Sunday, February 5, 2012

Pech rakhte ho bahut saj-o-dastar ke bich – Ahmed Faraz



Pech rakhte ho bahut saj-o-dastar ke bich
main ne sar girate hue dekhe hain bazar ke bich
bagbanon ko ajab ranj se takate hain gulab
gulfarosh aj bahut jama hain gulzar ke bich
kaj adaon ke inayat hai ki hum se ushshaq
kabhi divar ke piche kabhi divar ke bich
tum ho nakhush to yahan kon hai khush phir bhi ‘faraz’
log rehte hain isi shahar-e-dil-e-azar ke bich


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment