Sunday, December 3, 2006

Dhup mein nikalo ghataon mein naha kar dekho – Nida Fazli



Dhup mein nikalo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho
wo sitara hai chamakane do yun hi aankhon mein
kya zaruri hai use jism banakar dekho
pattharon mein bhi zuban hoti hai dil hote hain
apne ghar ki dar-o-divar saja kar dekho
fasala nazaron ka dhoka bhi to ho sakata hai
wo mile ya na mile hath bada kar dekho



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



No comments:

Post a Comment