Monday, December 4, 2006

Zulmat-e-shab mein ujalon ke tamanna na karo – Kamraan Najmi



Zulmat-e-shab mein ujalon ke tamanna na karo
khwab dekha hai to ab khwab ko rusva na karo
bojh suraj ka padega to lachak jayengi
raat ke surmai shakhon pe basera na karo
khwab umeed nasha sans tabasum aansu
tutane vali kisi shay pe bharosa na karo
hum ne aankhon ko jalaya tha ki kuch dhundh chate
tum nai nasl ke suraj ho tum aisa na karo
ashk pine ka hunar sikh lo hum se aakar
jazba-e-dil ko nigahon se haveda na karo
mausami barf hain kuch der mein bah jayenge
in badalate hue rishton pe bharosa na karo
ye faza ras na aayegi tumhen ae “najmi”
yaad guzri hue lamhat ke taza na karo


Poet  of  the Poem / Ghazal or Nazam :Kamraan Najmi



No comments:

Post a Comment