Sunday, October 21, 2012

Mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main – Muzaffar Warsi



mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahi hun main
insan hun dhadakate huye dil pe hath rakh
yun dubakar na dekh samundar nahi hun main
chehare pe mal raha hun siyahi nasib ke
aaina hath mein hai sikander nahi hun main
galib teri zamin mein likkhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahi hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Muzaffar Warsi



No comments:

Post a Comment