Dushman ko bhi sine se lagana nahi bhule
hum apne buzurgon ka zamana nahi bhule
tum aankhon ke barsat bachaye huye rakhna
kuch log abhi aag lagana nahi bhule
ye baat alag hath kalam ho gaye apne
hum aap ke tasvir banana nahi bhule
ik umr hui main to hansi bhool chuka hun
tum ab bhi mere dil ko dukhana nahi bhule
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Azmi
No comments:
Post a Comment