Tuesday, December 25, 2007

Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein

Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein ThaChheentay Hain
Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi
Mein Tha Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak Shayad Had-e-Aflaak Ke
Os Paar Bhi Mein Tha Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha

No comments:

Post a Comment