aah-e-talab mein kon kisi ka apne bhi begane hain
chand se mukhade rashk-e-gazalan sab jane pehachane hain
uff ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja thaharen jayen kahan
sahan-e-chaman mein phul khile hain sehra mein divane hain
tanahai hi tanahai hai kaise kahen kaise samajhayen
chashmo-o-lab-o-rukhasar ke tah mein ruhon ke virane hain
apne vajud ke masti se hum rindon ke ahaval na puch
qadam qadam par ched khirad se nafas nafas maikhane hain
dil aakhir thak har ke yaro hum ne bhi taslim kiya
apni zat se ishq hai sacha baqi sab afasane hain
Poet of The / Ghazal or Nazam :Asrar Narvi
No comments:
Post a Comment