Tuesday, April 19, 2016

aah ko chahiye ik umr asar hone tak



aah ko chahiye ik umr asar hone tak
kon jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
aashiqi sabr talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
gam-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak



No comments:

Post a Comment