Friday, February 11, 2011

Firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye



firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye
subuk huye hain to aish-e-malal se bhi gaye
jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aaye tp kashf-o-kamal se bhi gaye
usi nigah ki narmi se dag-maga gaye qadam
usi nigah ki tevar sambhal se bhi gaye
gam-e-hayat-o-gam-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gaye
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gaye to kya teri bazm-e-khayal se bhi gaye
hum aise kon the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gaye
charag-e-bazm abhi jan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere khad-o-khal se bhi gaye


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Aziz Hamid Madni



No comments:

Post a Comment