Wednesday, February 8, 2012

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha – Farhat Shahzad



Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha
dahakati aag thi tanhai thi fasana tha
gamon ne bant liya mujhe yun aapas mein
ke jaise main koi luta hua khazana tha
ye kya ke chand hi qadmon pe thak ke baith gaye
tumhen to sath mera dur tak nibhana tha
mujhe jo mere lahu mein dubo ke guzra hai
wo koi gair nahi yar ek purana tha
khud apne hath se “shahzad” us ko kat diya
ke jis darakht ke tahani pe aashiyana tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Farhat Shahzad



No comments:

Post a Comment