Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay
Friday, April 29, 2016
Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Zindagi ke Haqkekat
Agar tum se koi poochay
…Batao,…
Zindagi kya hai?
(Hatheli pe zara si khaak rakhna aur urra dena).
{Hazrat Ali )
Submit By: Zain Shuja (not given)
Thursday, April 28, 2016
Maula Lyrics by Atif Aslam
Maula Lyrics
Maula… Maula…
O O O O O O….
(Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Rooh Ko Tu Hawa Bas Tu Hi Aab Hai
Is Nazar Ko To Sirf Tera Hi Kwaab Hai
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Jogi Bada Aa Aa Aa…
Shor Kyon Kar Rahin Yahaan Har Ek Juba
Naam Tera Ka Gumshuda Gumshuda
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Jogi Bada Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Mujko Bata Mera Ghar Hai Kahaaan Maula
Jogi Bada Main Phirta Rava Kinna
Dua Ki Apeal
1 Sal Bad Aj Phir Ap Sab Se
Dua Ki Apeal Kr Raha Ha
Duaoon Ka Talib
Apka
Apna
Bohat Apna
=–..__..-=-._.
!=–..__..-=-._;
!=- -..(*..-=-._;
!=–..__..-=-._;
!
I
“P A K I S T A N :
Hamesha Mujhe Yad Rakhna
Bhoolna Nae
Happy Independence Day
14th August 2015
Pakistan Zindabad
Tuesday, April 26, 2016
Roz badhata hun jahan se aage – Kaifi Azmi
Roz badhata hun jahan se aage
phir waheen laut ki aa jata hun
barha tod chuka hun jin ko
inhin divaron se takarata hun
roz basate hain kai shahar naye
roz dharati mein sama jate hain
zal-zalon mein thi zara si girah
wo bhi ab roz hi aa jate hain
jism se ruh talak ret hi ret
na kaheen dhup na saya na sarab
kitne araman hai kis sehara mein
kon rakhta hai mazaron ka hisab
nafz bujhati bhi bhadakati bhi hai
dil ka mamul hai ghabarana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ik aadat hai jiye jana bhi
qaus ek rang ki hoti hai tulu’a
ek hi chal bhi paimana bhi
goshe goshe mein khadi hai masjid
mushkil kya ho gai mayakhane ki
koi kehta tha samandar hun main
aur meri jeb mein qatara bhi nahi
khairiyat apni likha karta hun
ab to taqadir mein khatara bhi nahi
apne hathon ko padha karta hun
kabhi quran kabhi gita ki tarah
chand rekhaon mein samaun main
zindagi qaid hai sita ki tarah
ram kab lautenge malum nahi
kash ravan hi koi aa jata
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi
Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai – Iftikhar Arif
khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Iftikhar Arif
Monday, April 25, 2016
Vote do gi nawaz putar
Momo to imran khan: main tujhay iss saal wo don gi Pervaiz.
Imran khan: woh kiya maa g?
Momo: woi jo awam nay Zardari ko di hai.
Imran khan: galiyan?
Momo: gali to tujhay kabhi nahi don gi Altaf Hussain.
Imran khan: Altaf Hussain nahi Imran Khan maa g!
Momo: nahi main tujhay Imran Khan bhi nahi don gi.
Imran khan: Ohoo maa g vote daina hai to do wrna jao !
Momo: Ayi shawashay! Main tujhay he vote don gi Nawaz Sharif putar…:D 😀
Phir Bhi Dil Hai Pakistani [ Parody ]
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Coke Peete Pepsi Peete
Bhool Gaye Nimbu Paani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
MTV Channel V Cool Hain
Bhool Gaye PTV
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Reserve Bank Hain Khali
Khali Swiss Bank Mein Maal Paani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Ideas Hain Naye Naye
Problem Wohi Purani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Hong Kong Main Honeymoon
New York Main Meri Naani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Kapde Hain Amreeki
Gaadiyan Hain Japani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Paanch Saal Mein Chaar Government
Dekhi Suni Na Jaani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Phir Bhi Dil Hai Pakistani
Sunday, April 24, 2016
Wo Lafz Dhoond Raha Tha Larazte Honton Se - Inspirational Poetry
Zaeef Baap Ne Bety Se Baat Karni Thi…..
Saturday, April 23, 2016
I am Just A Little Angel
I’m Just A Little Angel
Sent From Up Above
To Help Guide You And Protect You
And Give You Lots Of Love.
On Those Days When You Feel Lonely
Kinda Sad And Blue
You’ll Feel My Little Angel Wings
Tenderly Enfolding You.
I’m Just A Little Angel
Flew Down From Heaven Above
Who Will Always And Forever
Aashique Shayari – Ishq Jo Roth Gaya
Woh Ishq Jo Hamse Roth Gaya Ab Us Ka Haal Batayen Kia
Koi Mehar Nahi Koi Qehar Nahi, Phir Sacha Sher Sunayen Kia
Ik Hijer Jo Ham Ko Lahaq Hai Taa-Dair Usay Duhraayen Kia
Woh Zehar Jo Dil Main Utaar Diya Phir Us K Naaz Uthayen Kia
Ik Gham-E-Tanhayee Jo Saaray Badan Main Phail Gai
Jab Jism Hi Sara Jalta Ho Phir Daman-E-Dil Ko Bachayen Kia
Ham Naghma Sera Kuch Ghazlon K Ham Suratger Kuch Khwaboon K
Yeh Jazba-E-Shoq Sunayen Kia Koi Khwab Na Ho Tu Batayen Kia
Friday, April 22, 2016
Mujhe Rone Nahin Diya
Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya
Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya
Tanhaian Tumhara Pata Pochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin Diya
Dil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz The
Dunya K Koi Gham Samone Nahin Diya
Nasir Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham Ker
Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya
Thursday, April 21, 2016
Nafrat Thi Humse To Pyar Kyon Kiya
kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,
kuch pal ki tujhe khushiyaan deke dard dene se dar lagta hai,
tujhe meri baaton ki aadat na pad jaaye isiliye main chup rehta hoon,
tere har dard ko samajhta hoon main par tujhse kehne se dar lagta hai,
mere aansoo dekh kahin tu bhi na ro de isiliye main nahi rota hoon,
apne aansoo to main pi leta hoon par tere aansuon se dar lagta hai,
tu ne mujhe bas khushiyaan hi di hain, teri wajah se koi dard nahi hai,
kuch apni hi majbooriyaan hain jinhe zaahir karne se dar lagta hai,
khud se bhi jyaada chahta hoon main tujhe, tere liye main jaan bhi de dun,
main na rahun to kaun chahega tujhe itna yahi soch ke mujhe dar lagta hai…i l u my swty star
Another Year Is A Happy Gift
Another year is a happy gift
So cut your cake, and say
Instead of counting birthdays
I count blessings every day.
Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain
Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
Kay Sharif Zaadey Kahan, Kab, Aisi Baat Kartay Hain
Kissi Se “Luv U†Kehte Hain Kissi Se “Hug U†Kehte Hain
Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kia Khak Kerte Hain??
Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain
Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain
Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain
Deen Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Kartay Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhtay Hain
Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
Tow Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain???
Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker
Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain…..
Wednesday, April 20, 2016
Tuesday, April 19, 2016
aah ko chahiye ik umr asar hone tak
aah ko chahiye ik umr asar hone tak
kon jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
aashiqi sabr talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
gam-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak
Monday, April 18, 2016
Prayer for You
My prayer for You:
May Allah break
the front teeth of those people who plot evil against you secretly, so that you know your enemies by their
smiles…!!! 😀
Log Kahte Hain
Log Kahte Hain
Dhokha Dena To Dushmano Ka Kaam Hai
Sirf Dost Hi Asa Hain Jo
Dhokha Nahi Dete
Lekin Main Samajhti Hoon
Dhokha Khana Hamari Niyati Ban Chuki Hai
Chahe Vo Dushmano Ne Diye Ho Ya Dosto Ne
Dhokha Dono Hi Dete Hain
Dosto Aur Dushmano Me Farq Bas Itna Hi Hai
Dushman Har Baat Pe Dohkha Dete Hain
Par Log Kahte Haindost Achche Hote Hain
Isiliye Vo Sirf Vaqt Par Hi Dhokha Dete Hain
When GOD Gives Us NO
When GOD Gives Us
NO For An Answer…
Keep In Mind That
There Is A Much Greater
YES …
HIS No Is Not A
REJECTION ,
But A
REDIRECTION …
Stay Blessed
Sunday, April 17, 2016
Karthigai Deepam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Karthigai Deepam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Karthigai Deepam greeting.
Hi,
I Wish U A Very Happy Karthigai Deepam
May Our Lives Shine N Glow Like The Deepam……
Karthigai Deepam Greetings
Hi,
I wish u a very happy karthigai Deepam !!!!!!!!!
May our lives shine n glow like the Deepam…….
Happy Karthigai Deepam Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Friday, April 15, 2016
Love days are
Without Love days are
Sadday,
moanday,
tearsday,
wasteday,
thirstday,
frightday,
shatterday…
so be in Love everyday
Wish u a Happy Valentines Day
2015 Rakhi Sms Poems
This Full Moon Day Our Hearts Are In Brim
Feeling Of Faith And Serenity In Mind.
We Light The Lamps And Our Hears Glow
Radiance Of Happiness And Peace Are In Flow.
Harmonious Homes Are Like Streams Of Joy
Flowing And Flourishing The Landscape En Route.
Nobility In Heart And Character In Deed
Righteous Homes Alone Make A Beautiful State.
Sisters Will Tie The Thread On The Brothers
Abiding Them To Do Only What Is Right And Clean.
Put The Kumkum And Blessed Rice On The Head
Where Will Dwell Right Thoughts And Noble Action.
Thursday, April 14, 2016
Wednesday, April 13, 2016
Happy Mother’s Day, dear daughter
Happy Mother’s Day, dear daughter!
All my love to you!
Praised be those who give themselves,
Poised to part the sea!
Years of loving need no quarter,
Making passion do,
Offering a trove of selves,
Though vicariously.
How beautiful the gift of giving
Each the unspent whole,
Returning, turning, like a tide,
‘Ere the moment wanes!
So beautiful, the act of living
Densely through a soul
Alight with wonder at the ride,
Yet soon to take the reins!
Udas aankhon se aansu nahi nikalate hain – Bashir Badr
udas aankhon se aansu nahi nikalate hain
ye motiyon ke tarah sipiyon mein palate hain
ghane dhuen mein farishte bhi aa,nkh malate hain
tamam raat khajuron ke ped jalate hain
main shah reh nahin, raste ka pathar hun
yahan savar bhi paidal utar kar chalte hain
unhen kabhi na batana main unaki aankhen hun
wo log phul samajhakar mujhe masalate hain
ye ek ped hai, aa is se milakar ro lain hum
yahan se tere mere raste badalate hain
kai sitaron ko main janata hun bachpan se
kaheen bhi jaun mere sath sath chalte hain
Poet of the / Ghazal or Nazam :Bashir Badr
Tuesday, April 12, 2016
Tujh Ko Nahin Ahsaan, Keh Aye Dil Teri Khatir
Ek Shakhs Barey Kaam Ka, Be_Kaar Hua Hai…
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
Monday, April 11, 2016
Jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-khush mein sama gaye – Mjad Islam Amjad
jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-khush mein sama gaye
wohi jalate bujhate se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye
ye ajeeb khel hai ishq ka main ne aap dekha ye mojeza
wo jo lafz mere guman mein the wo teri zuban par aa gaye
wo jo geet tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ke thi dastan jise tum hansi mein uda gaye
wo charag-e-jan kabhi jis ke lau na kisi hawa se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye
wo tha chand sham-e-visal ka ke tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye
ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai wo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur mein aa gaye
teri berukhi ke dayar mein main hawa ke sath hawa hua
tere aaine ke talash mein mere khwab chehara ganva gaye
tere vasavaon ke fishar mein tera sharar-e-rang ujad gaya
meri khvahishon ke gubar mein mere mah-o-sal-e-vafa gaye
wo ajeeb phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab mein dur tak koi bag jaise laga gaye
meri umr se na simat sake mere dil mein itane saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah mein aa gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Amjad Islam Amjad
Sunday, April 10, 2016
Udas Shaamain,Ujaar Rastay
Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana
Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana
Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana
Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon
Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana
Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi
Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana
Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana
Saturday, April 9, 2016
Choori ka phal
Anti Misba-
Beta choori krna buri baat hy
Choori ka phal hamesha karva
Hota hy
Bubbli-
Lekin ami jan mera AMROOD
To metha tha
From: Asma Zafar
zindagi ke tammana
Aik din “TAMMANA” ne “Zindagi”
ke Anchal main sar rakh kar kaha ,
“ke main kab puri hongi”
“zindagi” ne muskara ker jawab diya
‘pagli’ jo puri ho jai wo TAMMANA hi kiya?
Friday, April 8, 2016
Alif Se Asif Asifa
Alif se
Asif, Asifa
Bay se
Bilawal, Benazir, Bakhtawar,
Pay se
Pakistan Peoples Party.
Agar LOOT MAAR mein aagay barhna hy to
ALIF BAY PAY
par Yaqeen rakhna ha.
Zara sochiye…!
LOOT MAAR k siva
Pakistan ka matlab kya…??
Ye inayaten gazab ke ye bala ke meharabani – Nazeer Banarasi
Ye inayaten gazab ke ye bala ke meharabani
meri khairiyat bhi puchi kisi aur ke zubani
mera gham rula chuka hai tujhe bikhari zulf wale
ye ghata bata rahi hai ki baras chuka hai pani
tera husn so raha tha meri ched ne jagaya
wo nigah main ne dali ki sanvar gai javani
meri bezuban aankhon se gire hain chand qatre
wo samajh sake to aansu na samajh sake to pani
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nazeer Banarasi
Hum hain mata-e-kucha-o-bazar ke tarah – Majrooh Sultanpuri
hum hain mata-e-kucha-o-bazar ke tarah
uthati hai har nigah kharidar ke tarah
is ku-e-tishnagi mein bahut hai ke ek jam
hath aa gaya hai daulat-e-bedar ke tarah
wo to hain kaheen aur magar dil ke aas pas
phirati hai koi shay nigah-e-yar ke tarah
sidhi hai rah-e-shauq pa yun hi kabhi kabhi
kham ho gai hai gesu-e-diladar ke tarah
ab ja ke kuch khula hunar-e-nakhun-e-junun
zakhm-e-jigar hue lab-o-rukhsar ke tarah
‘majrooh’ likh rahe hain wo ahal-e-vafa ka naam
hum bhi khade hue hain gunahagar ke tarah
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majrooh Sultanpuri
Thursday, April 7, 2016
Wednesday, April 6, 2016
Chupkey Chupkey Ro Lena
Chupkey Chupkey Ro Lena
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Hazaro ke bech me
Wo Kehny Lagi Naqab Me B PehchaN Lety ho Hazaro k BeCh mE
Mene Muskra k Kaha Teri Ankhon Se hi Shoro Hua Ishq Hazaro k Bech
Jaan Se Pyari Jaan
Jaan Se Pyari Jaan Thi Meri
Chhod Diya Usne To Ho Gayi Zindgi Andher
Khud Se Bhi Jayada Chaha Tha Usko
Rula Diya Usi Ne Hasaya Tha Jisko
Kisi Aur Ke Ho Gaye Woh Humko Chhodker
Dekha Na Piche Jab Gaye Muh Modker
Kya Kya Kamiya Thi Humme Bata Gaye Woh Humko
Kabhi Hum The Pyar Jinko Abb Koi Aur Hai Dil Mein Unke
Kash Ke Hote Hum Bhi Unke Mehboob Ke Jaise
Na Rote Ajj Hum Na Woh Dil Todte Humara Aise
Kabhi Hum Bhi The Sabse Achhe Unke Liye
Ajj Magar Koi Aur Hai Woh Jite Hai Jiske Liy
Kyo Tuta Dil Humara Kyo Huwe Barbad Hum
Batti Thi Humne To Khusiya Kyo Mile Humko Yeh Gam
Hume Yun Mitake Kya Mil Gaya Unko
Humne Khud Se Bhi Jayada Chaha Tha Jinko
Abb Kyo Jiye Hum Jab Zindgi Hi Door Ho Gayi Humse
Humme Hi Kamiya Thi Hazar To Kaise Gila Kare Tumse
Meri Jaan Ki Shadi Hai Ajj Magar Dula Mein Nahi
Khus Hai Woh Kisi Aur Ke Sath Mujhe Chhodne Ka Gam Nahi
Hume Jina Tere Sath Tha Kaise Jiye Tere Bin
Raat To Mehkhane Mein Kat Jati Hai Gujarta Nahi Yeh Din
Kyo Kiye Woh Wade Humse Jab Nahi The Hum Pasand Tumhe
Humne To Pyar Sacha Kiya Tha To Kaise Bhula De Hum Tumhe
Jab Yaad Tumahari Atti Hai To Humko Bahoot Tadpati Hai
Dil Mein Dard Ankho Mein Ansu Aur Hotho Ko Band Ker Jati Hai
Kya Kare Abb Tere Bina Hum Kaise Jiye Abb Tere Bina Hum
Tum Hi Ker Do Yeh Duwa Abb Rub Se Ke Mer Jaye Abb Pyar Bina Hum
Tere Jaisa Kaun Hai Duja Kaun Hai Jo Mujhe Hasayega
Kaha Maloom Tha Pyar Humara Humko Itna Rulayega
2 lines galiyan shayari
Wohi Galiyan, Wohi kuchay Wohi Sardi Ka Mausam He
Usi Andaaz Se Apna Nizaam E Zeest Barham He
Ye Husn E Itifaq Aisa K Bheegi Chandni B He
Wohi He Bheer Sochon Ki Wohi Tanhaiyan Phr Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht Ki Pinhaiyan Phr Se
WO Jis K Hone Se Zindagi Nagma Saraai He
Usay Kehna !!!
Usay Kehna K Bheegi January Phir Laut Aai He.
Share with us more 2 lines galiyan shayari in Comments Section below.
Tuesday, April 5, 2016
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar†Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota
Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo
Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye
Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo
Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho
Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo
Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per
Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo
Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar
Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo
Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar
Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo
Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa
Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo
Monday, April 4, 2016
Tujhay Mujh Se Mujhay Tujh Se
Tujhay Mujh Se Mujhay Tujh Se Jo Bohot He Pyaar Hota
Na Tujhay Qarar Hota Na Mujhay Qarar Hota
Tera Har Marz Ulajta Meri Jaan-E-Naatwaan Se
Jo Tujhay Zukaam Hota Tu Mujhay Bukhar Hota
Jab Mai Tujhay Yaad Karta Tujhay Cheenkna Bhi Parta
Meray Sath Bhi Yakeenan Bar Bar Hota
Kissi Chowk Pe Lagaatay Churion Ka Khoka
Teray Sher Mai Bhi Apna Karobaar Hota
Ranj O Ghum Ashiqana Nahi Calculaterana
Uss Mai Shumar Karta Jo Na Baishumar Hota
Wahan Zeer-E-Bahess Aatay Khat Khat-O-Khayal Khoye Kubaan
Ishq-E-Gham Pe Jo ANWAR Koi Seminar Hota
BEAUTIFUL DUA
BEAUTIFUL DUA:
Ya Allah!
jo merey muqaddar mein nahi likha, us ki koshish aur tamanna mein mujhy mubtala na krna,
aur jo taqdeer mein likh dia hai, usay asan bana dey.
Ya Allah!
Mujhy us kam k liye fursat dena, jis kam k liye ap ny mujhy paida kiya.
Aur us kam me masroof na honay dena, jiski zimy-daari ap ny khud li hai.
Ya Allah!
Har haal me shukar karny ki taufeeq ata farma, Aur eeman pe zindgi aur eeman pe mout ata farma.
(Aameen)
ASALAM.O.ALIKUM.
Sunday, April 3, 2016
Baba Ramdev Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Baba Ramdev Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Baba Ramdev Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Baba Ramdev Jayanti sms greeting.
Baba ramdev kahete hai achi sehat kliy saas pe control karo.
Ab baba ko kon samjaye yaha biwi pe control hota nahi
To saas pr kaise control kare?
Happy Baba Ramdev Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team
Koi To Poche Lamakani K Sabab
Koi To Poche Lamakani K Sabab
Jhel Se Aankhon Mai Pane K Sabab
Sitare Toot Kr Girte Han Khan
Ye he Bat This Herani K Sabab
Beete Lamhon Ko Yad Karte Hai Kabi
Kunkar Tha Us Ki Mehrbani Ka Sabab
Aks Aine Mai Kho Gya Kese
Uske Chehray Pe Tha Pershani Ka Sabab
Aur Wo Tasveer Thi Bichari Yadon Ki
Ghar K Aangan Ki Verani Ka Sabab
Saturday, April 2, 2016
Door Hai Sahi Par Kinara To Hai
 Free Poetry , Yaad Shayari , Hindi Miss You Poetry , Urdu Funny Shairi , Shairi SMS , Shayari SMS , Hindi SMS Yaad , Urdu Yaad Shayari
Door Hai Sahi Par Kinara To Hai
Timtimata Hi Sahi Sitara To Hai
Ho Jati Hai Tumhari Yaad Se Hi Tasalli
Tinka Hi Sahi Par Sahara To Hai
Friday, April 1, 2016
Shayari on teachers
I remember the times when you were there for me
through my many tears you helped me really see
that you always there for me
you stood close to me like a friend, there for me
until the …..
I was on the edge
trying to get through life
listened to my friend
and started cutting
over two in a half years of cutting
looking for attention from any one
a teacher was there
I had no where to turn, had no where to go.
this is just something I think you need to know
I don’t know what made me trust you
I still remember the day when I told you what I’ve been …
Share with us more Shayari on teachers .in comments section below.