Banda navaziyon pe khuda-e-karim tha
karta na main gunah to gunah-e-azim tha
baten bhi ke khuda ne dikhaya jamal bhi
vALLAH kya nasib janab-e-kalim tha
duniya ka hal ahal-e-adam hai ye mukhtasar
ik do qadam ka kucha-e-ummid-o-bim tha
karta main dardmand tabibon se kya raju
jis ne diya tha dard bada wo hakim tha
saman-e-ufv kya main kahun mukhtasar hai ye
banda gunahgar tha khaliq karim tha
jis din se main chaman mein hua khvah-e-gul ‘ameer’
nam-e-saba kaheen na nishan-e-nasim tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ameer Minai
No comments:
Post a Comment