Wo har maqam se pahale wo har maqam ke bad
sahar thi sham se pahale sahar hai sham ke bad
har inqalab-e-mubarak har inqalab-e-azab
shikast-e-jam se pahale shikast-e-jam ke bad
mujh pe itni tavajjo mujh se itna gurez
mere salam se pahale mere salam ke bad
charag-e-bazm-e-sitam hain hamara hal na puch
jale the sham se pahale bujhe hain sham ke bad
ye raat kuch bhi nahi thi ye raat sab kuch hai
tulu-e-jam se pahale tulu-e-jam ke bad
wohi zuban wohi baten magar hai kitna farq
tumhare naam se pahale tumhare naam ke bad
hayat giriya-e-shabanam hayat raqs-e-sharar
tere payam se pahale tere payam ke bad
ye tarz-e-fiqr ye rang-e-sukhan kahan ‘qabil’
tere kalam se pahale tere kalam ke bad
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qabil Ajmeri
No comments:
Post a Comment