Sambhala hosh hey jab se “muqaddar” sakht tar nikla,
Para hey waasta jis se wohi “teer-o-tabar” nikla,
Sabaq deta raha jo umer bhar “roshan khiyali” ka,
Usy jab paas se dekha to khud bhi “tang nazar” nikla,
Samajh kar “zindagi” jis se mohabbat kar rahe they hum,
Usy jab chhu kar dekha to faqat “khaki bashar” nikla,
Mohabbat ka khumaar utra to tab saabit howa hum par,
Jise hum “umer” samjhe they wo “bemaqsad safar” nikla…!
No comments:
Post a Comment