When you are tempted
to lose patience with someone,
think how patient God has been
with you all the time.
When you are tempted
to lose patience with someone,
think how patient God has been
with you all the time.
Life is a Rope that Swings us through hope
Always believe today is better than
yesterday and tomorrow will be much better
than today.
Har Saal Aata Hai,
Har Saal Jata Hai,
Es Saal Aap Sab Ko Wo Sab Mile,
Jo Aapka Dil Chahta Hai….Aayega Aane wala Kal.
Naya Saal Mubarak Ho….!
Happy New Year 2015
Dekh Li Naa Mere Anso Ki Taqat Tum Ne
Raat Meri Ankhen Namm Thin
Aj Tera Sara Sheher Beegh Rha Hai
My Definition Of Laziness: Its a talent of taking rest before u r tired…
Bcoz Prevention is better than cure .. Be lazy think Crazy.:p
Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi
log rukhsat huye kab yaad nahi
dil mein har waqt chubhan rahati thi
thi mujhe kis ke talab yaad nahi
wo sitara thi ke shabanam thi ke phul
ik surat thi ajab yaad nahi
aisa ulajha hun gam-e-duniya mein
ek bhi khvab-e-tarab yaad nahi
bhulate jate hain mazi ke dayar
yaad aayen bhi to sab yaad nahi
ye haqiqat hai ke ahabab ko hum
yaad hi kab the ke ab yaad nahi
yaad hai sair-e-charagan “nasir”
di ke bujhane ka sabab yaad nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
teri dosti K Piyasay Thy To Hath Phela Diaye
~DOST~
warna Hum to apni zindagi k liye bhi dua nhi karty…
Oh Tan Bhul Gaye Sab Jhoothe Vaade Karke
Par Asi Pyar Nibhauna Nahi Bhulle
Kise Ne Na Suniyan Rooh Sadi Diyan Aahan
Par Asi Dil Da Haal Sunauna Nahi Bhulle
Bhul K Sab Zulam Te Dhokhe
Asi Gairaan Nu Gal Launa Nahi Bhulle
Likhde-Likhde Hath Sade Kalam Ho Gaye Bhave
Par Hale Tak Ohdi Tasveer Bnauna Nahi Bhulle
Dard Phail Jay Tu,
Aik Waqt Ata Hai,
Dil Dharakta Rahta Hai,
Aarzogazidon K Hoslay Nahi Chatai,
Dasht Be Yakini Mai Aasaray Nahi Chaltay,
Rahbaron Ki Aankhon Mai ,
Manzilain Na Jab Tak Hon,Kaaflai Nahi Chaltai,
Aik Zara Tawajoo Se Dekiyai Tu Khulta Hai,
Log Un Pe Chalte Hain,Raaste Nahi Chalte,
Sochnay Samjhne Se Sath Sath Chalne Se,
Dorian Simitin Hainfaaslay,Nahi Chalte,
Bakht Sath Chalta Hai,Taa’lai Aazmaon K,
Waqt Raam Kernay Maitajzion K Daaown Kia,
Tajrubay Nahi Chalte,
ISHQ K Ilaqay Mai ,Hukm-I-Yar Chalta Hai,
Zabtaiy Nahi Chalte,
Husn Ki Aadalat Mai,Aajizi Tu Chalti Hai,
Martabay Nahi Chalte,
Dosti K Rishton Ki Perwarish Zarori Hai,
Silsilay Taa’luq K Khud Se Ban Tu Jate Hain,
Likin In Shagufun Ko Totnay Bikhernay Se,
Rokna Bhi Parta Hai,
Chahaton Ki Mitti Mai,Aarzon K Podon Ko,
Sichna Bhi Parta Hai,
Ranjishion Ki Bataon Ko, Bhoolna Bhi Perta Hai
kis se puchen hum ne kahan wo chehara-e-roshan dekha hai
mehfil mehfil dhundh chuke hain gulshan gulshan dekha hai
kis ko dekhen kis ko na dekhen, phul bhi hain kaliyan bhi magar
jis se lagayi aankh usi ko dil ka dushman dekha hai
rang-e-bahar-e-subah-e-gulistan kya dekhe wo diwana
jis ki nazar ne ek hi gul mein sara gulshan dekha hai
ahl-e-wafa ke khoon ke chinten dur tak udakar jati hain
mera tadapana dekhane wale apna bhi daman dekha hai?
aj unhen jo chahe samajh lo warna yahi ‘taskin’ hain jinhen
kal tak hum ne ku-e-butan mein khakbadaman dekha hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Taskeen Qureshi
Why Are Elephants Large, Gray And Wrinkly… ?
.
.
.
.
Because
.
.
.
If They Were Small Round and White
They Would Be: Aspirins ;->
Darate hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se hum
har dam panah mangate hain har bala se hum
mashuq jaye hur mile, may bajaye aab
mahashar mein do saval karenge khuda se hum
go hal-e-dil chupate hain par is ko kya karen
aate hain khud khud nazar ik mubatala se hum
dekhen to pahale kon mite usaki rah mein
baithe hain shart bandh ki har naqsh-e-pa se hum
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha
Ke Lahoo Ki Saari Tamazatein
Tumhein Dhoop Dhoop Samait Lein
Tumhein Rung Rung Nikhaar Dein
Tumhein Harf Harf Mein Soch Dein
Ke Deyaar-E Hijer Ki Teergi
Ko Palak Ki Nok Se Noch Lein..
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
Ke Dil-O-Nazar Mein Sama Sako
Kabhi Khul Sako Shab-E-Visel Mein
Kabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar Sako
Kabhi Had Se Jab Yeh Junoon Berhay
To Hawas Bun Ke Bikher Sako
Sir-E-Rahguzar Jo Milo Kabhi
Na Teher Sako Na Guzer Sako
Mera Dard Phir Se Ghazal Banay
Kabhi Gungunaao To Is Terha
Meray Zakhm Phir Se Gulaab Hon
Kabhi Muskuraao To Is Terha
Meri Dharkanein Bhi Laraz Uthein
Kabhi **Tum** Khaao To Is Terha
Jo Nahin To Phir Baray Shoq Se
Sabhi Rabtay Sabhi Zabtay
Kabhi Dhoop Chaaon Mein Tor Do
Na Shikast-E-Dil Ka Sitam Kaho
Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jaan
Na Kisi Se Dil Ki Galish Kaho
Yun Hi Khush Raho Yun Hi Khush Phiro
Na Ujer Sakein Na Sanwar Sakein
Kabhi Dil Dukhaao To Is Terha
Na Simat Sakein Na Bikher Sakein
Kabhi Bhool Jao To Is Terha
Kisi Tor Jaan Se Guzer Sakein
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
Zindgi Se Hath Dho Betha Hai Koi
Muhabbat Se Haar Betha Hai Koi
Dard-E-Dil Biyan Krte To Kis Se
Shikayt Ka Moqa Gawa Betha Hai Koi
Kash Mere Mehbob Ka Deedar Ho Jaye
Jinhe Chaah Kr Kho Betha Hai Koi
Zindagi Hai K Dukhon Ki Kitab Aaqib
Her Khushi Se Mahroom Betha Hai Koi.!
Tapti Hoie Zamin Hai, Aur Karbala Ka Ban Hai
Maqtal Main Shai Ka Lasha, Bai Gor-o-Bai Kafan Hai
Ieeman Ki Roshni Sai, Hoontoon Pai Hai Tabassum
Marnai Ki Aarzu Mai, Paysoon Ki Anjuman Hai
Paidal Chala Rahai Hain, Beemar-e-Karbala Ku
Aada Main Sar Barhaina, Shabbir Ki Bahan Hai
Gham Un Ka Karra Hai Hain, Hum Un Ku Rorahai Hain
Jin Kai Lahu Sai Taza, Islaam Ka Chaman Hai
Jin Bibiyoon Ka Saaya, Khursheed Nai Na Deekha
Aaj Un Kai Bazoon Main, Jakri Hoie Rasan Hai
Dooraao Ab Na Ghoodai, Lillah Raham Khaao
Zakhmoon Sai Tukrai Tukrai, Shabbir Ka Badan Hai
Bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhako gam kya hai
tumhari tarz-o-ravish janate hain hum kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mai khama-e-galib ke aatashafashani
yaqin hai hamako bhi lekin ab us mai dam kya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Hai nafs k haathon tu majboor KITNA,
Sub jaan k b hy aaj la shaoor KITNA,
Jis chehry ne hy 1 din matti men mil jaana,
Us chehry pe hy tujhe ghuroor KITNA,
1 sajde k inkaar ne IBLEES ko shetaan bana dia,
Tu khud jaan ly tera hy qusoor KITNA,
Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawaara nhi,
Tery waasty roye thy woh HUZOOR KITNA,
Tu ne chakhi hy faqat gunaahon ki lazzat,
Tu kya jaane A Muslim zikr-e-Elaahi men hy suroor KITNA….,
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….
Amal se zindagi banti hai, jannat b jahanum b
yeh khaaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai
paani paani kr gayi mujhko qalandar ki woh baat
tu jhuka jo ghair k agay na tan tera na man tera…
Share with us more Iqbal shayari in comments section below.
MAA………………………..
“Badli surat ,badli duniya badli tasveere magar,
badle raste ,shehar or aneko mod or nagar
chahe ho father ,sister ya brother
no one can replace the name called Mother”
Kyoki, “Zindagi ke har mod par dushman lagaye hua hai ghaat,
par hai bharosa,yakeen or hame ye poora vishvas,
koi kuch nahi bigad saqta hamara jab tak maa ki duaaye hai hamare saath “
Ek Ajnabi Se Hamein MOHABBAT Hogayi Hai
Ye Zindagi Hamari Mukammal Hogayi Hai
Sochte Hain Wo Chehra Kaisa Hoga
Jis Se Hamein CHAHAT Hogayi Hai
Jab Leti Hoon Naam,Ye Saansein Mehek Uthti Hain
Ab Ye Saansein Bhi Meri Us Ki Hogayi Hain
Us Ka Yun Rooz Meri Neendon Mein Chale Aana
Mere Sapnon Ki Duniya Ab Roshan Hogayi Hai
Dhadak Uthta Hai Dil Jab Mehsoos Karti Hain Aankhein
Aisa Lagta Hai Ye Dhadkan Bhi Us Ke Naam Hogayi Hai
Usee Hi Sochte Sochte Guzarti Hai Ab Ye Ratein Meri
Meri Ratein Bhi Ab Mere Sanam Ke Hawale Hogayi Hain
HEER: way ranjhya menu koi aesa khat lekh k main saari umar pardi rawan
RANJHA: e$ $¡* =#¡%
Le hun pardi ray.
E-Muqaddar Kya Hain Mere Liye Bas Tanhaiya
Kya Nahi Kistmat Mein Mere Koi Khushiya Yaha
Maine Lakho Raate Guzaari Khushi Kee Chaah Mein
Kyu Nahi Hain Jholi Mein Meri Khilti Hui Si Roshniya
Sard Aaho Ki Tapish Se Tmaam Shab Pighalti Rahi
Chand Dooba .Savera Foota Baj Saki Na Koi Shehnaiya
E – Muqaddar Kya Hai Mere Liye Bas Tanhaiya…
Ujli Kiran Thi Ujle The Chehre, Jisko Bhii Dekha Nazer Utha..
Magar Thi Khaamosh Kismat Meri,Faile Bas Andhiyare Yaha..
Bujhe Dilo Ko Kabhi Diya Karte The Ham Be Hausle..
Aaj Khud Ki Haalat Hai Ye Ki Gardish Mein Hai Bebakiya..
Ishq Karke Socha Tha Ki Dard Seh Lengi Nakaamiya..
Ishq Karke Bhi Haare. Badh Gayi Aur Bhi Baichainiya..
Saans Ghutti Hai Kabi Rusvai Me To Kabi Tanhai Mein…
Aalam Ye Hai Ki. Jiti Hai Na Marti Hai ‘Gam-E-Lashkar’ Yaha..
E-Muquaddar Kya Hai Mere Liye Bas Tanhaiya…
Mil K Bin Chain Nahi Door Reh Kar Bhi Sakoon Nahi…
Uske Paas Baith Ker Bi Khushi Nahi..Judai Bhi Raas Aye Naa.
Pyar Paker Be Reh Gayi Pyaas Baaki…
Pyas Bujha Kar Bhi Meen(Fish) Si Tadafti Yaha..
Yah!! Khuda Baichain Kitni Ho Rahi Hai Aatma..
De De Do Gaz Jamee Ya Le Le Maula Ye Dil Mera..
Naa Dard Hoga Naa Ashk Honge Naa Hoga Koi Gila..
Bas Ab Ham Thak Chuke Kar De Hamko Ab Vida..
Jindagi bahut kuch sikhati hai,
Kabhi hasati hai kabhi rulati hai,
Khud se bhi jyada kisi par vishwash mat karna,
Kyuki andhere mein toh parchai bhi saath chod jati hai
Tassavur Me Jab Tasveere Yaar Hoti He
Zindagi Tab Khushgavaar Hoti He
Zindagi Zindagi Nahin Rehti
Muflisi Ka Jab Shikaar Hoti He
Jigar Ka Tukra Tha Kisi Ka Jo Jal Gayee
Zindagi Yun Bhi Sharmsaar Hoti He
Havaniat Panapti Rahi Dorti Car Me
Zindagi Tab Laachaar Hoti He
Soch Samajh Ke Kharch Ki Zindagi Hamne
Kuchh Na Haath Laga Ye Nagavaar Hoti He
Aadmi Aadmi Nahin Rehta
Zindagi Jab Daagdaar Hoti He
Kuchh Na De Dikhai Daulat Ke Siva
Zindagi Tab Bimaar Hoti He…
Share with us more zindgi shayari .in comments section below.
mohabbat karanevale kam na honge
teri mahafil mein lekin hum na honge
zamane bhar ke gham ya ik tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge
dilon ke ulajhanen badati rahengi
agar kuch mashvare baham na honge
agar tu ittafaqan mil bhi jaye
teri furqat ke sadamen kam na honge
‘hafeez’ un se main jitana badguman hun
wo mujh se is qadar barham na honge
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hafeez Hoshiarpuri
Fanna kr De apni sari zindgi KHUDA ki muhabbat me,
Yahi Wo wahid Pyar hy Jis me Bewafai Ni Hoti
Log toot jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahi khate bastiyan jalne mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jane mein
har dhadakate pathar ko log dil samajhate hain
umr bit jati hai dil ko dil banane mein
fakhta ke majboori ye bhi kah nahi sakati
kon sanp rakhta hai usake aashiyane mein
dusari koi ladaki zindagi mein aayegi
kitni der lagti hai usako bhool jane mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
Let’s test the way u think.
Read this: THEPENISINMYMOUTH
Did u read the pen is in my mouth?
no u didn’t. Pass it on cock sucker!!
Barish Ke Paani Ko Apne Haathon Mein Samet Lo.
Jitna Aap Samet Paaye Utna Aap Humein Chahte Hai
Aur Jitna Na Samet Paye Utna Hum Aap Ko Chahte Hai.
Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai,
Har Dil Mein Chupa Ek Ehsaas Hai,
Aap Se Pyaar Yuhi Nahi Kiya Humney,
Kya Kare Hamari Pasand Hi Kuch Khaas Hai.
Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se,
Pal Bhar Ke Liye Aap Mere Samne Aa Jao,
Pal Bhar Ka Saath Kuch Aisa Ho,
Ki Har Pal Tum Hi Yaad Aao….
Aapko Lagta Hai Ke Humne Aapko Bhula Rakha Hai
Aap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha Hai
Dekh Na Le In Aankhon Me Aapko Koi
Isliye Palko Ko Bhi Zhuka Rakha Hai
Chand Lamhe Bache Hai Tumhare Hamare Saath Ke
Mumkin Hai Ki Bichad Jaye Bina Mulaqat Ke
Kahan Aasman Ki Yeh Saugaat Hogi
Naye Log Honge Nayi Baat Hogi
Hum Har Haal Mein Muskurate Rahenge
Agar Tumhari Mohabbat Hamare Saath Hogi
Chiragon Ko Mehfoos Rakhenge Aankhon Mein
Badi Dur Tak Andheri Raat Hogi
Musafir Hai Hum Musafir Ho Tum Bhi
Phir Kahin Kisi Mod Pe Mulaqat Hogi
Za Mohabat Yam Charsada Ke Osam,
Sta Zarorat Yam Charsada Ke Osam.
Za Da Nafrat Sara Hum Mena Kawom,
Poé Pa Ulfat Yam Charsada Ke Osam.
Rasha Da Sro Sara Me Toul Ke Wakhla,
Che Sta Qismat Yam Charsada Ke Osam.
Za Pa Pukhto Hamesha Sar Warkawom,
Mar Pa Izzat Yam Charsadda Ke Osam.
Gula Tal Tasra Pa Khwa Ke Osam,
Sta Da Mahlat Yam Charsada Ke Osam.
Za Ba Darzama Mani Kigama Na,
Dasi Adat Yam Charsada Ke Osam.
Ma Ke Janana Sa Kamy Nishta Dy,
Laka Janat Yam Charsada Ki Osam.
Koma Hobi Khpla Bayaan Krama Za,
Sifayat Sifayat Yam Charsadda Ke Osam.
Za IMDAD KHIYAL Yam Mena Mena Ashna,
Hog La Sharbat Yam Charsadda Ke Osam.
Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay,
Hein Jese Nazar Aatay,
Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay,
Yeh Shehar Na They Esay,
Yeh Log Na They Esay,
Deewar Na They Rastay,
Zindaan Na Thee Basti,
Aazad Na They Rishtay,
Aashob Na Thee Hasti,
Yoon Maut Na Thee Sasti,
Yeh Aaj Jo Surat He,
Haalaat Na They Esay,
Yoon Ghair Na They Mausam,
Din Raat Na They Esay,
Tafreeq Na Thee Esi,
Sanjog Na They Esay,
Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay
Find latest World Labour Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate World Labour Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World Labour Day sms greeting.
happy labor day
Let’s celebrate the labor
That built up this great land
From field to field to desk to desk
They built it hand in hand…
The 1st day ov the month of May
is celebrated all over India
as a spring fertility festival
to honour goddess spring
Happy 1st May Day
1st Day ov May iz celebrated as Labour Day.
Happy Labour Day…
So Jatay Hain Footpath Pe Akhbaar Bicha Kar,
Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khatay,
Happy 1st May Labour Day….
Happy Labor Day
Let’s celebrate the labor
That built up this great land
From field to field to desk to desk
They built it hand in hand…
Happy World Labour Day Mubarak to all of you from shayari Online Team
Rangat Terii Zulfon Kii Ghataaon Ne Churaaii
Khushbuu Tere Aanchal Se Havaaon Ne Udaaii
Paimaane Kaa Dil Tuut Na Jaaye To Kahuun Main
Hai Chiiz Gazab Kii Jo Nigaahon Ne Pilaaii
Qaidii Terii Zulfon Kaa Hai Aazaad Jahaan Se
Mujh Ko Ye Rihaaii To Sazaaon Ne Dilaaii
Maanaa Kii Bahaaron Ne Khilaayaa Hai Gulon Ko
Ulfat Kii Kalii Dil Men Vafaaon Ne Khilaaii
Tham-Tham Ke Barasanaa Kabhii Jham-Jham Ke Barasanaa
Saavan Ko Adaa Ye Mere Ashkon Ne Sikhaaii
Manzil Pe Pahunch Kar ‘Nasiim’ Ehasaas Huaa Hai
Jis Raah Se Pahunchaa Ye Khataaon Ne Dikhaaii
Tujh yaad kerte kerte itna door nikal aye hain
k ab rikshay wala wapsi ke 2000 maang raha hai 😛
Sab ne mangi dua use pane ke liye,
hmane mangi dua use bhul jane ke liye.
Hmare liye jo bni jakhm ,
wo dwa he jamane ke liye.
Iskadar ho gya he gm se rista,
ki khushi bhi tarasati he ab hme pane ke liye.
Dikhata he chahara uska is duniya ki bhid me
rahate he aksar tnha sirf use bhulane ke liye
Ye aarzoo hai ki jab bhi gale lagaun use
hisar-e-zat se bahar nikal laun use
wo jal raha tha kadi dhup ke tamazat mein
mila jo ab to odha dunga apni chanv use
ye ishq bhi hai ajab imtihan-e-ahad-e-vafa
wo aazamaye mujhe aur main aazamaun use
wo shahar shahar chiragan sahi magar ek din
havayen yaad dilayengi apna ganv use
wo apne khwab mein shayad mujhi ko dekhata ho
main tashnalab sahi sote mein kya jagaun use
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Himayat Ali Shayar
Good Luck SMS for exam
may ur exams be like the pieces of chocolate cake,
very easy and satisfying and tasting morvelous.
alot of love for a nice person and wish u good luck
(SAD GHAZAL)
Yaadon Ka Ek Jhonka Aya Hum Se Milne Barson Baad
Pehlay Itna Roye Nhi They Jitnaa Roye Baarson Baad
Lamhaa Lamhaa Ghaar Ujra Hay Tu Hum Ko Ehsaas Huaa
Pathar AyeeBarsoon Pehlay Sheshay Tootay Barsoon Baad
Aaj Humari Khak Pe Duniya Ronay Dhonay Baithi Hay
Phool Huey Hain Itnay Sastay Janay Kitnay Barsoon Baad
Dastak Ki Umeed Lagayee “”SAAQI”” Kab Tk Jeetay Hum
Kal Ka Wadda Karney Wale Milnay Aye Barsoon Baad…!!!
Although consumed by fury, you still loved us.
At least that is the knowledge of my heart.
Screaming like a child, you would beat us
Until you snapped, and then the tears would start.
“You know I love you,” you would cry, demanding
More of us through tears than with your fist.
And we, through tears, would nod our understanding,
Too bullied in our pain to dare resist.
Yet now that you’ve been dead for many years,
And I have wandered through my own vast hell,
I see the desperate anguish in your tears
And hope at last that I can love you well.
For only in my love can your love be
The love that once, I think, you had for me.
Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use
gazal bahana karun aur gungunaun use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ke manind
main zakhm-zakhm hun phir bhi gale lagaun use
ye log tazakare karte hain apne logon se
main kaise baat karun aur kahan se laun use
magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yaad kuch dilaun use
wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo rahat-e-jan
tumhari baat pe ae nasiho ganvaun use
jo hamsafar sar-e-manzil bichad raha hai ‘faraz’
ajab nahi ki agar yaad bhi na aaun use
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
Dil Behlany K Liye Guftugu Krte Hain Loog Hum Se,,,
Maloom To Mujhy Bhi Hai K Hum Kisi ko Achay Nahi Lagte.
Kaafi arsa beet gya hai,
Janay ab wo kaisa ho ga?
Waqt ki sari karwi baatein,
Chupke chupke sehta hoga
Ab b bheegi barish mei wo,
Bin chatri ke chalta hoga
Muj se bichray arsa beeta,
Ab wo kis se larta hoga?
Acha tha jo sath hi rehtay,
Baad mein us ne socha hoga
Apne dil ki sari baaten
Khud se khud hi kehta hoga
Kaafi arsa beet gya ha,
Janay ab wo kaisa hoga???
Aisa Nhi K Nafs Ka Shetaan Mar Gya
Shetaan To Hy Zinda, Haa’n Insaan Mar Gya ,
Sajdon Men Sar Jhukany Ki Fursat Nhi Rahi ,
Momin Ki Rooh Men Basa Musalman Mar Gya ,
Masjid To Pakki Ban Gai Or Shaan’daar Bhi ,
Kacchi Hen “RABB” Se Chahaten Aur Emaan Mar Gya ,
Baatil Ko Jhoot Kehny Ki Taqat Nhi Rahi
Ho Haq Sar Buland Ye Armaan Mar
Gya Ay Insaan Herat Hy Teri Qismat Pe!
Kis Tarah Peda Howa Tha Khush Numa
Aur Viraan Mar Gya.