Aatay hain khuwabon main khayalon main musalsal
Phir hum se yeh kehtay hain k hum parda nasheen hain.
Sunday, January 31, 2010
Parda Nasheen Hain
Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi – Bashir Badr
Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahi
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar
bheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahi
ik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der tak
aankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahi
do char din ke baat hai dil khak mein so jayega
jab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahi
ahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahan
khamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
Best Mother SMS
MAA:
3 saal ki umar mae hum kehty thy: “ammi i love u”
10: “ammi jo bhi hae mjy kia”
16: “uff meri maa boht nasihate karti hae”
18: “mujhy is ghar mae nahi rehna”
25: “ammi aap thik kehti thi”
30: “mujhy apni maa k ghar wapis jana hae”
50: “mae apni maa ko khona nahi chahta”
70: “mae apna sab kuch lutaney ko tayar hu bas koi meri maa ko wapas le aae”
MAA SIRF AIK HOTI HAE !!! Uski muhabat ko saraho, k agar aik din wo dunia se chali gae to bohat daer ho jae ge.
Forward karo agar samajhty ho k tmhari maa dunia ki behtareen maa hae aur uski qadar karo.
ALLAH hamari maa ko dono jahan ki khushya de amen
Saturday, January 30, 2010
Shrab Sia Tooba
Kuch Is Tarha Sia Pila Muj Ko Aj Aa Sakee
Kia Yaar Gham Bee Bahool Jahoo Miay
Har Aik Ghoot Pia Lab Pa Hia Naam Kiu Un Ka?
Nasha Shrab Ka Hia Yia Ka Yaad Hia Unkee?
Mira Lahoo Mia Too Shamil Shrab Kuch Hisee
Kia Jis Tarha Sia Sahgar Mia Lahria Shamial Hia
Hazar Bar Kiya Hum Na Shrab Sia Tooba
Har Aik Bar Akree Jam Pa Toota Hia Mira Har Tooba
Hum Karte Hain Tum Se Pyar
Jab Raat Bohat Ho Jati Hai, Or Dil Ki Tanhai Barhti Hay..
“Ek Shakhs Bohat Yaad Aata Hai, Hum Yaadon Mein Kho Jatey Hain..
“Jab Tanha Beth K Khuwabon Ki, Ek Dunya Dil Mein Basti Hay,
“Kuch Sapney Sach Ho Jatey Hain, Kuch Sapney Toot Bhi Jatey Hain..
“Jab Yaadein Hadd Sey Guzarti Hain, Ek Ajab Tamasha Hota Hay,
“Kabhi Hanstey Hain Kabhi Rotey Hain, Or Pagal Sey Ho Jatey Hain,
“Jab Dil Ki Dharkanein Poochti Hain, Kyun Raat Gaye Tum Jagtey Ho,
“Hum Ro Kar Chup Ho Jatey Hain, Or Janey Kab So Jatey Hain.
Its When You Have Had Everything
Look at a day when you are supremely satisfied at the end.
It’s not a day when you lounge around doing nothing,
it’s when you’ve had everything to do and you’ve done it.
Muje bewafa He Rehne Do
Wo Khfa Hein HmSe To Khfa He Rehne Do,
HmKo Unka Gunahgar He Rehne Do,
Wo Smjhte Hein Hm Ne Chorr Diya Hy Unko,
Baat To Jhoot Hai Mgr Such He Rehne Do,
Mudaton Mangi Hein Khuda Se Khushyan Unki,
Jo Ata Hay Hm Pe Elzam To Elzam He Rehne Do,
Unki Shrt Hay K Mai bewafa Bnu,
Agr Khushi Milay Unko To Muje bewafa He Rehne Do,
Ayega waqt To Dikhayenge Tumko Apna Khaloos,
Abi Khamosh Hain Bs Hmko Khamosh He Rehne Do.
Friday, January 29, 2010
Dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho – Iftikhar Arif
Dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri vahashaton ka sathi ho
main us se jhooth bhi bolun to mujh se sach bole
mere mizaj ki sab mausamon ka sathi ho
wo mere naam ki nisbat se mo’atabar thahare
gali gali meri rusvaiyon ka sathi ho
main us ki hath na aaun wo mera hoke rahe
main gir padun to meri pastiyon ka sathi ho
wo khwab dekhe to dekhe mere havale se
mere khayalon ki sab manzaron ka sathi ho
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif
At The Dawn Of History India
At The Dawn Of History India
Started On Her Unending Quest,
And Trackless Centuries Are Filled
With Her Striving And The Grandeur Of Her Success And Her Failures
Through Good And Ill Fortune
Alike She Has Never Lost
Sight Of That Quest Or Forgotten
The Ideals Which Gave Her Strength
Happy India
People who love you
There is no concept of being ‘busy’, its all abt priorities. People who love you would always find time for u no matter what& people who don’t will find excuses
Hausla Abhi Toota Nahin
Kuch Bhi Ho Hausla Abhi Toota Nahin
Kya Hua Jo Raat Ka Saath Choota Nahin
This motivational shayari in Hindi/Urdu will definitely give you jazba to face difficulties. Inspirational shayari in Hindi and Urdu will give you motivation to move forward. Hosla shayari is important for all men because they don’t have the same power every time so inspiring.
Thursday, January 28, 2010
Arzaan Huye Hum Itne Ke Nayaab Ho Gaye
Ab zindagi ke shelf mein dhoonda karain ge log
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye..
Mubarak Ho Eid
Sada haste raho jaise haste hain phool,
Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet,
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe
MUBARAK ho EID
Haar Jeet To Kissmat Ki Baat Hai
mana subah haseen hoti hai
pr dhalti sham usse b haseen
hoti hai , or raat sham se b
haseen hoti hai , po phat’te hi
jab subah namudar hoti hai
naseem e sahar uska mu
chumti hai , apna chap dikha
kar wo angrai leti hai , phir
dopahar ki tapti dhoop deti
hai , or phir chup chaap dhlne
lagti hai , paas hi khari shaam
use muskura kr use gale lagati
hai subah ko apne bahon me
samet leti hai , phr jab surmai
sham apni chap dikhla kar chpne
lagty hai chup ke se ,raat barh kr
shaam ko gale lagati hai , raat
ki khamoshi or thehre pal mein
subah o shaam mund kar ankhen
raat ki agosh me sojati hai
mana subah haseen hoti hai
wriitn by me
21Like · · Share
More posts from December 2
Gul Naaz shared Chora ganga keenarey waala’s photo.
December 2, 2012
EMPTY POCKETS & HUNGRY STOMACHS ”
Teach a Million things in Life. — with Leonora Elaydo Uy and 17 others.
Photo: EMPTY POCKETS & HUNGRY STOMACHS ” Teach a Million things in Life.
22Unlike · · Share
More posts from December 1 to 2
Gul Naaz
December 1, 2012
bahar ai jo chaman me to mangogi me
hisaab saare kitaab saare , kaha gae
hai gulab sare shabab sare , jo kye
the tere hawale wo shab k taare
khwaab sare , jo teri ronaq pe mar
mite the wo mar k phir jee uthe hai
phr lout ae hai adam se khwab sare
azaab sare, bhaar ai jo lout kar to
sehne gul me wirani q hai kaha gae
wo phool sare wo shab k tare wo…See More
21Like · · Share
More posts from November 28 to December 1
Gul Naaz shared Urdu Sad Poetry’s photo.
November 28, 2012
Aao Farigh Ho To Tumhen Bhi Sath Le Chalon….
Suna Hai Aaj IShq Ko Saza e Moat hai…. — with Zahid Irshad and 5 others.
Photo: Aao Farigh Ho To Tumhen Bhi Sath Le Chalon…. Suna Hai Aaj IShq Ko Saza e Moat hai….
3Unlike · · Share
Gul Naaz shared Very Sad Urdo Poetry Just For Broken Hearted’s photo.
November 28, 2012
With Jamshaid Jutt and 33 others.
Photo
1Like · · Share
See More 2012 Stories
Life Events
Add a life event from 2012
Friends
· 2012
Aleem Azmi
Akhtar Roy
Jai Bisht
Likes
· 2012
Women Festival Dubai UAE
Novel
+39
Tanhaiyon ke khof
sara hi sheher uske janazay mai tha shareek
Tanhaiyon ke khof se jo shakhs mar gaya
Apna Hissa Shumar Karta Tha
Apna Hissa Shumar Karta Tha
Mujhse Itna Wo Pyar Karta Tha
Wo Banata Tha Meri Tasveerain
Unse Batein Hazaar Karta Tha
Mera Dukh Bhi Khuloos-E-Niyat Se
Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha
Such Samjhta Tha Jhoot Bhi Mera
Yun Mera Aitbaar Karta Tha
Pehle Rakhta Tha Phool Raste Mein
Phir Mera Intazaar Karta Tha
Aj Pehlu Main Wo Nahi Faraz
Jo Mujhe Pe Jaan Nisaar Karta Tha.
Wednesday, January 27, 2010
Khaana Khaana Chor Diya
Imaam HASSAN
Ne Apni WaaLida H. FATIMA (R.A)
K Saath Khaana Khaana Chor Diya,
Maa Ne Is Baat Ko Mehsoos Kiya,
Ek Roz Farmaane Lagi
HASSAN
Mera DIL Kehta Hai K Tum Mere Saath Khaana Khao Par Tum Khaate Nahi Ho, Kiya Wajah Hai.?
ArZ Ki
Maa Ar Koi Wajah Nahi, Bas Dar Lagta Hai Kahen Ap Se PehLe Lukma Na Utha Loon Ar
Be-Adbon Me ShaamiL Na Ho Jaoon.
“SUBHAN ALLAH”
PLz Respect Your Sweet Mothers..
Good Morning
Kanton Se Dil Lagao
Kanton se dil lagao key taa-umar saath dain. .
Phoolon ka kia jo sans ki garmi na seh sakain .
Zara Sochiye
Allah k khoof aur mout k khoof ki behtreen misaal.
Azan ki awaz pr aik dukan bhi band nahi hoti, aur aik goli ki awaz pr poori market band ho jati hai. Zara Sochiye
Yaara Dukan Wale
1 Pathan Apna Mobile Qabristan Men Dfna Rha Tha.
Man: Ye Kya Kr Rhe Ho?
Pathan: Yaara Dukan Wale Ne Kha He K Mobile DEAD Ho Gya Hai
Tuesday, January 26, 2010
Mohabaat Mein
Mohabaat mein Dil Torne ke Liye Itna He Kafi hai
Faraz…
Ap Ka Matluba Number Dosri Line Pr Masruf Hai
Boy Text to his GF
Boy texts his GF:
Jaan, I can not live without you Will you marry me?
*KILLING Reply*
.
.
.
Girl: Kon mar raha hai ab? I lost all my contacts
Lkeero se Nikal jate Hain
Ye mumkin Nai k sb Log Bdal jaty Hain,
kuch Halat k sancho me b Dhal jaty Hain,
khali Hatho ko Ghour se dekha hy kbi?
kis trh Log Lkeero se Nikal jate Hain
Monday, January 25, 2010
Tere Firaaq K Lamhe Shumar Karte Hoye
Tere Firaaq K Lamhe Shumar Karte Hoye
Bikhar Gaye Hain Tera Intizaar Karte Hoye
To Mai B Khush Hoon Koi Us Se Ja K Keh De
Agar Wo Khush Hai Mujhe Be-Qarar Karte Hoye
Mai Muskurata Hua Aaine Mai Ubhrunga
Wo Ro Parega Achanak Singhaar Karte Hoye
Tujhe Khabar Hi Nahi Toot Gaya Hai Koi
Mohabbat Ko Boht Paaidar Karte Hoye
Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahin Hai Aankhon Mai
Mai Un Mai Doob Gaya Aitbaar Karte Hoye
Meethi Cheez
“Har Meethi Cheez Me Zehar Hai Siwaye Shehad K,
Or
Har Karwi Cheez Me Shifa Hai Siwaye Zehar K”
Hath Zakhmi hue to Kuch Apni hi Khata thi
Sunday, January 24, 2010
Qadmon Ko Tery Choomna Aasaan Hai
Qadmon ko tery choomna aasaan hai lekin
Mein soch raha hoon tu khuda hai k bashar hai. .!
Teacher To Pathan
Teacher to pathan:
can u translate the following sentence in a single English word?
Moti larki intezaar kar rahi hai?
Pathan: Motivating
When You’re Lonely
When You’re Lonely
I Wish You Love.
When You’re Sad
I Wish You Joy.
When You’re Discouraged
I Wish You Hope.
When Life Is Stressful
I Wish You Inner Silence.
When Your Spirit Is Empty
I Wish You Simple Beauty.
When You’re Troubled
I Wish You Peace.
Beeta Hai Jo Mere Upar
Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye
Saturday, January 23, 2010
Eik Maa ki request
1 Maa ki request hay, plz
Free pckge hy to itna phelao k us k betay tk pohnch jaay
“Putar Bashir, wapsi ty 65 wali PEPSI lenda aayen
Teri phophi ai ay”:-
Wife at Night
Husband sent a text to his wife at night,
Hi I will get late,
please try and wash all my dirty clothes
and make sure you prepare my favorite dish before
I return.
but there is no reply
He sent another text, And I forgot to tell you that
I got an increase in my salary
at the end of the month I m getting you a new car this time ,
She text back, OMG really?
Husband replied :
No I just wanted to make sure you got my first Message
Friday, January 22, 2010
Trasha Gora Badan
Sng-e-Marmr Se Trasha Gora Badan Ufff..!!
Nasheela Sa Pighlta Shabab uska..,
Honto Se Lgao To Kashish Kaisi Hai,
Paa G Ye KULFI Cheez Hi Esi hai. 😀
FREE SECURITY
FREE SECURITY GUARD/ SYSTEM
Ghar sy nikalny sy Pehly
7 bar parhen:
“Ya Hafeezo, ya Raqeebo”
ALLAH ap ko apni panah main rakhy ga.
Forwrd 2 all u care about.
Main Ne Ehsas k
Main Ne Ehsas k Dhaagey Mein Proya Hai Usey
””’Faraz””’
Toot Agar Mein Gaya To Bikhar Wo Bhi Jayega…!
Khuda Kaise Karoon Shukriya Iss Din Ke Liye
Khuda Kaise Karoon Shukriya Iss Din Ke Liye
Jis Dunya Tumhein Dharti Pe Bheja Humare Liye
Na Jane Kiyun Main Intezar Kar Raha Tha
Shahad Janmdin Hai Tumhara Is Liye
Meri Har Aik Dua Hai Teri Lambi Umar Ke Liye
Dil Khud Jaanta Hai Tu Na Ho Dhadkega Kis K Liye
Girl FRIEND Moti Ho
Arz Kya Hai
Chapal Choti Ho To Paon Mei Nhi ati
wah wah
Chapal Choti Ho To Paon Mei Nhi ati
(‘,’) girlFRIND
‘..(> Moti Ho
to Bahon
Mei Nhi Ati
Thursday, January 21, 2010
Tery naam par to hum bik bhi jayen yousaf ki tarha
Student Aur Kitabain
Dooooooooooor se dekha to kitaben pari thin,
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Qareeb jane ka to sawaal hi peda nhi hota.
Pyar aur barish
Pyar aur barish- dono ek jaise hote hai,
Wo humesha yadgar hote hai,
Fark sirf itana hai ki barish sath rah kar tan bhigati hai,
Aur pyar door rahkar aankhe
Tuesday, January 19, 2010
Hawa Raks Kerti Hai
UsaY KehnA k SadA MosAm BahaRooN k NaHi RehTay
SaBhi PattaY BikHarTay haiN
HaWa Jab RakS KartI Hai
Wife IS Mistress
Every wife is a
”misstress” of her husband.
”MISS” for one year
&
”STRESS” for rest of the life!
Effort Without Talent Is
Effort without talent is a depressing situation…
but talent without effort is a tragedy.
Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ki nahi – Kaifi Azmi
jhuki jhuki si nazar beqarar hai ki nahi
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahi
tu apne dil ke jawan dhadakanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil beqarar hai ki nahi
wo pal ke jis mein muhabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intazar hai ki nahi
teri umeed pe thukra raha hun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye aitabar hai ki nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kaifi Azmi
Monday, January 18, 2010
Log har mod pe ruk ruk ke sambhalate q hain – Rahat Indori
Log har mod pe ruk ruk ke sambhalate q hain
itna darate hain to phir ghar se nikalate q hain
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
roshni wale mere naam se jalate q hain
neend se mera ta’alluq hi nahi barason se
khwab aa aa ke meri chat pe tahalate q hain
mod hota hai javani ka sambhalane ke liye
aur sab log yahin aake phisalate q hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori
If You Are Sad
If you are sad about being alone on Valentines day…
Just remember…
nobody loves you on the other days of the year either!
Happy Valentines day!
Khusbo sanson mein
Tere Wajood Ki Khusboo Basi Hai Sanson Main
Ye Aur Baat Hai Nazron Se Door Rehte Ho
Nazar Andaaz Kerti Hai
Ek Wo jo Nazar Andaaz kartI hai Mujh Ko
Ek Main hun k Dil-0-Jaan Se Deewana hu Us ka….!!!!
Sunday, January 17, 2010
Manzar bhopali shayari
badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai
tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai
terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai
damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup
thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai
vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai
tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai
nikal ke dekho kabhii nafaraton ke pinjare se
tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai
badalatay waqt kaa ik sil_silaa sa lagata hai
ke jab bhi dekho use doosara-sa lagata hai
tumhaara husn kisi aadami ka husn nahin
kisi buzurg ki sachchi dua sa lagata hai
teri nigaah ko tameez rang-o-noor kahaan
mujhe to Khoon bhi rang-e-hina sa lagata hai
damagh-o-dil hon agar mutma_een to chhaon hai dhoop
thapera loo ka bhi thandi hawa sa lagata hai
wo chhatt pe aa gaya betaab ho ke aakhir
Khudaa bhi aaj shariik-e-dua sa lagataa hai
tumhara haath jo aaya hai haath men meray
ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai
nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
tamam shahar ka “Manzar” khula sa lagata hai
Share with us more Manzar bhopali shayari .in comments section below.
pathan jaisa v howay
Jutt hovy te bewakoof na hovy goli mar deo.
Butt hovy te sohna na hovy goli mar dyo.
Sheikh hovy te kanjoos na hovy goli mar dyo.
Malik hovy te gappi na hovy goli mar dyo.
Shah hovy te fradiya na hovy goli mar yo
Bhatti hovy te shokha na hovy goli mar dyo.
Arain hoye te seyana na hove goli mar deo.
Chaudhari hovy te chwal na hove goli mar deo,
Pathan hove… jaisa v howay.. Goli mar deo
Friday, January 15, 2010
Hath choote bhi to rishte nahi choda karte – Gulzar
hath choote bhi to rishte nahi choda karte
waqt ke shakh se lamhen nahi toda karte
jis ke aavaz mein silvat ho nigahon mein shikan
aisi tasvir ke tukde nahi joda karte
shahad jine ka mila karta hai thoda thoda
jane valon ke liye dil nahi thoda karte
lag ke sahil se jo bahata hai use bahane do
aisi dariya ka kabhi rukh nahi moda karte
waqt ke shakh se lamhen nahi toda karte
jis ke aavaz mein silvat ho nigahon mein shikan
aisi tasvir ke tukde nahi joda karte
shahad jine ka mila karta hai thoda thoda
jane valon ke liye dil nahi thoda karte
lag ke sahil se jo bahata hai use bahane do
aisi dariya ka kabhi rukh nahi moda karte
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Gulzar
Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota
Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-E-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota
Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota
Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota
Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota
Eid ka Chand 2011
Aey eid k Chaand!
kyun krta hai Tu molviyon ko Pareshan,
Tujhe Dekhne k Liye Be_chain Hain
Mufti Muneeb ur Rehman,
Tujhe Dekh Nahi Paate
Poore Pakistan k insan,
Magar na jane kahan Se Dhondh Lete Hain Tujhe peshawar k pathan. .
Thursday, January 14, 2010
Most Costly Liquid
Tears are One of The Most Costly Liquid
Do u know why?
Because Out of many liquids here
in the World
Only Tears can explain the Real
meaning of Pain
Gham-E-Zindagee Teri Rah Main
Gham-E-Zindagee Teri Rah Main
Shab-E-Arzoo Teri Chah Main
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha
Meray Pass Reh Kar Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulab Umeed Ka
Meray Shakh-E-Jaan Pa Khila Nahin
Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai
Tu Ajeeb Ter Hoon Main App Bhi
Mujhay Manziloon Ki Khabar Nahin
Ussay Rastoon Ka Pata Nahin
Pas-E-Karwan Sar-E-Rahghuzar
Main Shikista Paa Hoon Tu Iss Liya
Ka Qadam Tu Saab Sa Mila Liya
Mera Dil Kisi Sa Mila Nahin
College Canteen Hall
Catchline on the WALL of a College Canteen Hall:
“This Food Must Be Good. Ten Thousand FLIES Cant Be Wrong..!”:-P
Chemical GHAZAL
“Chemical GHAZAL”
Dil-e-organic tujhe hwa kia he?
Akhir ye reactions ki wja kia ha?
Hm hain carbon or wo hydrogen,
Ya Ilahi ye hydrolysis kia ha?
Me bhi Shell me Electrons rkhta hu,
Kash pucho k meri Valency kia ha?
Hm ko un se hy Bond ki umeed,
Ghalib
Jo nhi jante humari Elctronegativity kia ha!
Wah wah wah =P
Wednesday, January 13, 2010
After Rain
In USA after rain,
the water disappears in 5 mins.
In Pakistan, afer rain,
the Road disappears in 5 mins.
Tuesday, January 12, 2010
Beware Of Duplicate Eid Wishes
Beware 0F Other Duplicate EiD WiSHERS
I’M THE Only Authorised ISO 2012 Certified Dealer iN EiD WiSHES
i WiSH U AN ORIGNAL Sweet
” EiD MUBBARAK”
Independence Day Pakistan
A Nation can never be finished by its people’s death,
but, it will be finished when the Youth forget their Identity.!!
Lets join our hands to prove our identity as prosporous & peacefull Pakistanis.
May Almighty Allah gives us d chance to serve for Pakistan at any platform but with Honesty, Dignity & Patriotically… Amin..
HAPPY INDEPENDENCE DAY OF PAKISTAN
With Best Regards,
Tum b GHALIB kamal krte ho
Dukh de kr sawal krte ho,
Tum b GHALIB kamal krte ho,
Dekh kr puch liya haal mera,
Chalo kuch to khayal krte ho,
Shehr-e-dil me ye udasiyan kesi?
Ye b mujhse sawal krte ho,
Marna chahen to mar nhi sakte,
Tum b jeena muhal krte ho,
Ab kis kis ki misaal dun tum ko?
Hr sitam be-misaal krte ho.
Suraj Ab Toh Nikal aa
Bahot staya hai rat bar kisi ki be-bas yadon Ny….
Ay Soraj Ab To Nikal aa K Aur Roya nahi Jata….!!”
Gud morning”
Qualities of Good Leader
A good leader is a person
Who takes a little more than
His share of the blame
And
A little less than his share of the credit.
Monday, January 11, 2010
Bas itna Soch Kar Hi Mujhko Apne Paas Tum Rakh Lo
Happy Gents Day
U r so lucky B thankful to GOD
B,Coz
U never have Periods,
Breast cancer,
cyst In ur ovaries
Menopause
DNC
Ur tits cannot be used as 24/7 feeders for infants, Ur abdomen can’t b cut to produce a baby,
U don’t have to b fucked by an idiot whom u hate.
HAPPY GENTS day
To The Beautiful Couple
To the beautiful couple in all the land,
May your anniversary be Happy and Grand.
Happy Anniversary
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon
Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko – Qamar Jalalabadi
Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
na jane kaise khabar ho gai zamane ko
chaman mein barq nahi chodati kisi surat
tarah tarah se banata hun aashiyane ko
suna hai gair ke mahafil mein tum na jaoge
kaho to aj saja lun garib-khane ko
dua bahar ke mangi to itane phul khile
kaheen jagah na mili mere aashiyane ko
chaman mein jana to sayyad dekh kar jana
akela chod kar aaya hun aashiyane ko
meri lahad pe patangon ka khoon hota hai
huzur shamma na laya karen jalne ko
daba ke chal diye sab qabr mein dua na salam
zara si der mein kya ho gaya zamane ko
ab aage is mein tumhara bhi naam aayega
jo hukm ho to yahin chod dun fasane ko
‘qamar’ zara bhi nahi tujh ko khauf-e-rusavai
chale ho chandani shab mein unhen manane ko
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalabadi
Wo har maqam se pahale wo har maqam ke bad – Qabil Ajmeri
Wo har maqam se pahale wo har maqam ke bad
sahar thi sham se pahale sahar hai sham ke bad
har inqalab-e-mubarak har inqalab-e-azab
shikast-e-jam se pahale shikast-e-jam ke bad
mujh pe itni tavajjo mujh se itna gurez
mere salam se pahale mere salam ke bad
charag-e-bazm-e-sitam hain hamara hal na puch
jale the sham se pahale bujhe hain sham ke bad
ye raat kuch bhi nahi thi ye raat sab kuch hai
tulu-e-jam se pahale tulu-e-jam ke bad
wohi zuban wohi baten magar hai kitna farq
tumhare naam se pahale tumhare naam ke bad
hayat giriya-e-shabanam hayat raqs-e-sharar
tere payam se pahale tere payam ke bad
ye tarz-e-fiqr ye rang-e-sukhan kahan ‘qabil’
tere kalam se pahale tere kalam ke bad
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qabil Ajmeri
Sunday, January 10, 2010
Aansu To Bohat Bahae Hum Ne - Islamic Poetry
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..
Tum Besharam Ho
Girl: Tum Boht BeSharam Ho
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Boy: Me To BachPan Se Aisa Hi Hun
PaiDa Bhi NaNga Hua Tha
Ishq ke dastan hai pyare – Jigar Moradabadi
Ishq ke dastan hai pyare
apni apni zuban hai pyare
hum zamane se intaqam to lain
ek hasin darmiyan hai pyare
tu nahi main hun main nahi tu hai
ab juch aisa guman hai pyare
rakh qadam phunk phunk kar nadan
zarre zarre mein jan hai pyare
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Saturday, January 9, 2010
Chahey Jitne Bhi Paren Sandel
Chahey jitne bhi paren sandel larki0n se Faraz,
A mundey nai drdey,
Sh0r shraba kr dey.. :p ;->
Relationship is not about
Relationship is Not about AGE
Not about DISTANCE
Not about communicating each other everyday.
what Important most is: TRUST and LOYALTY
The TRUST of Girl to her Man, the LOYALTY of Man to his Girls
Lag Ja Gale Ke Phir Yeh Haseen Raat Ho Na Ho
Lag Ja Gale Ke Phir Yeh Haseen Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqat Ho Na Ho
Humko Mili Hai Aaj Yeh Ghariyan Naseeb See
Jee Bhar Ke Dekh Lijiye Humko Kareeb Se
Phir Aapke Naseeb Mein Yeh Baat Ho Naa Ho..
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Naa Ho.
Paas Aaye Ke Hum Nahin Aayengee Baar Baar..
Baahein Gale Mein Dal Ke Hum Roolein Zaar Zaar
Aankhon Se Phir Yeh Pyar Ki Barsat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Naa..
Khafa kiyo hota hai
Koi Rishta Jo Na Hota, To Wo Khafa Kion Hota gulwish
Ye Be_Rukhi, Uski Mohabbat Ka Pata Deti Hai
Friday, January 8, 2010
Dard ko Lafzon Mai
Dil k Dard ko Lafzon mai dhala na gaya**
Ghum k Ansuon ko Aankho se nikala na gaya**
Us ne Mujhe Dard is liye diya**
Q K us se Mera Pyar Sambhala na gaya
Yoon Muskurakar Hausla Na Barhao
Yoon Muskurakar Hausla Na Barhao
Tum Aksar Meri Har Baat Par
Kabhi To Jhijhko Kabhi To Toko
Jab Mai Rakhta Hoon Haath Tumhaare Haath Par
Na Thaamo Mera Haath Tum
Yoon Aksar Baaton Baaton Me
Tumhaari Ye Nadaaniyan Mujhe
Tumhaare Or Or Kareeb Laati Hai
Tum Aksar Itna Kareeb Hoti Ho
Tumhaari Dhadkanein Tak Gin Leta Hoon Mai
Tumhaari Saanson Se Hilte
Tumhaare Badan Ko
Tak Mehsoos Kar Leta Hoon Mai
Na Lo Mujhse Vaade Tum
Ye Nazdeekiyaan Barhaane Ke
Mai Mushkilon Se Bana Paata Hoon
Bahane Tumse Door Jaane Ke
Sochta Hoon Tujhse Ye Nazdikiyaan
Apni Ruswaai Na Ban Jaae
Tere Dil Ki To Khabar Nahi
Kahin Teri Ye Muskuraati Soorat
Meri Jindgi Ki Jaroorat Na Ban Jaaye
what is real tension ?
what is real tension?
1 larki ne apse lift mangi.
raste me uski Tabiat kharab hogai ,
Ap use hospital le gye.
DOCTOR bola:
Ap bap ban’ne wale ho.
AP bole:
Me iska bap nai !
phir larki se pucha
LArki boli:
YeHi Baap hai
Police aye,
APka medical check up hua
Report aye k ap to Kabhi bap hi nai ban sakthe
Ap ne khuda ka sukar Ada kiya ,
Aur ap kushi Khushi bahir a gae ;
socah ke
GHAR pe jo 4 bache hai
Wo kis k hen .>
This is ral “TENSION”
😀
Mun Mai Pani Ana
Teacher: Es mohawary ko Jumlay mai estimal karo
Mun mai pani ana”
.
Sardar Student: Jese hi mai ne nal ko mun se lag kar nal chalo kia tu mere mun mai pani agia
Thursday, January 7, 2010
Romantic country of world
most rommantic country of the world..?
guess!
O yes!!! pakistan u know why?
har raat candle light dinner… =P
Thanks to wapda for Load Shedding
Aitbaar Toote Toh
Aitbaar Toote Toh
Woh Bhi Aise Logon Per
Jinko Apna Hum Mane
Jab Bhi Gham Se Bojhal Ho
Unko Meherbaan Maanein
Aitbaar Toote Toh
Aise Zakhm Milte Hain
Jo Kabhi Nahi Bhar Sakte
Maherbaan Saaye
Jab Humse Rooth Jayein Toh
Aisi Dhoop Milti Hai
Aitbaar Toote Toh
Dil Ke Aaine Jo Hain
Woh Bhi Toot Jaate Hain
Woh Jo Aks Apne Ho
Woh Bhi Rooth Jaate Hain
Aitbaar Toote Toh
Aise Zakham Milte Hain
Aisi Dhoop Milti Hai
Aise Aks Khote Hain
Log Hans Bhi Lein Shayad
Dil Hamesha Roote Hain
Wednesday, January 6, 2010
Bitterness of Life
If u never tasted a bad apple U would never appreciate a good apple, Some time we need to experience bitterness of life to understand the value of sweetness
Tuesday, January 5, 2010
Rait Aur Pani
Rait Ko Jitna Hath Me Roko Nahi Rokti
Zara Zara Hath Sey Nikal Jati Hai
Pani Ko Jitna Hath Mein Rako Nahi Rukta
Qatra Qatra Hath Sey Beh Jata Hay
Isi Tarhan Kuch Log Bhi Rait Jaise Hote Hai
Jitna Hath Mein Rako Nahi Rukta
Zara Zara Hath Sey Nikal Jate Hai
Aurr Kuch Lumhein Pani Jaisa
Qatra Qatra Hath Sey Beh Jate Hai
Teri Batein Wo Tera Iqrar Jana
Submitted by: Anwaar
Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Krty Ho
Monday, January 4, 2010
Kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aankh se dhal gaye – Rashid Kamil
Kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aankh se dhal gaye
wo tumhare gham ke chirag hain kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
main khayal-o-khvab ke mahafilen na baqadr-e-shauq saja saka
tumhari ik nazar ke sath hi mere sab irade badal gaye
kabhi rang mein kabhi rup mein kabhi chanv mein kabhi dhup mein
kaheen aafatab-e-nazar hain wo kaheen mahatab mein dhal gaye
jo fana huye gam-e-ishq mein unhen zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mein jal sake wo parai aag mein jal gaye
ya unhen bhi meri tarah junun to phir un mein umjh mein ye farq kya
main giraft-e-gam se na bach saka wo hudud-e-gam se nikal gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rashid Kamil
The Work Shop
The Secret for
a Successful Marriage Is:
“The Work-Shop…!!”
.
.
.
.
.
The Husband Works
& The Wife Shops.. =D 😉
Sunday, January 3, 2010
Dalanon mein kamaron mein ulajhaye huye rakhana – Anjum Irfani
Dalanon mein kamaron mein ulajhaye huye rakhana
kuch kam mein apne ko bahalaye huye rakhana
duniya ke masail mein ulajha hua jab aaun
tum ghar ke masail ko sulajhaye huye rakhana
sanduk ke kapadon ko kuch dhup dikha dena
tum sahan mein jade ko phailaye huye rakhana
main dhup ke sahara se jhulasa hua aaunga
shanon pe ghataon ko thaharaye huye rakhana
ho jayen kabhi shab mein bachon se bhi do baten
pariyon ke kahani ko doharaye huye rakhana
dhundhala na kaheen kar de kuch ghar ke pareshani
aaina-e-rukh apana chamakaye huye rakhana
ik umr pe bhi us ka andaz wohi ‘anjum’
kamare mein qadam rakhana sharmaye huye rakhana
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anjum Irfani
Aah-e-talab mein kon kisi ka apne bhi begane hain – Asrar Narvi
aah-e-talab mein kon kisi ka apne bhi begane hain
chand se mukhade rashk-e-gazalan sab jane pehachane hain
uff ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja thaharen jayen kahan
sahan-e-chaman mein phul khile hain sehra mein divane hain
tanahai hi tanahai hai kaise kahen kaise samajhayen
chashmo-o-lab-o-rukhasar ke tah mein ruhon ke virane hain
apne vajud ke masti se hum rindon ke ahaval na puch
qadam qadam par ched khirad se nafas nafas maikhane hain
dil aakhir thak har ke yaro hum ne bhi taslim kiya
apni zat se ishq hai sacha baqi sab afasane hain
Poet of The / Ghazal or Nazam :Asrar Narvi
Saturday, January 2, 2010
Tujhko Bewafa Samajhun
Tere Honay Par Khud Ko Tanha Samajhun?
Main Bewafa Hun Ya Tujhko Bewafa Samajhun?
Teri Berukhi Se Waqt Toh Guzar Geya Hai Mera,
Yeh Khuddari hai Ya Teri Anna Samajhun?
Tere Bad Kya Haal Hona Hai Mera,
Yeh Teri Inayat Hai Ya Qaza Samajhun?
Zakham Detay Ho Aur Marham Bhi Lagatay Ho,
Sehar” Yeh Teri Adaat hai Ya Adda Samajhun
vafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja – Ahmed Faraz
vafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja
agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja
maqam-e-sud-o-ziyan aa gaya hai phir janan
ye zakhm mere sahi tir to utha le ja
yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera
ki bund bund ata kar ghata ghata le ja
gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho
phir uth ke samane daman-e-iltaja le ja
nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai
‘faraz’ jan ke evaz aabaru bacha le ja
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz
Mohabbat Humse Na Hogi
Mohabbat Humse Na Hogi??
Suna Hy Is Mohabt Me Bohat
Nuksan Hota Hai
Mehakta Jhoomta Jevan
Ghamo K Naam Hota Hai
Suna Hai Chain Kho Kr Wo Sehr
Se Sham Rota Hai
Mohabbat Jo B Krta Hai Bohat
Bdnaam Hota Hai
Mohabbat Humse Na Hogi
Suna Hai Is Mohabbat Me Kahin
Bi Dil Nahi Lgta
Bina Uski Nigahon Main Koi Mosam
Nahi Jachta
Khfa Jis Se Mohabbat Ho Wo Jevan
Bhr Nahi Hansta
Bohat Anmol Hai Jo Dil
Ujjar Kar Phir Nahi Basta.
Mohabbat Humse Na Ho Gi…!
For Every Smile
If you never thanked Allah for every smile
Then,
U have no right to blame Him for every tear.
kiss liye itni saza dety ho
kiss liye itni saza dety ho,
kbi krty ho yaad to kbi bohla dety ho,
Ajeeb teri mohabt ka silsala Dekha,
kbi kushi our kbi dard-e-dil jaga dety ho.
Friday, January 1, 2010
Tumhari Kasam Bahut Bahut Yaad Aate Ho
Mat Pucho Ye Mujhse K Kab Yaad Aate Ho
Jab Jab Saansein Chalti Hain Bahut Yaad Aate Ho
Neend Mein Palkein Hoti Hain Jab Bhi Bhari
Banke Khwaab Baar Baar Nazar Aate Ho
Mehfil Mein Shaamil Hote Hain Hum Jab Bhi
Bhird Ki Tanhaiyon Mein Har Baar Yaad Aate Ho
Jab Bhi Socha K Faasla Rakhun Main Tumse
Zindagi Ban K Saason Mein Samaa Jaate Ho
Khud Ko Toofaan Banane Ki Koshish To Ki
Ban K Saahil Apni Aagosh Mein Samaa Jaate Ho
Chahta Na Tha Main Is Paheli Mein Ulajhna
Har Uljhan Ka Jawab Ban K Ubhar Aate Ho
Suraj Ki Roshni, Chanda Ki Chandni
Aasmaan Ko Dekhta Hoon Main Jab Jab
Tumhari Kasam Bahut Bahut Yaad Aate Ho
Ab Na Puchna Mujhse K Kab Kab Yaad Aate Ho
Rutho na A Dost K Fir
Rutho na a dost k fir!
roth jany waly maan b jaien tu
manany waly thak sy jaty hyn
aur hamary sath zindagi k saffer mien
chalny k qabil nahi rehty
khafa na ho a sathi k fir!
khafgion k mosum dyr tak nahi telty
dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi
bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
naraz na ho a hamdam k fir!
narazgi kadurraton ko janm dyti hy
kadurratien dil ki fir nahi jatien
aur!
zindagi ki shaffaf rahien dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
so myry dost ,myry sathi,myry hamdam!
mujhy aatbar ka maan do!
A Great Relationship
A Great Relationship is based on two main Principles :
The first is to APPRECIATE your Similarities…..
The second is to RESPECT your Differences…..