Friday, December 8, 2006

Hindi shayri



Waqt Hai Jhonka Hawa Ka Aur Hum Peeley  Pattay
Kon Jaane Agle Lamhe Tum Kahan Aur Hum Kahan……!!
`
Humne bhi sadke lutaaye they jee jaan se un par..
Kya maloom tha ae dost, ghame tanhaai ka yahi aagaaz hota hai……….
`
Mat kar khaak k putley pe gharoor-0-beniazi itni…
Khud ko khudi mein jhaank kr dekh tujh mein rakha kya hai!
`
Jo fursat mile to chand se Mere dard ki kahani poch lena,
Ek wohi to hai hamraaz mera tere so jany k baad.
`
Hum se bewafai ki inteha kya pochtey ho???
woh hum se pyar seekti rahi kisi 0r k liye.
`
Har waqt ka hasna tujhe barbaad na kar de ,,
Tanhayii ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,,
`
Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon,
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta…
`
Meri Yaadon Se Bach Nikley To Vaada Hai Mera Tujhse,
Main Khud Duniya Se Keh Donga Kami Meri Wafa Main Thi.
`
Us K Hath Par Apna Naam Dekha To Main Boht Khush Hua,
Wo Bare Masoom Se Lehjey Me Boli Tery Hum Naam oR Bhi Hain..!!!
`
Janey Kis Gham Ko Chupaney Ki Tamanna Hai Usy..
Aaj Har Baat Pey Hansty Hue daikha Usko…!
`
Tumharey baad baqi to Sab theek hai lakin,
Jahan dil tha kabhi .. Pehley ….wahan ab dard rehta hai..


Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga


Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga


Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se


Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga




Ham apne pyaar ko samjhate bhi to kaise samjhate,
ham apne is jajbaat ko samjhate bhi to kaise samjhate…..
theher jaatin hain meri jubaan unke deedar k saath hi,
ab ye baat ham unhe samjhate bhi to kaise samjhate



Share with us more Hindi shayri .in comments section below.



No comments:

Post a Comment