Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
(Baam-E-Falak : Terrace Of The Horizon)
Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si Aankhen
Sunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati Hain
Sunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us Ki
Sunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain
(Kaakul : Tresses)
Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat Hai
So Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain
(Surmaafarosh : Kohl Vendors)
Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Aa’inaa Tamsaal Hai Jabiin Uski
Jo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hii Laal-O-Gauhar Ke Dekhte Hain
(Hamaail : Something To Wear Around The Neck)
Sunaa Hai Chashm-E-Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Men
Palang Zaave (?) Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain
(Chashm-E-Tasavvur : Eyes Of Imagination)
Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain
(Qabaayen : Tunic)
Vo Sarv-Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahi
Ke Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain
(Sarv-Qad : Tall And Graceful; Shaguufe : Bud; Samar : Fruit)
Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil Ka
So Rah-Ravaan-E-Tamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain
(Rah-Ravaa.N : Travellers)
Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain
(Shabistan : Bedroom; Muttasil : Near; Makiin : Tenant)
Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti Hain
Chale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain
(Gardish : Time)
Kise Nasib Ke Be-Pairahan Use Dekhe
Kabhii Kabhi Dar-O-Diivaar Ghar Ke Dekhte Hain
(Be-Pairahan : Without Clothes)
Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi Sahii
Agar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain
(Mubaalage : Beyond One’s Limits)
Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen
“Faraz” Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain
No comments:
Post a Comment