Wednesday, October 31, 2012

DiL Tou AkSaR

Ho TaaLLuQ….Tou Rooh Se Ho..
DiL Tou AkSaR…Bhar Bhi JataY Hain

Tuesday, October 30, 2012

Us k kehny par

Us k kehny par us ki tamana bi chor di Hum ny


. . .”ay dost.


Zara Hum bi tu Deikhain kon chahta hai Usy Humari tarha . . .

Masroof Waqt Se

Us dost ki ixat kro Jo apko apne masroof waqt main waqt de.


Lekin


us dost se Mohabbat kro Jb apko uski xarurt ho or


wo apke lye apni masroofiat chhor de.

Hum ko kisake gham ne mara ye kahani phir sahi – Masroor Anwar



hum ko kisake gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutane ka sabab pucho na sab ke samane
naam aayega tumhara ye kahani phir sahi
nafaraton ke tir kha kar doston ke shahar mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya batayen pyar ke bazi wafa ke rah mein
kon jeeta kon hara ye kahani phir sahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Masroor Anwar



ManMohan singh in Election

After Election Ex PM of India


ManMohan Said:


“Ye to Sonia g ka Hath hai werna is


Umar (Age) mein Mera Khara Hona Mushkil Tha”  😀

Monday, October 29, 2012

A Better Change

We can not change future. However, we can always make it better.
Be the change, see the change – A Better Change!

Maharana Pratap Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Maharana Pratap Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Maharana Pratap Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Maharana Pratap Jayanti sms greeting.


Maharana Pratap, had choices through out his life, whether to shake hands with Mughals and live life without troubles, but he decided to live with pride or die instead. Bravest Rajpoot ever, strongest Character and example for everyone else for not choosing easy life but instead give up everything for the glory of Rajpoots. he was the real surya of suryavansh


It’s an example that he set for rajputs and everybody else, live for glory or die, never bow your heads in front of evil even if it is too strong in front of you. I would like to see someone at present coming out of all the current society failure and set an example of true Indian and Hinduism in front of the world and be inspiration for younger generation.


Yeh hai apana rajaputana naj ise talavaro pe


Isane sara jivan kata barachhee tir kataro pe


Yeh pratap kaa vatan pala hai aajadee ke naaro pe


Kud padee thee yaha hajaro padminiya angaaro pe


Bol rahee hai kan kan se kurbanee


Happy Maharana Pratap Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team




All My Love For You FREE

All my love for you FREE!
wishing
u
a
very
happy
ANNIVERSARY….!

Sunday, October 28, 2012

Aenge Hum Yaad Tumhe Ek Bar Phir Se

Aenge Hum Yaad Tumhe Ek Bar Phir Se
Jab Apne Hi Faislay Tumhe Barbad Karenge...

Aenge Hum Yaad

Matlabi Log Bhi Rishte Bhi Or Muhabbat

Matlabi Log Bhi Rishte Bhi Or Muhabbat Bhi
Karna Chahen Bhi To Kis Tarha Bharosa Kar Len...

Matlabi Log Bhi

Chand bhi kya ajeeb

Chand bhi kya ajeeb cheez hai
ZALIM…!!!. . . .
Jis me,, , . .
Bachpan me Mamu aur
jawani me Janu nazar ata hai 😉

Kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun – Ahmed Nadeem Qasmi



kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun
wo bhi kya din the ke har vaham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun
dil jo tuta to kai hath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samajhun
zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samajhun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Nadeem Qasmi



Saturday, October 27, 2012

Apney TALUQ Aur ANAA Ki Ahmiyat

MAAFI Mangney Ka Matlab Hargiz Yeh Nahi Hai,
K Tum GhaLat Ho, BuLkay Iss Ka MatLab Hai K
Tum Apney TALUQ Ko Apni ANAA Se Zyada Ahmiyat Detay Ho

Kuch Mehsos kero

Nurse to kid: Lambi Sans lo, or kuch mehsos karo ?
.
.
Kid: 0k
.
.
Nurse: What do u feel now. ?


Kid:
.
.
.
.
.
.
.
.
Your body spray is amaZing.

time is good

When ur time is good,
ur mistakes are taken as a joke,
But when ur time is bad,
even ur jokes are noticed as mistakes.

Lafz Toote Lab-e-Izhaar Tak Aty Aty

Lafz Toote Lab-e-Izhaar Tak Aty Aty
Mar Gaye Hum Tere Maiyar Tak Aty Aty...

Blogger: Waqas Ali

Gumaan Bhi Hota Agar Tujh Pe Harf Aye Ga

Gumaan Bhi Hota Agar Tujh Pe Harf Aye Ga
Hum Apni Zaat Ka Naam-o-Nishan Mita Dete...

Gumaan Bhi Hota

Chalakati aaye ke apani talab se bhi kam aaye



chalakati aaye ke apani talab se bhi kam aaye
hamare samane saqi ba-sagar-e-jam aaye


ajib bat ke kichad mein lahalahaye kanval
phate purane se jismon pe sajake resham aaye


masih kon bane sare hath aaluda
lahu-luhan hai dharti kahan se maraham aaye


nigar-e subhu se puchenge shab guzarne do
ke zulmaton se ulajhakar wo aai ya hum aaye


bas ek hum hi liye jayen dars-e-ijz-o-niyaz
kabhi to akadi hui gardanon mein bhi kham aaye


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Israr Ansari



Friday, October 26, 2012

Duniya Kare Gumaan Dosti Pe



Jab Jindagi Meri Kuch Rukne Lagi Thi,
Badte Kadam Kuch Thakne Lage The,
Sahara Yu Dost Ka Mila Mujhko
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.


Kuch Chehre Jab Paraye Hone Lage The,
Kuch Haath Chod Ke Jaane Lage The,
Tere Haath Ne Kuch Yu Thama Mujhko
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.

Safar Main Jab Paya Akela Maine Khudko Tha,
Shitij Pe Tara Koi Na Tha Raahgir Mera,
Kuch Yu Humsafar Ban Gaye Tum Mere,
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.


Ab Na Kissi Saathi Ki Khwahish Hogi
Ke Dost Tere Jaisa Jo Mil Gaya Hai Mujhko,
Kuch Yu Khili Hai Mushkilo Main Dosti Apni
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.


Ab Na Aanjam Ki Fikr Hai Mujhko,
Nahi Raah Ki Mushkilo Ka Koi Dar Hai,
Baantein Kuch Pal Saath Hum Raah Main Istarah
Ke Duniya Kare Gumaan Dosti Pe Anpni!!!



Mimi Is My Lolli-Pop Sweet Heart




Mimi Is My Lolli-Pop Sweet Heart


Me And Mimi Will Never Set Apart



We Spend The Day On The Beach


The Sky Is Blue



The Sea Color Is Azure


As The Horizon Can Reach



Mimi Dresses In Red Bikini


Nice And Tieny Wieny



She Is A Melody Music


A Song Of Happiness



We Run Together Holding Hands


We Twirl Around



And Fall On The Golden Sand


We Get Closer And Exchange Hugs



Smooches And Kisses


So Beautiful As Dreams



And Fairy Wishes


Birds Fly Over In Flocks



So Happily Swinging


Chirping And Singing


How Beautiful Day On The Beach












Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna

Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna
Mujh Ko Kya Kya Na Ras Tha Warna

Tu To Ranaiyon Me Gum Hi Raha
Me Tere Aas Pas Tha Warna

Tere Kehne Pe Tujh Ko Na Manga
Tu Mri Eltimas Tha Warna

Aaj Bethe Ho Ghair K Pehlu
Tu Mri Pehli Aas Tha Warna

Mujh Ko Bakhshi Nigaah Qudrat Ne
Me To Duniya Shanaas Tha Warna

Aaj Mujh Se Na Wasta Hafiz
Koi Mujh Se Na Khas Tha Warna...

Submitted By: Mahmood Hussain Akif

Ek Muhabbat Ka

Thursday, October 25, 2012

Hum Bhi Wohi, Hijr-e-Yaaraan Bhi Wohi - Best Eid Poetry

Eid Shayari

Eid Poetry - Eid Shayari

Hum Bhi Wohi, Hijr-e-Yaaraan Bhi Wohi,
Wohi Dil-e-Be’taab Bhi,
Suna Hai, Koocha-e-Yaaraan Mein Eid Hai
Aik Din Ke Baad….

Zindagi Tab Behtar Hoti

Zindagi Tab BEHTAR Hoti Hai,
Jab Aap KHUSH Hotay Hain Lekin.


Zindagi Tab BEHTAREEN Hoti Hai
Jab Aapki Wajah Se Koi Doosra KHUSH Hota Hai.

Ager Mjhse Shadi Krni Hai

Girl:
Ager Mjhse Shadi Krni Hai To Tumhe Hr week ami Ko 10kg Aata 5kg cheeni
or
Papa Ki Bike Main 10 Liter Petrol Dalwana Hoga.
Boy:
Acha Behan Ami Abu Ko Salam kena

Its Too Cold Here

Girl: its too cold over here
.
boy: u want my jacket?
.
girl: no i want ur arms around me!
.
boy:
.
.
.
pagal aese baten ni karte gunah milta hai!
.
SubhanAllah keh kr frwrd karen…
:p :D:…:.

Namak ni hai

Wife 2 hsbnd


Zra kitchen se namak lana


Hsbnd


Yaha to koi namak nhi hy


Wife


Mjhe pta tha Tm to ho hi andhe Tmhe nhi milega


Is lye pehly hi le i thi 😉

Zamane me Wafa

mE dHundnE kO jaB zAmanE mE waFa niKlA


TO paTa cHala Ly k gHalt paTa lY kR niklA.

Wednesday, October 24, 2012

Reh Na Akar Key

Reh na akar kay
Un say jo chalatay thay
Ungli pakad kay

Mother Love Poetry

By: Dr. Riaz Ahmed

Mind and Matter

All the Problems are stuck between Mind and Matter..


If You don’t mind, It doesn’t matter !!! :)

Tuesday, October 23, 2012

Worry about success

Dont worry about the delay in your success as compared to others


Because, Construction of a wonder takes m0re time than an ordinary Design

You are First Person

You are the first person


who has been able to make my heart


beat slower and faster at the same time.

Bulleh Shah Us Nal Yari Kadi Na Liyo




Bulleh Shah Us Nal Yari Kadi Na Liyo, Jis Nu Apnay Tay Ghroor Hovay


Buray Raste Kadi Na Jayo, Chahy Kani Wi Manzal Door Hovay


Rah Janday Nu Dil Na Diyo, Chahy Lakh Mounh Te Noor Hovy


Pyar Sirf Othay Kario, Jithay Pyar Nibahwan Da Dastoor Hovay>>>>>>>>>>>>




Rasul (S.A.W.W) per darood

RAsul (S.A.W.W) ny farmaya ,


jab tum kuch bhool jao to mujh per DAROOD parho ,


INSHA-ALLAH yaad a jaye ga

Shayad Mujhe Kisi Se Muhabbat Nahi Hui

Shayad Mujhe Kisi Se Muhabbat Nahi Hui
Lekin Yaqeen Khud Ko Dilata Raha Hun Me...

Shayad Mujhe Kisi

Loadshedding ka month

Le wapda: yeh bass last month hai loadshedding ka


Le awam: wow great! yani us k baad bijli ni jaye gee?


Le wapda: ni, phirr bijli khatam ho jaye ge


le awam

Monday, October 22, 2012

Teri Palkon Mein Rukna Hai Raat Bhar Ke Liye

Teri Palkon Mein Rukna Hai Raat Bhar Ke Liye,
Mein To Ik Khwab Hun, Subh Ko Chala Jaon Ga...

Khwab

Sunday, October 21, 2012

Woh Mera Sab Kuch Tha, Bas Meri Kismat Mein Nahi Tha

Woh Mera Sab Kuch Tha, Bas Meri Kismat Mein Nahi Tha,
Kaash Woh Mera Kuch Na Hota, Bas Meri Kismat Mein Hota...

Kaash.... any.....

Karbala Poetry – Hazrat Hussain – Muharram Shayari



Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Sar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-Yazeed
Haqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain
(Khwaja Moinuddin Chisti)


———————————————


Islam Ke Daman Men Bas Is Ke Siva Kya Hai
Ek Zarb-E Yadulla Hi Ek Sajda-E Shabbiri
(Allama Muhammad Iqbal)


———————————————


Haqq O Batil Ki Hai Paikar Hameha Jari
Jo Na Batil Se Daren Hain Vahi Shi’an-E Hussain
(Muhammad Ali Jauhar)


———————————————


Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Ba’d
(Muhammad Ali Jauhar)


———————————————


Jo Zulm Peh La’nat Na Kare, Aap La’een Hai
Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai
(Faiz Ahmed Faiz)



A Real Relationship

A real relationship has
faith
fights
trust
tears
arguments and lots of love.

Mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main – Muzaffar Warsi



mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahi hun main
insan hun dhadakate huye dil pe hath rakh
yun dubakar na dekh samundar nahi hun main
chehare pe mal raha hun siyahi nasib ke
aaina hath mein hai sikander nahi hun main
galib teri zamin mein likkhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahi hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Muzaffar Warsi



Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto – Ahmed Faraz



Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin ke bure hum hain dosto
kis ko hamare hal se nisbat hai kya karen
aankhen to dushmanon ke bhi purnam hain dosto
apne siva hamare na hone ka gham kise
apni talash mein to hum hi hum hain dosto
kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar ke chirag bhi maddham hain dosto
is shahar-e-arazu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ke raunaqen bhi koi dam hain dosto
sab kuch sahi ‘faraz’ par itna zarur hai
duniya mein aise log bahut kam hain dosto


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Kaise Ghalt Fehmi

Wife: Tum Raat K0 S0ty Mn Mujhe Galian De Rhe Thy?


Husband: Nhi Tmhen Ghalt Fehmi Hui Ha


Wife: Kaisi Ghalt Fehmi?


Husband: Yehi K Mn S0ya Hua Tha..!!

Saturday, October 20, 2012

Jeet K Jub Chali Zindagi Samnay



Qeqahay Qehqahay
Roshni Roshi
Nazer Ki Zuban Mien Thee Chashni
Saray Aaina Bhi
Pasay Aaina Bhi
Aagehi Thee Ya Khud Aagehi


Qehqishan Qehqishan
Jugnoon Say Bani
Jhilmilati Rida….
Khushi Si Khushi Thee
Nasha Sa Nasha
Wohi Bankpun Tha
Wohi Thee Aada


Wohi Hath Thay
Makhmali Makhmali
Sandliy Sandliy
Mager Un Pay Ub Thee
Bari Kham Si
Kisi Aur Nam Ki
Bilbilati Hina…
Jeet K Jub Chali Zindagi Samnay
Raakh Ka Dheir Thee Zindagi Samnay


Poet: Sajid Hadayat
(+92 333 4123 685)



Dushmani Patriotic Shairy



Bahut Khel Chuke Khel Dushmani Ka
Ab Dosti Ka Khel Khelte Hain


Kya De Sake Hain Siva Dahshat Ke Hum
Chalo Chain Aman Ki Raah Ab Chalte Hain


Khade Honge Jab Hum Tum Saath Saath
Fir Dekho Dushmanon Ke Dil Kaise Jalte Hain


Tod Do Sarhado Ke Daayre Ab Tum
Dushmani Ko Chalo Pairon Tale Masalte Hain


Banayenge Milkar Ek Haseen Jahan Hum
Paak Muhabat Se Chalo Gale Milte Hain


Jaha Na Ho Bhed-Bhaav Ki Baahvna
Le Chalo Sabko Aisi Dagar Chalte Hain



You Never Get A person Of Your Type

You Never Get A Person OF Ur Type In This World.
U Will Either Have To Adjust
Or
U Will Have To Compromise
U Adjust When Someone Wants To Be With U……..?
And
U Compromise When U Want To Be With Someone..

Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se



Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se 'Baasit'
Najaane kis Ungli ko pakar kar Meri Maa ne mujhe Chalna seekhaya...!

Friday, October 19, 2012

Zindagi Qabr Hai Aur Mei Hoo!



Zindagi Mei Hijr Hai Aur Mei Hoo
Sirf Sabr Hai Aur Mei Hoo
Kabhi To Khushi Mere Qadam Chume Gi
Abhi To Bass Sabr Hai Aur Mei Hoo
Khayaloon Mei TU Hai Aur Laboo Par Tabassum
Dil Par Aik Boaj Hai Aur Mei Hoo
Ab To Itna Tanha Ho Chuka Hoo Mei
Zindagi Qabr Hai Aur Mei Hoo!



Salary dekte hi khayaal

A serious thought


umar ki raah mein jazbaat badal jaate hai


Waqt ki aandhi mein halaat badal jaate hai


Sochta hoon kaam kar kar ke record tod du


Lekin kambakht salary dekte hi khayaal badal jaate hai

Thursday, October 18, 2012

Kon Poochta Hai Pinjre Mein

Kon Poochta Hai Pinjre Mein Band Panchion Ko_
Mohsin
_Yaad Wohi Aate Hein Jo Urr Jate Hein_ . . .

Log Kehte Hain Main Sharabi Hoon Lyrics




Log Kehte Hain Main Sharabi Hoon


Tumne Bhi Shayad Yahi Soch Liya



Kisi Pe Husn Ka, Guroor, Jawani Ka Nasha


Kisi Ke Dil Pe Mohabbat Ki Rawani Ka Nasha



Kisi Ko Dekh Ke Saanso Se Ubharta Hai Nasha


Bina Piye Bhi Kahi Hadh Se Guzarta Hai Nasha



Nashe Mein Kaun Nahi Hai Mujhe Batao Zara


Kise Hai Hosh Mere Saamne To Lao Zara



Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda


Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha



Hawa Pe Khushboo Ka, Hai Badal Pe Rimjhim Ka Nasha


Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka, Kahin Gham Ka Nasha



Nasha Sharab Mein Hota To Naachti Botal


Maikade Jhoomte, Paimanon Mein Hoti Halchal



Nasha Sharab Mein Hota To Naachti Botal


Nashe Mein Kaun Nahi Hai Mujhe Batao Zara




Tum haya-o

Tum haya-o- shariyat ki bat karte ho
hum ne nange jismon ko malboos-e-haya dekha hai
hum ne dekhe hein ehram mein liptey kai iblees
aur mey khaney mein aksar khuda dekha hai

Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekha – Afzal Minhas



Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekha
hum ko logon ne bulaya hamen chu kar dekha


jab bhi chaha hai ki malabus-e-vafa ko chu lain
misl khushbu koi udata hua paikar dekha


wo barsat mein bhiga to nigahen utthin
yon laga hai koi tarsha hua pathar dekha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhi na tha
is ke ataraf mein sholon ka samandar dekha


aa gai gham ke hawa phir tere gesu chukar
hum ne virana-e-dil phir se mu’attar dekha


wo jo udati hai sada dasht-e-vafa mein “afzal”
usi matti mein nihan dard ka gohar dekha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Afzal Minhas



Phir Na Himmat Hui Sawalon Ki

Phir Na Himmat Hui Sawalon Ki
Itne Mukhtasir Jo Jawab Mile...

Phir Na Himmat

Dil Jalana Na Chora

Baad Marnay Kay Bhi Usne Chora Na Dil Jalana


“FARAZ”


Roz Phaink jata Hai Phool Sath wali Qabar Par

Kal”RAAT” Buhat Dino Baad

“hall-e-dill”
aaj mujhe yeh doori kun mehsoos ho rahe ha,
tanhaiyon ki parchaaiyan maray sath kun chal rahe hai,
udaas hai ye dil mara….!
sochata ho thumhary baray main to ye ankhan kun bhar aati hain.
payar tum sy kitna hai ye to tum janti ho,


payar hai…..!
pal hai…!
yaadien hai…!


to phir kun chaaye hai ye udasi,
kun thanha hai mara dil tumharay bina ji nahe sakta sub kuch adhura sa lagta hai.
ab to bs ye he intzar rahta hai,
ky kb aye ga milan ka din……….<3<3

Hold your Temper is

The Most important time to hold your Temper is


When the other person has Lost


subha-bahkair

KHAMOSHI Esa Darakht Jis Pr

KHAMOSHI:
Esa darakht jis pr karwa phal nahi lgta
HASAD:
Esa marz jo insan ko andar or bahir se khatm krta hy
SACHAI:
Esi dawa jski lazat karwi magr taseer shehad se zyada meethi hy
ZAHANAT:
Esa nadir poda jo mehnat k bagher nahi lagta
KHUSH AKHLAQI:
Esi khushbu jo meelon door se mahsos hoti hy.

Wednesday, October 17, 2012

Rab Rab Karde Budday Ho Gaye

Rab Rab Karde Budday Ho Gaye, Mulla Pandit Sary

Rab Da Khod Khara Na Labba, Sajde Kar Kar Haary

Rab Te Tere Andr Wasda, Wich Quran Ishary

Bullay Shah! Rab Ohnu Milsi Jehra Apne Nafs Nu Mary...

Rab Rab Karde

Gham-e-Khaas Par Kabhi Chup Rahe

Gham-e-Khaas Par Kabhi Chup Rahe
Kabhi Ro Diye Gham-e-Aam Par...

Gham-e-Khaas Par

Tujh ko paane ke khuwaish

Na Jane Kis Ko Paane Ki Khuwaish Mai..


Me Rafta Rafta Khud Ko Kho Raha Hon….!!

Prove To Me Your Worth




Prove To Me Your Worth, And I’ll Prove To You Mine,


It Is A Lonely Place Called Earth, Not So Lonely If You Are Mine.



Love Needs Your Commitment, It Also Needs Mine,


Promise Your Commitment , As I Will Surely Give You Mine.



In Gladdness In Sorrow, In Your Pain Or Mine,


Our Love Will Always Have A Tommorow, In Your Heart And Mine.



Tell Me Your Secrets, I’ll Tell You Mine,


After This There Will Be No More Secrets, Whether Yours Or Mine.



There Will Be No More Yours,


There Will Be No More Mine,



There Will Be Ours, Where Mine Will Be Yours,


And Ours, Where Yours Will Be Mine.





Tuesday, October 16, 2012

Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi



Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena “Koi Khaas Nahi”
Ek Dost Hay Kaccha Paka Sa
Ek Jhoot Hay Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhaanpay Ek Parda
Bus Ek Bahana Accha Sa
Jeevan Ka Aisa Sathi Hay
Jo Door Nah Ho K Pass Nahi
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi



Mosam ke Ada

Tum Marasim Main Bhi Mosam Ki Ada Rakhtay Ho


Kabhi Barastey Ho Tu Kabhi Boond Ko Tarsaty Ho


Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Tere Hain


Pal Main Izhar-E-Muhabbat Say Mukar Jaatay Ho

Kya Husn-E-Itifaq Hai Unki Gali Me Hum

Kya Husn-E-Itifaq Hai Unki Gali Me Hum

Ek Kam Se Gaye The Hr Kam Se Gaye...

Kya Husn-E-Itifaq

Ablapa Koi Is Dasht Main Aya Hoga



Ablapa Koi Is Dasht Main Aya Hoga
Warna Andhi Main Diya Kis Ne Jalaya Hoga


Zarre Zarre Pe Jare Honge Kunware Sajde
Ek Ek But Ko Khuda Us Ne Banaya Hoga


Pyas Jalte Huye Kanton Ki Bujhai Hogi
Riste Pani Ko Hatheli Pe Sajaya Hoga


Mil Gaya Hoga Agar Koi Sunahari Patthar
Apna Tuta Hua Dil Yad To Aya Hoga


Khun K Chinte Kahin Poch Na Len Rehron Se
Kis Ne Wirane Ko Gulzar Banaya Hoga



Monday, October 15, 2012

Badla Hua Hai Aaj Mere Aansuon Ka Rang

Badla Hua Hai Aaj Mere Aansuon Ka Rang
Kya Dil K Zakhm Ka Koi Taanka Udharr Gaya...

Badla Hua Hai

Aapki Aankho Ki Kashish



Aapki Aankho Ki Kashish Ne Hai Ye Mujhko Ehsaas Dilaya
Masoom Apke Chehre Ne Dil Mein Ek Khwab Jagaya


Kami Si Hai Kisi Ki Mere Iss Jeevan Mein Ye Dil Ne Farmaya
Jab Hue Tanha, Tanhayee Ne Humein Aapka Ehsaas Karaya


Khayalo Ki Manzil Mein Jisi Talaash Humne
Khuda Ne Shaklo-Shurat Se Hai Tumhe Banaya



Dundle Se Uss Aks Ka Jiske Karte The Hum Intezaar Khwabon Mein
Aaj Humein Zindagi Ne Use Aapke Roop Hai Humse Milaya



Sunday, October 14, 2012

Love guru

[0][3][3][2][3][5][1][9][0][7][9]


ye lo love guru se taveez lia hai!


Jis larki ko doge wo foran mera hojayega!yaqin na aaye to larki ko bhejo.

Before The Golden Sunset

Before the golden sun sets, old calender is destroyed,
And mobile networks get jammed,
I wish in new year every moment is enjoyed.

Chaman men subah ye kahati thi ho



chaman me.n subah ye kahatii thii ho kar chashm-e-tar shabanam
bahaar-e-baaG to yuu.N hii rahii lekin kidhar shabanam


arq kii buu.nd us kii zulf se ruKhasaar par Tapakii
taajjub kii hai jaage ye pa.Dii Khurshiid par shabnam


hame.n to baaG tujh bin Khaanaa-e-maatam nazar ayaa
idhar gul phaarate the jeb, rotii thii udhar shabanam


kare hai kuchh na kuchh taasiir sohabat saaf taabo.n kii
huii aatish se gul ke baiThate rashq-e-sharar shabnam


bhalaa tuk subah hone do ise bhii dekh leve.nge
kisii aashiq ke rone se nahii.n rakhati Khabar shabnam


nahii.n asbaab kuchh laazim subak saaro.n ke uThane ko
gaiii u.D dekhate apane baGair az baal-o-par shabnam


na paayaa jo gayaa is baaG se hargiz suraaG usakaa
na palTii phir sabaa idhar, na phir aaii nazar shabnam


na samajhaa Dard hamane bhed yaa.N kii shaadii-o-Gam kaa
sahar khandaan hai kyo.N rotii hai kis ko yaak kar shabanam


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Khwaja Mir Dard



Dil Chahta Hai



Dil Chahta Hai Teri Ankhon Per Kuch Aur Likhon
Har Tarha Likh Chuka Hoon Ab Kis Tor Likhon


Ab To Har Koi Inhain Jaan Lewa Kehta Ha
Main Bhi Tasdeeq Karon Ya Zmaney Ka Shoore Likhon


Ab Muje Chahiye Ke Teri Awaz Ko Rabab Kahon
Aur Sochta Hoon Khubsorti Ko Masal Moor Likhon



Teri Nazuk Klaiyon Per Bhi To Kuch Likhna Chahoon
Andaz_e_bayan Ko Bhi Chahta Hoon Kabl_e_gor Likhon


Kabi Baith Jaoon Jo Mian Pencil Kagaz Ley Kar
To Apni Aur Tumhari Mohabbat Ka Tamam Door Likhoon


To Meri Janab Dekhey To Nazrain Joka Leta Hoon
Tuj Ko Bahadur Likhon Yan Khud Ko Kamzor Likhon


Tu Jab Kabi Yaad Aye To Dil Chahta Ha
Teri Tasweer Banaoon Ya 1 Ghazal Fir Or Likhon



Hum Masjid Ko Maahana Kya Dete Hain

Hum Jis Masjid
Me Roz Namaz
Adaa Karte Hain Wahan Hame
Wazo K Liye Paani,
Hawa K Liye Fan,
Roshni K Liye light
Carpet Or Imam Etc Farham Kia Jata Hy
Ta K Hamy Namaz Me Aasani Ho.
Is K Badle Me Hum Masjid Ko Maahana Kya Dete Hain??
Jb k hum TV cable r INERNET ki fees
har month baqaid-gi se dete hain.
ZARA SOCHO OR IS
SMS KO AAM KARO,
ALLAH ZAROR
AJAR DEGA.

Har Ek Sawaal Ka Usko Jawaab Kya Dete

Har Ek Sawaal Ka Usko Jawaab Kya Dete

Hum Apni Zaat Ka Usko Hisaab Kya Dete

Jo Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Saka Mahfooz

Hum Us K Haath Me Puri Kitaab Kya Dete...

Har Ek Sawaal

Happy Independence Day



This Is The Day,
That Our Nation Sings
This Is The Day
That The Liberty Bell Starts To Ring
This Is The Day
We All Start To Remember
What We Stand For
And To Celebrate Our Independence
We Stand Up High, As We
All Start To Cry
As We Think About,
All That Died
For You, For Me, For Our Whole Country
Risking There Life
Eaxh And Everyday Here Is A Salute
To All That Lay …
Happy Independence Day



Time Has Great Power to Change

Never decide about a person by his past status,


because time has great power to change a useless coal into a valuable Diamond.

Extremely Happy 2013

Wish You a great
Prosperous,
Blissful,
Healthy,
Bright,
Delightful,
Mind Blowing,
Energetic,
Terrific &
An Extremely Happy New Year 2013

Saturday, October 13, 2012

Life Path

Prayer is not a spare wheel that you pull out when YOU ARE IN TROUBLE It is a steering wheel that keeps you on the right path throughout your life

Ishq mein jan se guzarate hain guzarne wale – Ameer Minai



Ishq mein jan se guzarate hain guzarne wale
maut ke rah nahi dekhte marane wale
aakhiri waqt bhi pura na kiya vada-e-vasl
aap aate hi rahe mar gaye marane wale


uthe aur kucha-e-mahabub mein pahunche aashiq
ye musafir nahi raste mein thaharne wale


jan dene ka kaha main ne to hans kar bole
tum salamat raho har roz ke marane wale
aasman pe jo sitare nazar aaye ‘ameer’
yaad aaye mujhe daag apne ubharne wale


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Ameer Minai



Kehdo Un Parhne Walon Se

Kehdo un parhne walon se,
Kabhi hum bhi parha kertay thay,
Jitna syllabus parh k wo top kertay hain,
Utna to hum choice per chor dia kertay thay,

Khush rahe ya bahut udas rahe – Bashir Badr



Khush rahe ya bahut udas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in badaliyon se nikalega
koi aayega dil ko aas rahe
hum muhabbat ke phul hain shayad
koi kanta bhi aas pas rahe
mere sine mein is tarah bas ja
meri sanson mein teri bas rahe
aj hum sab ke sath khub hanse
aur phir der tak udas rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Friday, October 12, 2012

Save Many Relations

We can save many Relations


if we Understand a Simple fact that people are not DIFFICULT,


they are DIFFERENT.

Funny Love Story

A LOVE STORY


Lux & Rexona were lovers


lived in Safeguard apartment in Dettol street


Lux’s dad Capri & mama Palmolive fixed his marriage with Opal


But Rexona’s dad Lifebuoy & mama Camay decided Lux & Rexona’s marriage in Dove Marriage hall.


Rexona’s uncle Tibet & aunty Palmy signed as witness.


1 year later Rexona gave birth to twins


they named them Johnson & Johnson.


Moral:


Main nay saaray soaps kay naam yaad karwa diye hain,


ab to naha Loo0o…(…..)

Zubaan Khamosh Hoti Hai Nazar Se Kaam Hota

Zubaan Khamosh Hoti Hai Nazar Se Kaam Hota Hai

Isi Mahol Ka Shayad Muhabbat Naam Hota Hai...

Zubaan Khamosh Hoti

Thursday, October 11, 2012

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me Fajar K Waqt
Ankhen Kholun To Sanam Jaye Jo Na Kholun To Khuda...

Submitted By: Muhammad Zunnoorain

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga
Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe
Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga
Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge
Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga
Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga
Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha
Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga
Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga
Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga
Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun
Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga
Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga
Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga
Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga...

Tum Meri Aankh K

Wednesday, October 10, 2012

Great Aspects Of Life




Love And Friendship



Great Aspects Of Life


Love Is A Healer 4 All Sorrows And Pains



Friend Isa Gift When Life Is In Vain


Love  Never Gives Tears



Friends Wipe Away All The  Fears


Love Happens With No Reason



Friends Are With Us In All Season


Higher Than Love There Z No Relation



Friends Definitely Have Some Destination


Love Is Present In All And One



Friends Give Us Joys In Multi Tonnes


Love Leads The Way And Is Guiding Star



Friends  Like U As What U Are


Love Is Done Without Conditions



Friends Have Some Boundations


Love Can Make U Pure And Strong



Friends Tell Us What Is Right And Wrong


Love Is Divine



Friends Take The Life To Cloud Nine


Love  Makes U Rich At Heart



Friends Are Alwayz Ready 4 A New Start


Love Makes  Life Worthwhile



Friends  Always Make U Smile


Love  Begins With Friendship And Has No End



Friendship Begins With Companionship


And Love Is Its End




Level of Trust on U

If SOMEONE shares problems with u and asks for help,
doesnt mean they r weak or incompetent,
But It indicates THEIR level of trust on U

How To Make A Wife Happy

How To Make A Wife Happy ??
.
Its not so difficult.
Here are Some Tips:
Just be a Good:
1. Friend
2. Companion
3. Lover
4. Chef
5. Electrician
6. Carpenter
7. Plumber
8. Mechanic
9. Decorator
10. Stylist
.
.
.
.
.
.
.
51. Driver
52. Psychologist
53. Healer
.
.
.
.
.
.
.
102. Good Listener
103. Organizer
104. Good Father
.
.
AND WITHOUT FORGETTING TO:
.
994. Give her compliments  regularly
995. Take her for shopping
996. Be honest
997. Be very rich
998. Not look at other girls
1000. Remember birthdays & anniversary etc.
.
& now
.
How to keep
a Husband happy?
1) just Leave him alone:-)

Tuesday, October 9, 2012

Im Getting Married Next Month

I m getting married next month.
I m getting married next month….


its small party and only few people will be invited……
dont bring any gift…..
just bring someone who ll marry me.

May ALLAH Bless Us

*~Eid Mubarak~*
To You & Your Family. May Allah Bless Us All With Happiness & Faith. Ameen.

Monday, October 8, 2012

Ye watan humara hy

|=–.._..-=-._.
| ! (* ;
|=–!._..-=-._;
|
|


Ye watan humara hy tum ho khamkha is me..


14 AUGUST MUBARAK!

Aik lamha muyassar

Sakoon ka Aik Lamha Bhi Nahi Muyassar Mujko…..,


Yadon ko SuLati Hoon…To…Tanhai jaag Uthti Hai…..!!

Aap ko dekh kar dekhata rah gaya – Aziz Qaisi



Aap ko dekh kar dekhata rah gaya
kya kahun aur kahane ko kya rah gaya
un ke aankhon mein kaise chalakane laga
mere honton pe jo majara rah gaya
aise bichde sabhi rah ke mod par
aakhari hamsafar rasta rah gaya
soch kar aao ku-e-tamanna hai ye
janeman jo yahan rah gaya rah gaya



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Aziz Qaisi



Chote The Tab Larte The Maa Meri Hai

Chote The Tab Larte The Maa Meri Hai Maa Meri Hai
Bary Ho Kar Larte Hain Maa Teri Hai Maa Teri Hai...

Chote The Tab

Sunday, October 7, 2012

Arz kiya hai

English poetry:
Arz kiya hai…
Those who know me know me well!
.
.
WAH WAH!
.
.
Those who know me know me well!
.
.
Those who don’t know meGo 2 Hell;-)

yaar Altaf Bhai

Tum ayse na roya karo yaar Altaf Bhai..


Gham ke mahool mein bi puri qaum ki hansi nikal jati hai.. 😛 😀

River Can Dry

River Can Dry
Mountain Can Fly
You Can Forget Me
Never Can I

zindagi jis se mohabbat Poetry

Sambhala hosh hey jab se “muqaddar” sakht tar nikla,
Para hey waasta jis se wohi “teer-o-tabar” nikla,
Sabaq deta raha jo umer bhar “roshan khiyali” ka,
Usy jab paas se dekha to khud bhi “tang nazar” nikla,
Samajh kar “zindagi” jis se mohabbat kar rahe they hum,
Usy jab chhu kar dekha to faqat “khaki bashar” nikla,
Mohabbat ka khumaar utra to tab saabit howa hum par,
Jise hum “umer” samjhe they wo “bemaqsad safar” nikla…!

Evil Fury Burns Inside




Evil Fury Burns Inside


In This Book My Anger Hides



Terror Reigns Throughout My Heart


On My Page Murders An Art



Pounding Nails Drive Through My Mind


In My Soul Demons You’ll Find



How Can A Book Hold So Much Pain?


How Can I Write Though Still Be Slain?



Screaming No One Hears My Cries Of Anger


Small Baby Jesus Left Dead In His Manger



Throughout The Pages Blood Will Pour


Your Hateful Body Dead On The Floor



Evil Fury Burns Inside


In This Book My Anger Thrives




Saturday, October 6, 2012

AFTARI hay valima nae

AEY IMAN WALO..
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Hath halka rakhna AFTARI hay valima nae

parinday se poochha

Allama Iqbal ne parinday se poochha:


“Kia tumhein Aasmaan se girne ka der Nahi hota..?”


Parinda bola:


“Yaar Iqbal !Teri mehrbani ,


inna na sochia kr..”

Pegham e Mustafa

Bazaar To saja Diye hum ne Meelad-e-Mustufa k Liye.


Pegham-e-Mustufa kya Hai Ye Hum Ne Bhula Dia.

Mera Boyfriend

Girl: Doctor sahab mere boyfriend ko andar bula lijiye


Doctor: Trust me mai shareef admi hu


Girl: Nahi Doctor Sahab, apki nurse bahar akeli hai

Friday, October 5, 2012

Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar

Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar Daalen
Kabhi Nafrat K Dariya Me Mujhe Daakhil Wo Kar Daalen

Kabhi Sultaan Bana Daalen Mujhe Apni Wo Duniya Ka
Kabhi To Sheher Me Apne Mujhe Saail Wo Kar Daalen

Kabhi Wo Be-Panah Deedar Ki Daulat Mujhe De Dein
Kabhi Parday Ki Deewaren Kadi Haayal Wo Kar Daalen

Kabhi Apne Wo Pehlu Me Mujhe Sadiyaan Sulaa Daalen
Kabhi Barson Ki Neendon Me Ajab Halchal Wo Kar Daalen...

Kabhi Itna Wo

Dil Karta Hai Ke Lipat Jaon - Jaan Shayari

Urdu Poetry - Jaan Shayari

Dil Karta Hai Ke Lipat Jaon Rooh Ban Kar Tere Jism Sey,
Ke jab Tum Se Juda Houn To Tumhari Jaan Hi Nikal Jaye…!

Week Before Exams

A week before exams…we refer to foreign authors.


2 days before exams…. We refer to local authors.


on the day of exam… We become authors…. “Jani sirf heading bata de baki teri behn khud likhey ge” 😀

Uthtay Hain Meray Qaddam Udhar

Hasrat Bharri Nigahon Ko Aaraam Takk Nahi
Palti Wo Zindagani K Phir Shaam Takk Nahi
Jis Ki Tallab Mein Zindagi Apni Guzzaar Di
Us Bewafa K Lab Pay Mera Naam Takk Nahi
Jo Keh Gaye Thay Shaam Ko Baithain Gay Aaj Phir
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paighaam Takk Nahi
Madfoon Hoon Teray Hijjar Ki Ik Aisi Qabbar Mein
Kutbay Pay Jis K Aaj Koi Naam Takk Nahi
Be Ikhtiyaar Uthtay Hain Meray Qaddam Udhar
Halaan K Us Galli Mein Mujhay Kaam Takk Nahi.

Aadat Se To Duniya

Hamari is Aadat Se To Duniya Khoob WaQiF Hai


Na Ham Ne Manzilain BaDli, Na Ham Ne khuD ko baDla

From When I Had Seen You




From When I Had Seen You,


I Always Keep Dreaming About You,



My Heart Has Become Mad For You,


How Much That I Can’t Tell You,



You Are My First Aim & Last Wish Is You,


Thats Why I Keep Thinking About You,



You Are My Love & My Life Is You,


Thats Why I Keep Running After You,



Thats Why I Feel So Lucky,


To Have Found Someone Like You




Thursday, October 4, 2012

Jazbaat Machal Jaty Hai

Kalaai na Pakra Kro,


Na he Pass Aya kr0..


Baat Chooriyon Ki nai


JazBaat Machal Jaty hay. 😛

Usko Us Jesa Mil Gaya Shayad

Usko Us Jesa Mil Gaya Shayad

Aaj Usy La-Jawab Dekha Hai...


Usko Us Jesa

Wednesday, October 3, 2012

Ladki ke Life Mein

Har Ladki K Life Me 1 Esa Ladka Hota Hai


Jise Wo Bhula Nhi Sakti


Aur


Har Ladke K Life Me 1 Esi Ladki Hoti H


Jisey Wo Pa Nahi sakta

Do You Want To Know

Do you want to know who you are?
Dont ask.
Act! Action will delineate and define you.

Lambi Line Thi

Doctor k band Clinic k agey lambi line thi
1 sardar bar-bar line mai ghusta,log usko pakr k peche phenk dete


sardar:Lagay raho kameeno,
mai v clinic nhi kholna.

Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein

Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein
Ghamon Se Door Bohat Koi Aasman Dhoondein

Bahar Ban Ke Baharon Ko Qaid Kar Aayn
Tere Wajood Ki Hare K Daastan Dhoondein

Ke Chaand Ban Ke Sitaaron Se Doosti Kar Layn
Tere Wisaal Ki Be_Chain Titliyan Dhoondein

Tujhe Talaash Karain Chandni Ke Saaye Mein
Shab-E-Faraq Me Lut’ti Hui Khizan Dhoondein

Kisi Ke Khwab Sajayn Hawa Ki Lehron Pe
‘Ali’ Ke Shehar Me Ab Koi Saayban Dhoondein

Khwahish

Best April Fool Sms

Hi,


Doing nothing?


Then Make a Place,


4 Me in ur Heart!!


I May come there any time!


Ur’s Faithfully,


“HeArT aTtAcK”

Tuesday, October 2, 2012

Dushman ko bhi sine se lagana nahi bhule – Sagar Azmi



Dushman ko bhi sine se lagana nahi bhule
hum apne buzurgon ka zamana nahi bhule
tum aankhon ke barsat bachaye huye rakhna
kuch log abhi aag lagana nahi bhule
ye baat alag hath kalam ho gaye apne
hum aap ke tasvir banana nahi bhule
ik umr hui main to hansi bhool chuka hun
tum ab bhi mere dil ko dukhana nahi bhule


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Azmi



Gud Morning Miss you Sms

Miss u..
Wen I smell any roseMiss u..
Wen I taste any sweetMiss u..
Wen I look at the moonButSpecialy Miss u..
Wen I raise my hands for pray..!


Güd Mörn¡ng.

Monday, October 1, 2012

Young Generation In Tention

Young generation ko sb se zyada tention kb hote ha? . . . . . . . .


Papers mein?? Nhy. . . . . . .


jb wo so kr uthen aur unka mobile unky pas na ho 😛 😉

Tu Jo Roye Ga Tu Meri Palkon Pe Nami Reh Jaye Gi



(GHAZAL)


Tu Jo Roye Ga Tu Meri Palkon Pe Nami Reh Jaye Gi


Zindgi Bas Naam Ki Zindgi Reh Jye Gyi


Tu Mujhe Corh Raha Hy Aik Baar Phir Sy Soch Ly


Main Chalal Jaon Ga Aur Teri Ankhen Dekhti Reh Jayein Gi


Yeh Nhi Keh Zindgi Tum Bin Ji Nhi Paon Gaa


Haan Meri Zindgi Mein Aik Kaami Reh Jye Gi


Zindgi Mein Sab Sy Ziyada Mainne Tumhein Chaha


Ayne Main Agr Na Bhi Raha Tu Meri Dastaan Reh Jaye…