Chand maddham hai aasman chup hai
neend ke god mein jahan chup hai
dur vadi mein dudhiya badal
jhuk ke parbatko pyar karte hain
dil mein nakam hasaraten lekar
hum tera intazar karte hain
in baharon ke saye mein aa ja
phir mohabbat jawan rahe na rahe
zindagi tere na-muradon par
kal talak meharaban rahe na rahe
roz ke tarah aj bhi tare
subah ke gard mein na kho jayen
aa tere gham mein jagti aankhen
kam se kam ek raat so jayen
chand maddham hai aasman chup hai
neend ke god mein jahan chup hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi
No comments:
Post a Comment