Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-e-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Kaise Chalakh Pari, Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hoa
Meri Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareqi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa
Mujhe Aap Kuen Na Samjh Sake, Ye Apny Dil Sey Hi Pochiye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa
Abhi Abhi Mere Pass Se, Jo Nazar Bacha Key Ghoor Gaye
Ye Mery Shaher Ke Log Hain, Mere Ghar Sey Ghar Mila Hoa
Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kaar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Chot Ghalat Pari, Na Kisi Ka War Khata Hoa
Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Meri Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa
Mujhe Ik Gali Mein Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa
Hamein To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Khooloos Hon
Na Chehre Pe Apne Naqab Hai, Na Kuch Asteen Mein Chupa Hoa