौके आये है, और ऐसा फिर होगा. पर हम उस समयक्या करते है, ये भविष्य सुनिश्चित करता है… कई बार हमारे अपनों सेभी छोटी छोटी बातो पर हमारे मत भेद हो जाते है. चाहे माफ़ी देना हो,या माफ़ी लेना.ये हमारे रिश्तो को मजबूत ही करता है, कमज़ोर नहीं.अपनों की गलतियों को अगर माफ़ कर दिया जाए,तो दुनिया में रंगीनिया बढ़ जाएगी और खुशिया भी….***********************************पोस्ट अच्छा लगा तो आगे Share कीजिए…..

Friday, May 20, 2016

Ek purana mausam lauta yaad bhari puravai bhi



ek purana mausam lauta yaad bhari puravai bhi
aisa to kam hi hota hai wo bhi ho tanahai bhi
yadon ki baucharon se jab palaken bhigane lagti hain
kitni saundhi lagti hai tab manjhi ki rusavai bhi
do do shaqlen dikhati hain is bahake se aaine mein
mere sath chala aaya hai aap ka il saudai bhi
khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hai
un ki bat suni bhi hamane apni bat sunai bhi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Gulzar



Behron Ki Anjuman Me Na Gaa Dard Ki

Behron Ki Anjuman Me Na Gaa Dard Ki Ghazal
Andhon Ko Mat Dikha Girebaan Phata Hua...

Behron Ki Anjuman

Laila-Tul-Qadar Mubarik To All

Laila-Tul-Qadr Mubarik To All :)
Remember Us In Your Prayers...
Thank You... :)

By: Waqas Ali

Laila-Tul-Qadr

Thursday, May 19, 2016

Waqt-e-Rukhsat Kahin Tarey



Waqt-E-Rukhsat Kahin Tarey Kahin Jugnoo Aye
Haar Pehnaney Mujhe Phool Se Bazoo Aye,


Bus Gai Hai Merey Ahsas Main Ye Kaisi Mahak
Koi Khushboo Main Lagaoon Teri Khushboo Aye,


Main Ne Din Raat Khuda Se Ye Duya Mangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Marey Aur Too Aye,


Us Ki Baatain Ke Gul-O-Lala Pe Shubnam Barsey
Sab Ko Apnaney Ka Us Shoukh Ko Jadu Aye,


In Dino Aap Ka Alam Bhi Ajab Alam Hai
Zakham Khaaya Howa Jaisey Koi Aahoo Aye,


Us Ne Choo Kar Mujhey Pathar Se Phir Insan Kiya
Mudtoon Baad Meri Aankhon Main Aansoo Aye



Wednesday, May 18, 2016

Sham hoti hai sahar hoti hai ye vaqt-e-ravan – Akhtar ul Iman



Sham hoti hai sahar hoti hai ye vaqt-e-ravan
jo kabhi mere sar pe sang-garan ban ke gira
rah mein aaya kabhi meri himala ban kar
jo kabhi ukda bana aisa ki hal hi na hua
ashk ban kar meri aankhon se kabhi tapaka hai
jo kabhi khun-e-jigar ban ke mizshgan par aaya
aj bevasta yun guzara chala jata hai
jaise main kashmakash-e-zist mein shamil hi nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



Maa Mujhay Neend Nahi Ate Ha



Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate Ha
Aik Mudat Say Mujhay Neend Nahi Ate Ha


Maa ! Mujhay Loori Do
Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate


Ratjagay Abb Tooh Muqaddar Hain Meri Palkoon K
Neend Aye Tooh Lay Ati Hai Bagdaad Ke Yaad
Ankh Lagtay He Koi Bewah Utha Deti Hai
Pait Jitna Bhi Bharron Bhook Nahi Mitti Hai


Jaltay Basra Ke Mujhay Payaas Jega Date Ha
Koye Kandhar Ke Wadi Say Bulata Ha Mujhay


Zikar Kandwaz Ka Aye To Mujhay Lagta Ha
Kat Kay Koye Sir Hansta Ha , Jalata Ha Mujhay


Bomb Ke Awazen Mujhay Kuch Nahi Kahten Mugar
Zakam In Bachon Kay Sonay Nahi Datay Han Mujhay
Mare Seenay Par Rakho Hath
Rula Do Na Mujhay


Maa ! Mujhay Loori Sunyo Na
Sula Do Na Mujhay


Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate
Aik Mudat Say Neend Nahi Ate



Tuesday, May 17, 2016

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Vahashat usay bhi thi - Mohsin Naqvi Poetry


Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..

(zikr-e-shab-e-firaaq = mention of the night of separation)
(Wehshat = fear/dread)

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...

(mahv-e-guftaguu = immersed in conversation)
(masruuf = busy; faraaGat = leisure/freedom from business)

Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...

(rafaaqat = friendship)

Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...

(Haalanke = although; raqabat = enmity)

Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...

(zabt = tolerance/restraint; aadii = habituated)


by: Mohsin Naqvi


Monday, May 16, 2016

Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye – Sikander Ali Wajd



Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye
mere dil ko qarar aaye na aaye
abhi aaya hai hosh yad-e-janan
na tadapa, bar-bar aaye na aaye
chirag-e-zindagani bujh raha hai
wo jan-e-intazar aaye na aaye
kiya jo tum ne apne dil se pucho
hamara aitabar aaye na aaye
nigah-e-ahal-e-gulshan kah rahi hai
khizan jaye bahar aaye na aaye
badhega karavan manzil-ba-manzil
gubar-e-rahguzar aaye na aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sikander Ali Wajd



Sunday, May 15, 2016

hazar ali (a.s) qol – zindgi guzarny ke tareeqy

Achi zindgi guzarny k 2 tareeqy hain


1) jo pasand hy usy hasil kar lo


2) jo hasil hy usy pasand kar lo


HAZART ALI (A.S)…

Aadton Mai Shaamil

Aaj Bhi Aadton Mai Shaamil Hai


Teray Kochay Say Ho k Ghar Jana

Behold The Mother With Her Newborn Child



Behold The Mother With Her Newborn Child!
An Icon Of A Hope That Never Dies.


Death May Label All We Cherish Lies,
Yet This Love Lies Too Deep To Be Defiled.


We Clear An Inner Field Where Fate Has Smiled,
Letting Play The Pleasures Of Surmise,


Holding Back All Contrary Replies,
As Though Our Thoughts Might Turn The Winters Mild.


Despite The Well-Known Travesties Of Time,
Each Time A Child Is Born We Dream Anew,


For Only Thus Our Losses Are Regained.
Though We Must Share The Destiny Of Slime,


No Passion In Our Palette Is More True
Than That Which Cradles Innocence Unstained



Mery Nazdeek Aa Kar

Mery Nazdeek Aa K Dekh Mery Ahsas Ki Shiddat..,
Mera Dil Kitna Dharakta Hy Sirf Tery Naam K Sath…

Saturday, May 14, 2016

Tension Funny Shayari



TENSION


Ladki Ne Aapse Lift Mangi,
Raste Mein Uski Tabiat Kaharab Ho Gai.
Aapko TENSION !!


Aap Hospital Le Gaye,
Doctor Bola – Aap Baap Banne Wale Ho
Aapko TENSION !!


Aap Bole – Mai Iska Baap Nahi !
Phir Ladki Se Pucha


Ladki Boli – Yehi Baap Hai.
Aapko Aur TENSION.


Phir Police Ayi
Aapka Medical Check Up Hua.
Report Aayi.
Aap To Kabhi Baap Hi Nahi Ban Sakte.
Aapko Aur TENSION !!


Fir Bhi Aap Ne Khuda Ka Shukar Ada Kiya
Ki Jaan Bachi Aur Aap Khushi Khushi Ghar Gaye !


Aur Phir Socha Ki Ghar Pe Jo Bachchay Hai
Wo Kiske Hai…????????


Aapko Sabse Badi Tension TENSION !!!!!!



Shayari for sister




Dua karte hain hum sar jhuka ke,
Aap apni manzil ko paye.
Agar aapki rahon me kabhi andhera aaye,
To roshni ke liye khuda humko jalaye…


Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.
Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.
*Janm Din Ki Hardik Shubh Kaamnaayein*


Yahi dua karta hu khuda se,
Aapki zindigi mein koi Gam na ho,
Janamdin per mile hazaro khusiyan,
Chahe unme shaamil hum na ho. …


Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,


Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.


Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,


Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.


*Janm Din Ki Hardik Shubh Kaamnaayein



Share with us more Shayari for sister in comments section below.



Kalbadevi Yatra Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Kalbadevi Yatra Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Kalbadevi Yatra greeting.


Kalbadevi Yatra and Festival is held annually to the Kalbadevi temple in Mumbai. It is annually held on Margashirsh Amavasya day as per traditional Hindu calendar followed in Maharashtra. Kalbadevi Yatra 2015 date is December 24. Goddess Kalbadevi is also known as Mumbadevi and is believed that she was the residing deity of the Mumbai region and was worshipped by Kolis.


Kalbadevi Temple is the oldest Temple in Mumbai and was relocated twice to accommodate the needs of the growing Mumbai metropolis. Currently it is located at the Zaveri Bazaar in South Mumbai.


Happy Kalbadevi Yatra Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Shayari on Face



Chehra Mera Tha Nigaahein Uski,
Khamoshi Mein Bhi Woh Baatein Uski,


Mere Chehre Par Ghazal Likhti Gayi,
Sher Kehti Hui Aankhein Uski,


Shokh Lamho Ka Pata Dene Lagi,
Tez Hoti Hui Saansein Uski,

Aise Mousam Bhi Guzaare Humne,
Subah Jab Apni Thi Shaam Uski,


Dhayaan Mein Uske Yeh Aalam Tha Kabhi,
Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,


Faisla Mouj-E-Hawa Ne Likha,
Aandhiya Meri Bahaare Uski,


Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarha Kat Ti Hai Raatein Uski,


Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,
Mujhko Thaame Hui Baahein Uski…!!!



Friday, May 13, 2016

Sudhar Jaoge

DOSTI,
Phool se karoge to mehak jaoge..
“SAAWAN”Se karoge to bheeg jaoge..
“SURAJ”Se karoge to jal jaoge..OR
“HUM”Se karo ge to Sudhar Jaoge.

Thursday, May 12, 2016

Aj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Me

Aj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Me So Na Saku

Yad Phir Aye Hain Neendon Ko Urany Wale...

Aj Ki Raat

Wednesday, May 11, 2016

Tum Bin Meri Zaat Adhuri



Tum Bin Meri Zaat Adhuri
Jesy Koi Baat Adhuri


Hijr K Sare Din Hen Poorey..
Lekin Hy Hr Raat Adhuri..


Lafzon Ki Gehrai Mey Jhanko
Samjho Na Hr Baat Adhuri


Num Aankhen Or Sookhi Palken
Hoti Hy Barsat Adhuri


Mujh Se Mujh Ko Cheen Geya Saqi
Reh Gai Meri Zaat Adhuri?



Muddaton Baad Ye Dastak Kesi

Muddaton Baad Ye Dastak Kesi

Ho Na Ho Koi Matlabi Hoga...

Muddaton Baad Ye

Part in Your Story

Some people are going to leave,


but that is not the end of your story.


That is the end of their part in your story.

Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Raste - Sad Poetry

Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Raste,
Jin Par Tere Baghair Hum Guzre Kabhi Na The…

Sad Sea

Tuesday, May 10, 2016

Gham Shayari SMS

Yeh lijiye tamaam group walo ke liye shayri ki bharmaar…..


Ab koi apna record tod ke dikhaeee…………….



100 SHAYARI …..enjoy


(1)
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.


(2)
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se
mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…


(3)
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki Aapne fir se muskura diya.


(4)
Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate.


(5)
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki.


(6)
Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!


(7)
ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai…


(8)
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka
shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski
sarhad.


(9)
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.


(10)
Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko
Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai,
Tarapna Dil Ko Parta Hai.


(11)
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar
leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta
hai


(12)
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.


(13)
Chand ki raton mein sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb
rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare


(14)
Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi
jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho…..
Phir bhi kamar balkha hi jaati hai…..


(15)
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi
karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte


(16)
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu


(17)
Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar


(18)
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai


(19)
Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko
phod de.


(20)
Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote
rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote
rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!


(21)
Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.


(22)
Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!


(23)
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta


(24)
Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad
hamari
To rona nahi Bus muskura dena…


(25)
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum.


(26)
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai,
Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai,
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi…..
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya
karte Hai…..!


(27)
Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul
hai


(28)
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.


(29)
Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai
dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.


(30)
Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete
hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar k liye,
par log use barsat samajh lete hai.


(31)
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai


(32)
Khoob aati hai jab
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n
mai.n,
Teri soorat ubhar K aati hai


(33)
Taare aasman me hi chamkte hai,
Badal itne dur hai, phir bhi baraste hai,
Hum bhi kitne ajib hai,Tum Dil me rehte
ho,
aur hum tumse milne ko taraste hai


(34)
Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi


(35)
Aaj us khuda ki shararat samajh me aai,
is dharti par aapki maujudgi samajh aai,
Aapko is dharti par bhejna us khuda ka
bahana tha,
Kyo ki hamare lie aapko aana hi tha.


(36)
Kismat me jiski aap, use jindgi se kya
chaahiye,
Dhadkan me jinki aap, use dunia se kya
chaahiye,
Hum to jite hai aap k liye, warna in
saanson se kya chaahiye.


(37)
Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho
jay,
Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi
chaho vo haqiqat ho jay.


(38)
Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai,
teri har baat mujhe bahka jati hai,
Saansen to bahut der leti hai aane jane me,
Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.


(39)
Paani ko patthar na maro use bhi koi pita
hai,
Jina hai to muskurakar jiyo, tumhe dekhkar
koi aur bhi jita hai.


(40)
Kisi k Dhadkte Dil k pichhe koi baat hote
hai,
Kisi k udas Dil k piche koi yaad hoti hai,
Aap ko pata ho ya na ho,
aap k khushi k liye kahin roz fariyad hoti
hai.


(41)
jaan hai hume jaan se pyari,
Jaan k liye chhod du dunia sari
Jaan k liye chhod du rasme sari,
ab tumse kya chupana,
tum hi to ho jaan hamari.


(42)
Tu kya jane kya hai tanhai,
is tute hue Dil se puch kya hai judai,
Bewfai ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad nahi aai.


(43)
Yuhin hi sapno se Dil ko lagaya karo,
Kisi k khwaabon me aya jaya karo,
Jab bhi Dil kahe ki koi tumhe bhi manaye,
Bas hame yaad kar k ruth jaya karo.


(44)
Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi
mangi.


(45)
Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahut hui
ab lab se karo ikrar…


(46)
Suna hai waqt ke saath halat badal jate
hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate
hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon


(47)
Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.


(48)
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.


(49)
Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte
hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.


(50)
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi…
mere paav mein zanjir nazar aayi..
gir pade aansu aankh se…
aur har ek aansu mein aapki taswir nazar
aayi.


(51)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..


(52)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.


(53)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.


(54)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..


(55)
Sham dhali, raat aayi Dil dhadka –

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi
Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai...?

Tu Ne To

Mohabbatein Jab Shumar Karna - Noshi Gilani Ghazal

Mohabbatein-Noshi-Gilani

Noshi Gilani Ghazal

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Mein Aai Hain Wo Aziyatein Bhi Shumar Karna
Shumar = Count; Sazishain = Conspiracies; Aziyatein = Tortures;
Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Mein Tumhare Raston Mein Apni Aakhein
Magar Kahin Zabat Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna
Zabat = Confiscated
Jo Harf Looh-E-Wafa Pe Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Lena
Jo Raaigan Ho Gain Wo Sari Ibadatein Bhi Shumar Karna
Looh = Title; Raaigan = Waste
Ye Sardiyon Ka Udas Mausam Ke Dharkanein Baraf Ho Gayn
Jab Un Ki Ykh Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna
Dharkanein = Beats; Ykh Bastagi = Very Coldness; Tamazatein = Heat;
Tum Apni Majboorion Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hain Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna
Wazahaton = Explanations;

Monday, May 9, 2016

sadagi par us ke mar jane ke hasrat dil mein hai – Mirza Ghalib



sadagi par us ke mar jane ke hasrat dil mein hai
bas nahi chalata ki phir khanjar kaf-e-qatil mein hai
dekhana taqarir ke lazzat ki jo usane kaha
mainne yah jana ki goya yah bhi mere dil mein hai
garache hai kis kis burai se wale ba in hama
zikr mera mujh se behatar hai ki us mahafil mein hai
bas hujum-e-na umidi khak mein mil jayagi
yah jo ik lazzat hamari sai-e-behasil mein hai
ranj-e-rah kyon khenchiye vamandagi ko ishq hai
uth nahi sakata hamara jo qadam manzil mein hai
jalva zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahi
fitana-e-shor-e-qayamat kis ke aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shorida-e-galib tilism-e-pech-o-tab
raham kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai



Poet of the / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Qabool Hai

Chand alfaz apki puri zindagi tabah kar dyte hn,
Jaise k,
.
.


.
.
.
.
“Qabool Hai ”
”Qabool Hai ”
”Qbbool Hai

Sunday, May 8, 2016

Asar usako zara nahi hota – Momin Khan Momin



asar usako zara nahi hota
ranj rahat faza nahi hota
tum hamare kisi tarah na hue
varana duniya mein kya nahi hota
narasai se dam ruke to ruke
main kisi se khafa nahi hota
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusara nahi hota
hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahi hota
kyon sune arz-e-muztarib ae ‘momin’
sanam aakhir khuda nahi hota


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Momin Khan Momin



Saturday, May 7, 2016

Gine Chune Seeno Me Jhaankta Hai Ye

Gine Chune Seeno Me Jhaankta Hai Ye Noor

Har Aik Par Nahi Hoti Ataa Mohabbat Ki...

Gine Chune Seeno

Friday, May 6, 2016

Khubsoorat Hain Woh Lub



Khubsoorat Hain Woh Lub
Jo Pyari Batein Kartey Hain


Khubsoorat Hai Woh Muskurahat
Jo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja De
Khubsoorat Hai Woh Dil
Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhey
Jo Kisi Ke Dard Mein Tadpey


Khubsoorat Hain Woh Jazbat
Jo Kisi Ka Ehsaas Karein


Khubsoorat Hai Woh Ehsaas
Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa Baney


Khubsoorat Hain Woh Batein
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhaein


Khubsoorat Hain Woh Ankhein
Jin Mein Pakezgi Ho
Sharm O Haya Ho


Khubsoorat Hain Woh Ansoo
Jo Kisi Ke Dard Ko
Mehsoos Kerke Beh Jae


Khubsoorat Hain Woh Hath
Jo Kisi Ko Mushkil
Waqat Mein Tham Lein


Khubsoorat Hain Woh Kadam
Jo Kisi Ki Madad Ke Liye
Aagey Badhein !!!!!


Khubsoorat Hai Woh Soch
Jo Kisi Ke Liye Acha Sochey


Khubsoorat Ho Tum
Jis Ko Khuda Ne Ye
Khubsoorati Ada Ki



Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kion



Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kion
Jo Tu Nahin To Phir Tera Intezar Bhi Kion


Akele Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
To Phir Ae Wada Shikan Teri Rehguzar Bhi Kion


Usey Ganwa Ke Raha Ab Khizaon Ki Zad Mein
Jo Woh Nahin To Phir Mosam-E-Bahar Bhi Kion



Ye Mohabbat Bhi Aik Neki Hai

Mohabbat-Neki-Shayari

Mohabbat Neki Shayari

Ye Mohabbat Bhi Aik Neki Hai
Aao Darya Mein Daal Dete Hain

Bohat Dard Chupe Hain Raat Ke - 2 Line Shayari

Bohat-Dard-Shayari

2 Line Sad Dard Shayari

Bohat Dard Chupe Hain Raat Ke Har Pehlu Mein,
Acha Ho Ke Kuch Dair Ke Liye Neend Aa Jaye….

Thursday, May 5, 2016

ahmad faraz poetry sms 2012

Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz


Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad


ahmad faraz poetry in urdu

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese..?
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Rooya Kese….?

Dil Faraz

Wednesday, May 4, 2016

Ye Jo Nazoon Se Tum Mere Dil Ko Nidhaal Karte Ho

Ye Jo Nazoon Se Tum Mere Dil Ko Nidhaal Karte Ho,
Karte To Zulm Ho Sahib! Mager Kamal Karte Ho

nazron se zulm

Tuesday, May 3, 2016

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se



Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se



Kal Raat Ik Mahfil Hoe



Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe


Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe


Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe


Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe


Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe


Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe



Monday, May 2, 2016

Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi – Nasir Kazmi



Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi
log rukhsat huye kab yaad nahi
dil mein har waqt chubhan rahati thi
thi mujhe kis ke talab yaad nahi
wo sitara thi ke shabanam thi ke phul
ik surat thi ajab yaad nahi
aisa ulajha hun gam-e-duniya mein
ek bhi khvab-e-tarab yaad nahi
bhulate jate hain mazi ke dayar
yaad aayen bhi to sab yaad nahi
ye haqiqat hai ke ahabab ko hum
yaad hi kab the ke ab yaad nahi
yaad hai sair-e-charagan “nasir”
di ke bujhane ka sabab yaad nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye



Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai


Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-2 Leharaayi Hai


Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Abar Kahu Uske Gaalo Ko Main
Dhoodh Se Jaise Wo Nahayi Hai
Chand Kahu Fir Bhi Kam Hoga
Aasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi Hai


Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai



Sunday, May 1, 2016

Be Parwah Nahin

Hum Bebas hain Be-parwah nahin,
Hum udass hain khafa nahin,
Qadar karte hain Doston ki dil se,
hum zindagi main majboor to ho saktay hai lakin bewafa nahin

Friday, April 29, 2016

Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay



Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay



Zindagi ke Haqkekat

Agar tum se koi poochay


…Batao,…


Zindagi kya hai?


(Hatheli pe zara si khaak rakhna aur urra dena).


{Hazrat Ali )


Submit By: Zain Shuja (not given)

Mitt Chale Meri Umeedon Ki Tarha Harf

Mitt Chale Meri Umeedon Ki Tarha Harf Magar

Aaj Tak Tere Khat'ton Se Teri Khushbu Na Gai...

Mitt Chale Meri

Thursday, April 28, 2016

Maula Lyrics by Atif Aslam



Maula Lyrics


Maula… Maula…
O O O O O O….
(Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna


Rooh Ko Tu Hawa Bas Tu Hi Aab Hai
Is Nazar Ko To Sirf Tera Hi Kwaab Hai
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna


Jogi Bada Aa Aa Aa…
Shor Kyon Kar Rahin Yahaan Har Ek Juba
Naam Tera Ka Gumshuda Gumshuda
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Jogi Bada Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna



Tu Nigaahein Jo Phair Le Mujh Se

Tu Nigaahein Jo Phair Le Mujh Se

Mera Qissa Tamaam Ho Jaye...

Tu Nigaahein Jo Phair

Dua Ki Apeal



1 Sal Bad Aj Phir Ap Sab Se
Dua Ki Apeal Kr Raha Ha


Duaoon Ka Talib


Apka


Apna


Bohat Apna


=–..__..-=-._.
!=–..__..-=-._;
!=- -..(*..-=-._;
!=–..__..-=-._;
!
I


“P A K I S T A N :


Hamesha Mujhe Yad Rakhna
Bhoolna Nae


Happy Independence Day
14th August 2015
Pakistan Zindabad



Tuesday, April 26, 2016

Ye Bary Dukh Ki Bat Hai K Ab Hamara

Ye Bary Dukh Ki Bat Hai K Ab Hamara
Aik Dusray K Dukh Se Koi Wasta Nahi Raha Hai...

Ye Bary Dukh Ki

Log Kehte Hain K Muhabbat Ek Baar Hoti Hai

Log Kehte Hain K Muhabbat Ek Baar Hoti Hai

Me Jab Jab Usy Dekhta Hun Mujhe Bar Bar Hoti Hai...

Log Kehte Hain

Roz badhata hun jahan se aage – Kaifi Azmi



Roz badhata hun jahan se aage
phir waheen laut ki aa jata hun
barha tod chuka hun jin ko
inhin divaron se takarata hun
roz basate hain kai shahar naye
roz dharati mein sama jate hain
zal-zalon mein thi zara si girah
wo bhi ab roz hi aa jate hain
jism se ruh talak ret hi ret
na kaheen dhup na saya na sarab
kitne araman hai kis sehara mein
kon rakhta hai mazaron ka hisab
nafz bujhati bhi bhadakati bhi hai
dil ka mamul hai ghabarana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ik aadat hai jiye jana bhi
qaus ek rang ki hoti hai tulu’a
ek hi chal bhi paimana bhi
goshe goshe mein khadi hai masjid
mushkil kya ho gai mayakhane ki
koi kehta tha samandar hun main
aur meri jeb mein qatara bhi nahi
khairiyat apni likha karta hun
ab to taqadir mein khatara bhi nahi
apne hathon ko padha karta hun
kabhi quran kabhi gita ki tarah
chand rekhaon mein samaun main
zindagi qaid hai sita ki tarah
ram kab lautenge malum nahi
kash ravan hi koi aa jata


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi



Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai – Iftikhar Arif



khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Iftikhar Arif



Monday, April 25, 2016

Vote do gi nawaz putar

Momo to imran khan: main tujhay iss saal wo don gi Pervaiz.


Imran khan: woh kiya maa g?


Momo: woi jo awam nay Zardari ko di hai.


Imran khan: galiyan?


Momo: gali to tujhay kabhi nahi don gi Altaf Hussain.


Imran khan: Altaf Hussain nahi Imran Khan maa g!


Momo: nahi main tujhay Imran Khan bhi nahi don gi.


Imran khan: Ohoo maa g vote daina hai to do wrna jao !


Momo: Ayi shawashay! Main tujhay he vote don gi Nawaz Sharif putar…:D 😀

Phir Bhi Dil Hai Pakistani [ Parody ]



Phir Bhi Dil Hai Pakistani


Coke Peete Pepsi Peete
Bhool Gaye Nimbu Paani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani


MTV Channel V Cool Hain
Bhool Gaye PTV
Phir Bhi Dil Hai Pakistani


Reserve Bank Hain Khali
Khali Swiss Bank Mein Maal Paani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani


Ideas Hain Naye Naye
Problem Wohi Purani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani


Hong Kong Main Honeymoon
New York Main Meri Naani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Kapde Hain Amreeki
Gaadiyan Hain Japani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani


Paanch Saal Mein Chaar Government
Dekhi Suni Na Jaani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani



Sunday, April 24, 2016

Wo Lafz Dhoond Raha Tha Larazte Honton Se - Inspirational Poetry

Wo Lafz Dhoond Raha Tha Larazte Honton Se,
Zaeef Baap Ne Bety Se Baat Karni Thi…..

Parents-Right-Poetry

Saturday, April 23, 2016

I am Just A Little Angel



I’m Just A Little Angel
Sent From Up Above
To Help Guide You And Protect You
And Give You Lots Of Love.


On Those Days When You Feel Lonely
Kinda Sad And Blue
You’ll Feel My Little Angel Wings
Tenderly Enfolding You.


I’m Just A Little Angel
Flew Down From Heaven Above
Who Will Always And Forever



Aashique Shayari – Ishq Jo Roth Gaya



Woh Ishq Jo Hamse Roth Gaya Ab Us Ka Haal Batayen Kia
Koi Mehar Nahi Koi Qehar Nahi, Phir Sacha Sher Sunayen Kia


Ik Hijer Jo Ham Ko Lahaq Hai Taa-Dair Usay Duhraayen Kia
Woh Zehar Jo Dil Main Utaar Diya Phir Us K Naaz Uthayen Kia


Ik Gham-E-Tanhayee Jo Saaray Badan Main Phail Gai
Jab Jism Hi Sara Jalta Ho Phir Daman-E-Dil Ko Bachayen Kia


Ham Naghma Sera Kuch Ghazlon K Ham Suratger Kuch Khwaboon K
Yeh Jazba-E-Shoq Sunayen Kia Koi Khwab Na Ho Tu Batayen Kia



Aa Dekh Mujh Se Roothne Wale Tere Baghair

Aa Dekh Mujh Se Roothne Wale Tere Baghair

Din Bhi Guzar Gaya Meri Shab Bhi Guzar Gai...

Aa Dekh Mujh Se

Friday, April 22, 2016

Jese Eidi Ho Mere Bachpan Ki

Yun teri chahtain sambhaali hain,
Jese eidi ho mere bachpan ki..

Mujhe Rone Nahin Diya



Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya
Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya


Tanhaian Tumhara Pata Pochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin Diya


Dil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz The
Dunya K Koi Gham Samone Nahin Diya


Nasir Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham Ker
Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya



Thursday, April 21, 2016

Nafrat Thi Humse To Pyar Kyon Kiya

kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,
kuch pal ki tujhe khushiyaan deke dard dene se dar lagta hai,


tujhe meri baaton ki aadat na pad jaaye isiliye main chup rehta hoon,
tere har dard ko samajhta hoon main par tujhse kehne se dar lagta hai,


mere aansoo dekh kahin tu bhi na ro de isiliye main nahi rota hoon,
apne aansoo to main pi leta hoon par tere aansuon se dar lagta hai,


tu ne mujhe bas khushiyaan hi di hain, teri wajah se koi dard nahi hai,
kuch apni hi majbooriyaan hain jinhe zaahir karne se dar lagta hai,


khud se bhi jyaada chahta hoon main tujhe, tere liye main jaan bhi de dun,
main na rahun to kaun chahega tujhe itna yahi soch ke mujhe dar lagta hai…i l u my swty star

Another Year Is A Happy Gift

Another year is a happy gift
So cut your cake, and say
Instead of counting birthdays
I count blessings every day.

Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain



Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain


Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
Kay Sharif Zaadey Kahan, Kab, Aisi Baat Kartay Hain


Kissi Se “Luv U” Kehte Hain Kissi Se “Hug U” Kehte Hain
Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kia Khak Kerte Hain??


Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain
Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain


Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain


Deen Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Kartay Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhtay Hain


Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
Tow Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain???


Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker
Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain…..



Dil-e-Marhoom Ko KHUDA Bakh-shy

Dil-e-Marhoom Ko KHUDA Bakh-shy
Bari Ronaq Lagaye Rakhta Tha...

Dil-e-Marhoom

Wednesday, April 20, 2016

Tishnagi K Bhi Muqamaat Hain Kya Kya

Tishnagi K Bhi Muqamaat Hain Kya Kya Yaani

Kabhi Darya Nahi Kaafi Kabhi Qatra Hai Bohat...

Tishnagi K Bhi Muqamaat

Naadan The Jo Rakhte The Umeedain Kisi Par - Islamic Poetry

Best Islamic Poetry

Roman Urdu

Naadan The Jo Rakhte The Umeedain kisi Par,
Zaat-e-Allah Ke Elawa Koi Kisi Ka Nahi Hota....!

Urdu

نادان تھے جو رکھتے تھے امیدیں کسی پر
ذاتِ الله کے علاوہ کوی کسی کا نہیں ہوتا 


Tuesday, April 19, 2016

aah ko chahiye ik umr asar hone tak



aah ko chahiye ik umr asar hone tak
kon jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
aashiqi sabr talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
gam-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak



Monday, April 18, 2016

Prayer for You

My prayer for You:
May Allah break
the front teeth of those people who plot evil against you secretly, so that you know your enemies by their
smiles…!!! 😀

Log Kahte Hain



Log Kahte Hain
Dhokha Dena To Dushmano Ka Kaam Hai
Sirf Dost Hi Asa Hain Jo
Dhokha Nahi Dete
Lekin Main Samajhti Hoon
Dhokha Khana Hamari Niyati Ban Chuki Hai
Chahe Vo Dushmano Ne Diye Ho Ya Dosto Ne
Dhokha Dono Hi Dete Hain
Dosto Aur Dushmano Me Farq Bas Itna Hi Hai
Dushman Har Baat Pe Dohkha Dete Hain
Par Log Kahte Haindost Achche Hote Hain
Isiliye Vo Sirf Vaqt Par Hi Dhokha Dete Hain



When GOD Gives Us NO

When GOD Gives Us
NO For An Answer…
Keep In Mind That
There Is A Much Greater
YES …
HIS No Is Not A
REJECTION ,
But A
REDIRECTION … :)
Stay Blessed

Sunday, April 17, 2016

Karthigai Deepam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Karthigai Deepam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Karthigai Deepam greeting.


Hi,
I Wish U A Very Happy Karthigai Deepam
May Our Lives Shine N Glow Like The Deepam……
Karthigai Deepam Greetings


Hi,


I wish u a very happy karthigai Deepam !!!!!!!!!
May our lives shine n glow like the Deepam…….


Happy Karthigai Deepam Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Friday, April 15, 2016

Love days are

Without Love days are
Sadday,
moanday,
tearsday,
wasteday,
thirstday,
frightday,
shatterday…
so be in Love everyday
Wish u a Happy Valentines Day

2015 Rakhi Sms Poems



This Full Moon Day Our Hearts Are In Brim
Feeling Of Faith And Serenity In Mind.
We Light The Lamps And Our Hears Glow
Radiance Of Happiness And Peace Are In Flow.
Harmonious Homes Are Like Streams Of Joy
Flowing And Flourishing The Landscape En Route.
Nobility In Heart And Character In Deed
Righteous Homes Alone Make A Beautiful State.
Sisters Will Tie The Thread On The Brothers
Abiding Them To Do Only What Is Right And Clean.
Put The Kumkum And Blessed Rice On The Head
Where Will Dwell Right Thoughts And Noble Action.



Ye Rooh Bahir Se Jee Rahi Hai

Ye Rooh Bahir Se Jee Rahi Hai
Ye Jism Andr Se Mar Gaya Hai...

Ye Rooh Bahir

Thursday, April 14, 2016

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai, Wo Jafa Hi Nahi - Iqbal

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai, Wo Jafa Hi Nahi,
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahi….

Mohabbat Iqbal

Wednesday, April 13, 2016

Happy Mother’s Day, dear daughter



Happy Mother’s Day, dear daughter!
All my love to you!
Praised be those who give themselves,
Poised to part the sea!
Years of loving need no quarter,
Making passion do,
Offering a trove of selves,
Though vicariously.
How beautiful the gift of giving
Each the unspent whole,
Returning, turning, like a tide,
‘Ere the moment wanes!
So beautiful, the act of living
Densely through a soul
Alight with wonder at the ride,
Yet soon to take the reins!



Udas aankhon se aansu nahi nikalate hain – Bashir Badr



udas aankhon se aansu nahi nikalate hain
ye motiyon ke tarah sipiyon mein palate hain
ghane dhuen mein farishte bhi aa,nkh malate hain
tamam raat khajuron ke ped jalate hain
main shah reh nahin, raste ka pathar hun
yahan savar bhi paidal utar kar chalte hain
unhen kabhi na batana main unaki aankhen hun
wo log phul samajhakar mujhe masalate hain
ye ek ped hai, aa is se milakar ro lain hum
yahan se tere mere raste badalate hain
kai sitaron ko main janata hun bachpan se
kaheen bhi jaun mere sath sath chalte hain


Poet of  the / Ghazal or Nazam :Bashir Badr