Friday, December 1, 2006

Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahi – Faiz Ahmed Faiz



Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahi
raharau hoga kaheen aur chala jayega
dhal chuki raat bikharne laga taron ka gubar
ladakhadane lage aewanon mein khwabida chirag
so gai rasta tak tak ke har ek rahaguzar
ajanabi khak ne dhundala diye qadmon ke surag
gul karo shamen bada do mai-o-mina-o-ayag
apne bekhwab kiwadon ko muqaffal kar lo
ab yahan koi nahin, koi nahi aayega


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment