Tuesday, September 9, 2008

Barish Ki Aawaz



Aaj Bohat Din Baad Suni Hai Barish Ki Aawaz
Aaj Bohat Din Baad Kissi Manzar Nay Rasta Roka Hai
Rim Jhim Ka Malboos Pahan Kar Yaad Kissi Ki Aaye Hai
Aaj Bohat Din Baaad Achanak Aankh Younhi Bhar Aaye Hai
Aankh Or Manzar Ki Vusa’t Main Chaaron Janib Barish Hai
Or Barish Main Duur Kahin Ik Ghar Hai Jis Main
Aik Aik Eent Par Teray Meray Khwab Likhay Hain
Or Is Ghar Ko Janay Wali Kuch Guliyan Hain
Jis Main Hum Dono’n Kay Saaye Tanha Tanha Bheeg Rahay Hain
Darwazay Par Qufl Para Hai Or Dareechay Soonay Hain
Deewaro’n Pay Jammi Hoye Kaa’i Main Chup Kar
Mousam Hum Ko Dekh Rahay Hain


Kitnay Badal Hum Dono’n Ki Aankh Say Ojhal
Baras Baras Kar Guzar Chukay Hain
Aik Kami Si Aik Nami Si
Charo’n Janib Phail Rahi Hai
Kai Zamanay Aik Hi Pal Main
Baham Mil Kar Bheeg Rahay Hain
Andar Yadain Sookh Rahi Hain
Bahar Manzar Bheeg Rahay Hain



No comments:

Post a Comment