Wednesday, February 22, 2012

Ye meri gazalen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hain – Ahmed Faraz



Ye meri gazalen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hain
ye tazkiren teri lutf ke hain ye sher teri shikayaten hain
main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ke s’aten hain
jo zindagi ke naye safar mein tujhe kisi roz yaad aayen
to ek ek harf jee uthega pahan ke anfas ke qabayen
udas tanahaiyon ke lamhon mein nach uthengi ye apasarayen


mujhe teri dard ke alava bhi aur dukh the, ye janata hun
hazar gham the jo zindagi ke talash mein the, ye janata hun
mujhe khabar hai ki teri aanchal mein dard ke ret chanata hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai
ye zakhm gulzar ban gaye hain ye aahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye aag dil ke sada bani hai
aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghmay jo kal mere the wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judai mein kat gaye roz-o-shab tere hain
wo tera shayar tera muganni wo jis ke baten ajeeb si thi
wo jis ke andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
wo jis ke jine ke khvahishen bhi khud us ke apne nasib si thin


na puch us ka ki wo divana bahut dinon ka ujad chuka hai
wo kohakan to nahi tha lekin kadi chattanon se lad chuka hai
wo thak chuka hai aur us ka tesha usi ke sine mein gad chuka hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment