Monday, February 7, 2011

Ja kahiyo un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri neend gai – Bahadur Shah Zafar



ja kahiyo un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri neend gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri neend gai
na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja ke dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri neend gai
ae badashah-e-khuban-e-jahan teri mohini surat pe qurban
ke main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri neend gai
hui bad-e-bahari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanvar mera chain gaya meri neend gai
ae barq-e-tajalli bahar-e-khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri neend gai
kehta hai yahi ro ro ke “zafar” meri aah-e-rasa ka hua na asar
teri hijr mein maut na aayi abhi mera chain gaya meri neend gai
yahi kahana tha shero ke aj “zafar” meri aah-e-rasa mein hua na asar
tere hijr mein maut na aai magar mera chain gaya meri neend gai
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bahadur Shah Zafar



No comments:

Post a Comment