Tuesday, December 2, 2014

Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use – Ahmed Faraz



Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use
gazal bahana karun aur gungunaun use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ke manind
main zakhm-zakhm hun phir bhi gale lagaun use


ye log tazakare karte hain apne logon se
main kaise baat karun aur kahan se laun use


magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yaad kuch dilaun use
wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo rahat-e-jan
tumhari baat pe ae nasiho ganvaun use
jo hamsafar sar-e-manzil bichad raha hai ‘faraz’
ajab nahi ki agar yaad bhi na aaun use


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment