Monday, May 16, 2016

Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye – Sikander Ali Wajd



Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye
mere dil ko qarar aaye na aaye
abhi aaya hai hosh yad-e-janan
na tadapa, bar-bar aaye na aaye
chirag-e-zindagani bujh raha hai
wo jan-e-intazar aaye na aaye
kiya jo tum ne apne dil se pucho
hamara aitabar aaye na aaye
nigah-e-ahal-e-gulshan kah rahi hai
khizan jaye bahar aaye na aaye
badhega karavan manzil-ba-manzil
gubar-e-rahguzar aaye na aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sikander Ali Wajd



No comments:

Post a Comment