Kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aankh se dhal gaye
wo tumhare gham ke chirag hain kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
main khayal-o-khvab ke mahafilen na baqadr-e-shauq saja saka
tumhari ik nazar ke sath hi mere sab irade badal gaye
kabhi rang mein kabhi rup mein kabhi chanv mein kabhi dhup mein
kaheen aafatab-e-nazar hain wo kaheen mahatab mein dhal gaye
jo fana huye gam-e-ishq mein unhen zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mein jal sake wo parai aag mein jal gaye
ya unhen bhi meri tarah junun to phir un mein umjh mein ye farq kya
main giraft-e-gam se na bach saka wo hudud-e-gam se nikal gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rashid Kamil
No comments:
Post a Comment