Sunday, January 31, 2016

Essay on My Best Friend

Teacher: today we r going to write 10 lines on MY BEST FRIEND.


After few minutes A boy stands up


mam SHODAY ko English me kya bolte hn? 😉

Yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne – Makhdoom Mohiuddin



yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne
yahin ke jurrat-e-izhar-e-harf-e-mudd’a main ne
yahin dekhe the ishv-e-naz-o-andaz-e-haya main ne
yahin pahale suni thi dil dhadakane ke sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein izdaham-e-arazu lab band rehte the
nazar se guftagu hoti thi dam ulfat ka bharate the
na mathe par shikan hoti, na jab tevar badalate the
khuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ke goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragani rangin rabab aata
mujhe ranginiyon mein rangane wo rangin sahab aata
labon ke mein pilane jhumata mast-e-shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par lagazishen hotin
fazan mein muntasar rangin badan ke larazishen hotin
rabab-e-dil ke taron mein musalasil jumbishen hotin
khifa-e-raz ke purlutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari khilwat-e-masum rashq-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the gazal-khwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar us aish-e-rafta ka hai ik dhundala nishan baqi


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Makhdoom Mohiuddin



Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai



Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai..
Kagaj Ki Haveli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai..


Kya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamana Hai..
Awaz Bhi Jakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai..


Uss Per Utrne Ki Umeed Bahut Kam Hai..
Kashti Bhi Puraani Hai, Tufaan Bhi Aana Hai..

Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-E-Mohabbat Ka..
Bheegi Hui Ankho Se Ek Sher Sunaana Hai..


Bholi Si Ada, Koi Fir Ishq Ki Jid Par Hai..
Fir Aag Ka Dariya Hai, Aur Doob Hi Jana Hai …


Share By : Bindu Mahajan



Its Your Birthday Time Again

Its your birthday time again;
Its true; theres no denying,
Another year has come and gone;
You know that Im not lying. So for you,
the birthday person,
Heres what I want to say in Birthday Wishes:
I hope this birthdays the best one yet,
In every delightful way.
So happy birthday to you.
Have lots of birthday

Saturday, January 30, 2016

Kabhi Choti Choti Khushyan

Kabhi choti choti khushyan bhi bari lagti hain
aur kabhi kisi bari khushi ka ek chota sa ehsas bhi
sahi tarah nahin ho pata.

Main Aisi Mohabbat Karta Hon …



Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon


Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon


Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho
Wo Khuwab Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main  Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon


Sawal-E-Muhabbat


Tum Jehan Bhi Beth Ker Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagata Hoon
Main Waheen Per Baitha Rehata Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon


Main Aisi Muhabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho


Jis Bagh Main Subh Tum Jaati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbu Tum Ko Bhaati Hai
Wo Oas Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Choom Kay Phooloan Ko
Jo Tum Sai Milnay Aati Hai
Wo Tum Ko Choomnay Aati Hai


Jawab-E-Muhabbat


Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kartay Ho


Tum Jab Bhi Ghar Per Aatay Ho
Aur Sab Sai Batein Kartay Ho
Main Oat Sai Parday Ki Jaanah
Bas Tum Ko Daikhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Daikhnay Ki Kahtir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon


Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya, Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Sab Kuch Chore Kay Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paon To
Ji Bhar Kay Ronay Lagti Hoon


Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Mehfil Main Kaheen Jab Jana Ho
Kaproan Ka Selection Karna Ho
Rung Bahut Sai Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pai Dil Ajata Hai
Wo Rung Tum Ko Bhata Hai


Main Aisi Muhabbat Karti Hoon


Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Huay
Ya, Break Kay Khali Ghantay Mein
Sakhion Sai Batein Kartay Huay
Mairiay Dehaan Main Tum Aajatay Ho
Main, Main Nahi Rehti Jaanah
Main Tum Mein Gum Ho jati Hoon
In Ankhoan Main Kho Jaati Hoon
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hoon


Main Aisi Muhabbat Karti Hoon ♥♥♥




Friday, January 29, 2016

Being Deeply Loved By Someone

Being deeply loved by someone gives you strength,
while loving someone deeply gives you courage.

Roz Aa Jata Hai Dar-e-Dil Pe Dastak Daine - Sad Poetry

Roz Aa Jata Hai Dar-e-Dil Pe Dastak Daine - Sad Poetry

Urdu Poetry - Dard Shayari

Rooz aa jata hai dar-e-dil pe dastak daine,
Ik shakhs jis ko me ne kabhi bhulaya hi nahi...!


Chaand Tareef Shayari



Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno
Chaand Hai Mere Pas Tu Taare Kiu Chonu


Chera Ye Gulaab Hai Ankhe Eak Kitaab Hai
Ye Husan Mere Pass Hai Tu Kisi Aur Ko Kiu Dekho


Meri Ankho Se Ger Khood Ko Dekh Lete Ager
Ye Jalan Na Hoti Tumhe Etna Main Socho



Chaand Hai Mere Pas Tu Taare Kiu Chonu
Tu Na Shamil Ker Gayero Main Khood Ko


Tu Mere Dil Se Poch Ke Kiya Main Tujhko Samjho
Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno


Main Jhaa Bhi Jao Bas Tujh Ko Hi Pao
Mera Dil Khe Ke Main Tujhe Dekhta Hi Jao


Mail Dil Se Tere Naam Eak Gazal Likh Do
Mera Chaand Tu Ayesa Chaand Hai


Jab Bhi Dekho Tujhe Tu Kamile Aousaf Hai
Teri Eak Khoshi Ke Waste Main Apni Jaan Bhi De Do


Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno
Chaand Hai Mere Pas Tu Tare Kiu Chuno



Tujh Ko Ehsas Kiun Nahi Hota

Tujh Ko Ehsas Kiun Nahi Hota
Chahten Kis Qadar Zaruri Hain

Ao Do Char Mil K Puri Karen
Khawahishen Sainkaron Adhuri Hain...

Tujh Ko Ehsas

Way to Heart

The best way to a woman heart is by saying those three words


You lost weight :)

Ye Haqeeqat Hai K Ahbaab Ko Hum

Ye Haqeeqat Hai K Ahbaab Ko Hum
Yaad Hi Kab The Jo Ab Yaad Nahi...

Ye Haqeeqat Hai

Kabhi Dekh Dhoop Me Khare Tanha

Kabhi Dekh Dhoop Me Khare Tanha Shajar Ko

Aise Jalte Hain Wafaon Ko Nibhane Wale...

Kabhi Dekh Dhoop

Wednesday, January 27, 2016

Truck se Neche A Ke

Police: Darwaza kholiye aapke husband


truck ke neeche aakar papad ban gaye hain
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.


Wife: Toh darwaza kholne ki kya zarurat hai, neeche se sarka do

Go Rozaye Aqdas Ki Talab Gar Hain Aankhain



Go Rozaye Aqdas Ki Talab Gar Hain Aankhain
Sach Poocho To Khud Rah Ki Deewar Hain Aankhain


Allah Re Ye Jurratain Be Taab Nigahain
Be Noor Hain Aur Talib-E- Deedar Hain Aanakhin


Jis Shahar Mai Bik Jatey Hain Khud Akai Kharedar
Us Shahar Mai Awara-E- Bazar Hain Aankhain



Tuesday, January 26, 2016

Hum Ko Ata Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna

Hum Ko Ata Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khudi Rote Hain, Tarapte Hain Or So Jate Hain...

Hum Ko Ata

Radd e bala ka

Koi taveez ho radd-e-bala ka,
.
.
.
.
.
.
.
.
merey peechay taleem par gai hai

Funny Love Story

A LOVE STORY


Lux & Rexona were lovers


lived in Safeguard apartment in Dettol street


Lux’s dad Capri & mama Palmolive fixed his marriage with Opal


But Rexona’s dad Lifebuoy & mama Camay decided Lux & Rexona’s marriage in Dove Marriage hall.


Rexona’s uncle Tibet & aunty Palmy signed as witness.


1 year later Rexona gave birth to twins


they named them Johnson & Johnson.


Moral:


Main nay saaray soaps kay naam yaad karwa diye hain,


ab to naha Loo0o…(…..)

Raaz Afsha Ni Kerte

Chalo tum raaz ho apna Tumhain afsha nahi kartey
Suno jisko chaha jaye Usey chhora nahi kartey
Jisey shaffaf rakhna ho Usey maila nahi kartey
Jo bus jata hai dharkan main Usey bhoola nahi kartey
Kisi ko dil detey waqt Bohat socha nahi kartey
Jo pehley se hi tanha ho Usey tanha nahi kartey
Suno Yaadein satati hain Magar Roya nahi kartey
Suno Tum YAAD aate ho Aur HUM SOYA NAHI KARTAY…

Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kya – Mirza Ghalib



Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kya
zakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kya
beniyazi had se guzri banda paravar kab talak
hum kahenge hal-e-dil aur aap farmayenge kya
hazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kya
aj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne mein wo ab layenge kya
gar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq ke andaz chut jayenge kya
khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-vafa zindan se ghabarayenge kya
hai ab is mamure mein qahat-e-gam-e-ulfat asad
hum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Monday, January 25, 2016

Best Good Morning SMS

“Ego” Is The Only Requirement To Destroy Any Relationship-
So Be The Bigger Person; & Skip The ”E” And Let It ”Go”…:-)
Good Morning;
Have a lovely day

Sunday, January 24, 2016

Rafaqat Kab Badalti Hai

Musafir Toh Bichar Jate Hein Rafaqat Kub Badalti He


Muhabbat Zinda Rehti He, Muhabbat Kub Badalti He


Tumhi Ko Chahte Hein Aur Tumhi Se Pyar Karte Hein


Ye He Barson Ki Adat Aur Adat Kub Badalti He

Saturday, January 23, 2016

Dar Nahi Mout Ka Wo To Ani Hai Ek Din

Dar Nahi Mout Ka Wo To Ani Hai Ek Din
Dar Hai Muhabbat Ka Na Mili To Kya Hoga...?

Submitted By: Misbah Jabeen

Wo kon hai duniya mein jise gham nahi hota – Riaz Khairabadi



Wo kon hai duniya mein jise gham nahi hota
kis ghar mein khushi hoti hai matam nahi hota
aise bhi hain duniya mein jinhen gham nahi hota
ek hum hain hamara gham kabhi kam nahi hota
kya surma-bhari aankhon se aansu nahi behte
kya mehandi lage hathon se matam nahi hota
kuch aur bhi hoti hain bigadane ke adayen
par meri samajh ye ek aalam nahi hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Riaz Khairabadi



Non sense

“Love is the seventh sense which destroys all the six senses”


And makes you a Complete “Non sense”

Ache Logo Sa Dosti

Hamesha sachy
“LOGON” se Dosti  rakho..
Q k wo “ACHAY”  Dino me
“sarmaya”
aur “Burey” dino men “Muhafiz” hoty han.

Friday, January 22, 2016

Definition of Happy Birthday

DeFiNiTiOn Of BiRtHdAy:
The only day in uR life, when u cRied & uR motheR wa$ $miling………..!

Thursday, January 21, 2016

Is Raat Ki Tanhayeoon Ke Sab Rang..



Is Raat Ki Tanhayeoon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hain Wesay Hi
Andharay Badal Gaye Hain


Jin Ke Bharoosay Thi Khushiyan
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzalain Tu Ab Bhi Wohi Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain


Jin Pe Kiua Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Hum Nay Jo
Woh Khuwab Badal Gaye Hain


Jo Baney Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh Hi Mukkar Gaye Hain
Iss Tutay Huwey Dil Ke Sarey
Jazbat Badal Gaye Hain


Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Hamarey Khayalat
Bas Rona Hain Yehi
Kuch Log Badal Gaye Hain



Wednesday, January 20, 2016

Ek Timtamata Hua Charagh Hun Mein

Ek Timtamata Hua Charagh Hun Mein,
Phoonko Na Piyar Sey, Kahin Mein Bujh Hi Jaon Na

Submitted by: Misbah

Friendship Will Never End

The rain may be falling hard outside,
But your smile makes it all alright.
I’m so glad that you’re my friend.
I know our friendship will never end.

Tuesday, January 19, 2016

Khud Pe Beeti To Rote Ho Tarapte Ho

Khud Pe Beeti To Rote Ho, Tarapte Ho Sisakte Ho

Hum Ne Jo Kia Tha Wo Kya Ishq Nahi Tha...?

Khud Pe Beeti

Monday, January 18, 2016

Hath mera ae meri parachain tu hi tham le – Zahoor Nazar



hath mera ae meri parachain tu hi tham le
ek muddat se mujhe to sujhata kuch bhi nahi
shahar-e-shab mein kaun-sa ghar tha na di jis par sada
neend ke andhe musafir ko mila kuch bhi nahi
umr bhar umr-e-gurezan se na meri ban saki
jo kare karati rahe main puchata kuch bhi nahi
wo bhi shayad ro pade viran kagaz dekh kar
main ne us ko aakhiri khat mein likha kuch bhi nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Zahoor Nazar



Karna Hi Tanz Hai To Hansny Ka Kya Takalluf

Karna Hi Tanz Hai To Hansny Ka Kya Takalluf
Kiun Zeher De Rahe Ho Mohabbat Mila Mila Kar...?

Karna Hi Tanz

Sajdon Me Guzaar Dun Apni Sari Zindagi

Sajdon Me Guzaar Dun Apni Sari Zindagi Faraz

Ek Bar Wo Keh De K Mujhe Duaon Se Mang Lo...

Sajdon Me Guzaar

Saturday, January 16, 2016

Wo log bohot khush qismat thay



ishqWo log bohot khush qismat thay


joo ishq ko kaam samajhtey thay


ya kaam se aashqi kartey thay


hum jeetey jee masroof rahey


kuch ishq kiya kuch kaam kiya


kaam ishq ke aarrey aata raha


aur ishq se kaam ulajhta raha


phir aakhir tung aa kar hum ne


donoN ko adhoora chor diya?


You might also like:



Ek brahmann ne kaha hai ke ye sal acha hai – Sabir Dutt



Ek brahmann ne kaha hai ke ye sal acha hai
zulm ke raat bahut jald talegi ab to
aag chulhon mein har ik roz jalegi ab to
bhuk ke mare koi bacha nahi royega
chain ke neend har ik shakhs yahan soyega
aandhi nafarat ke chalegi na kaheen ab ke baras
pyar ke fasal ugaegi zamin ab ke baras
hai yahin ab na koi shor-sharaba hoga
zulm hoga na kaheen khun-kharaba hoga
os aur dhup ke sadamen na sahega koi
ab mere desh mein beghar na rahega koi
naye vadon ka jo dala hai wo jal acha hai
rahanumaon ne kaha hai ke ye sal acha hai
dil ke khush rakhane ko ghalib ye khayal acha hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sabir Dutt



Tere Khawabon Ko Dar-Badar Kar K

Tere Khawabon Ko Dar-Badar Kar K

Apni Aankhon Se Intiqaam Liya...

Tere Khawabon Ko

Mausam shayari



Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai Na Sardiyon Ki Dhoop Hai Na Din Yahan Par Kam Hai Na Thand Ka Koi Bhi Roop Hai Na Mitti Ki Khushbu Hai Na Bheege Yauvan Mein Hulchul Na Baadalon Mein Guftagu Hai Na Chai Pakodi Ka Hi Koi Pal Dhoop Bhi Chilchilaati Nahi Na Chaandni Ka Koi Aalam



Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay




Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai


Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai


Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai


Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai


Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai



Share with us more Mausam shayari in comments section below.



shayari on beauty



Khuda ne jab tumhe banaya hoga,
hajaro saal dekha hoga, lakho saal nihara hoga,
phir usne socha hoga tumhe swarg main rakh lu…..
lekin use mera khayal aaya hoga…..!
`
Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai…..
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki…
`
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega…..
Magar ankhein hamari kahan se layega…..!
`
Log kehte hain ki ishq itna mat karo,
ki hussan sar pe sawar ho jaaye…..!
hum kehte hai ki ishq itna karo,
ki patthar Dil ko bhi tumse pyaar ho jaye..!
`
Hum aap ko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha to bhi hone nahi denge,
Chandni raton me ayegi meri yaad…..
meri yaad k wo pal aap ko sone nahi denge…



Share with us more Shayari on beauty in comments section below.



Friday, January 15, 2016

dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun -Ameer Minai



us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun


dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke use hal sunaun to suna bhi na sakun


us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun


naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade
sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun
bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Ameer Minai



4 Lines Poems in Hindi

Ye Pyara Sa Jo Rishta Hai,
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai,


Kahin Likha Nahi, Kahin Parha Nahi,
Kahin Dekha Nahi, Kahin Suna Nahi,Teri Yaad Se Rishta Kal Bhi Tha
Teri Yaad Se Rishta Aaj Bhi Hai


Dil Apna Dukhta Kal Bhi Tha
Dil Ye Udaas Aaj Bhi Hai,


Jo Pyar Hum Tum Karte They
Woh Pyar To Zinda Aaj Bhi Hai,


Phir Bhi Jana Pehchana Hai,
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai,

Future Husband

Child said 2 a Salesgirl in a sweets shop:
Miss! Will u marry me when I grow up?
Girl smiled n said: Yes.
Child: Can u give ur future husband a free chocolate?

Aise Armaan Paalta Kyun Hoon



Jo Na-Mumkin Hai Chaahta Kyun Hoon
Tujhse Hi Tujhko Maangta Kyun Hoon


Koi Mujhpe Bhi Jaan Nisaar Kare
Aise Armaan Paalta Kyun Hoon


Dil Toh Veeraan Hai Ek Zamaane Se
Aaj Bhi Issme Jhaankta Kyun Hoon


Apni Tanhayee Se Gale Lag Kar
Raat Aankhon Me Kaat-Ta Kyun Hoon


Zikr Kaanton Ka Hai Kubool Mujhe
Baat Phoolon Ki Taalta Kyun Hoon


Kar Ke Taqseem Sab Me Khushiyon Ko
Sare Gham Khud Sanbhal-Ta Kyun Hoon



Hum Bhi Ghar Se Munir Tab Nikle

Hum Bhi Ghar Se "Munir" Tab Nikle
Baat Apno Ki Jab Sahi Na Gai...

Hum Bhi Ghar Se

Thursday, January 14, 2016

Meri Nazrain Sirf Tera Raasta Dekhti Hein

Meri Nazrain Sirf Tera Raasta Dekhti Hein",
 "Kab" 
Tum Meri Chokhat Par Qadam Rakho Gey.....

Eik shaam likh do

Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do


Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do


Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi meray naam hi likh do


Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad – Jigar Moradabadi



Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahi kuch bhi muhabbat ke siva yaad
main shikvabalab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ke mere bhulanevale ne kiya yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish
us waqt wo kuch aur bhi aate hain siva yaad
muddat hui ik hadasa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhadakane ke sada yaad
han han tujhe kya kam mere shiddat-e-gam se
han han nahi mujh ko tere daman ke hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
q aa gai aise mein teri lagazish-e-pa yaad


kya lutf ki main apana pata aap bataun
kije koi bhuli hui khas apni ada yaad


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Wednesday, January 13, 2016

Mera Kya Haal Hai Tere Bina Kabhi Dekh To

Mera Kya Haal Hai Tere Bina Kabhi Dekh To Le

Ji Raha Hun Tera Bhoola Hua Wada Ban Kar...

Mera Kya Haal Hai

Ek Tera Ehsaas Hai , Jo Har Waqt Mere Sath Hai



Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai


Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai


Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki


Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai


Ratain Hogai Hai Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katteen


Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai


Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai



Dil Se Dil Ka Rutba Achcha Laga



Dil Se Dil Ka Rutba Achcha Laga..
Aaj Usko Sochna Achcha Laga,


Jaate Jaate Aakhri Lamhe Mein,
Mudkar Uska Dekhna Achcha Laga,


Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya,
Uska Har Ek Faisla Achcha Laga,

Har Taraf Thi Bawafa Logo Ki Bheed,
Ek Wo Hi Bewafa Achcha Laga,


Wo Haya Ki Har Ada Mein Thi Jab,
Paas Reh Kar Bhi Fasla Achcha Laga,


Kyo Mohabbat Ho Gayi Usse,
Kya Bataye Humko Usme Kya Kya Achcha Laga..!!!



Haq Meri Mohabbat Ka Sms



Na Wo Wafa Ki Devi Hai…
Na Hai Wo Bewafayii Ki Murti….
Kash Khud Ko Itna Bedard Na Banaya Hota …
To Sayad Ushey Rok Pata….
Kaheti Thi Ki Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam ..
Tere Naam Se Suroo Tere Naam Se Khataam
Per Naam Ka Fashla Na Badha Hota Itna …
To Sayad Ushey Rok Pata…
Khati Thi Baith Mere Pass Tujhey Dekhti Rahoon…..
Kass Ushkey Rooh Me Utar Jata …
To Sayad Ushey Rok Pata….



Akhir Bhula Hi Diya Unhoon ne hame | Ghalib


 Akhir Bhula Hi Diya Unhoon ne hame "Ghalib"
Jinhain har saans me hame yad karne ka shoq tha..!


Tuesday, January 12, 2016

Ab To Bus Jaan Hi Dene Ki Bari Hai Mohsin

Ab To Bus Jaan Hi Dene Ki Bari Hai Mohsin
Me Kahan Tak Saabit Karun K Wafa Hai Mujh Main...

Ab To Bus Jaan

Tareef shayari



tna khoobsurat chehara hai tumhara
har dil diwana hai tumhara
log kehate hai chand ka tukda ho tum
lekin ham kehate hai chand tukda hai tumhara


Wo muskura ke dard taal deta hai
kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai
nazar utha ke jis ko dekh le woh ek bar
yakeen karo use mushkil mein daal deta hai


Unhe Chahna hamari kamjori hai
Unhe keh nahi pana hamari majburi hai
Woh kyo nahi samjhte hamari khamoshiya
Kya pyar ka izhar karna jaruri hai


ki choriaan hoti  hain andheron mein
husn ki itni roshni mein
kaise dil churra kar le gaye


Khamoshiyo me teri awaz sunai deti hai
teri har ek nadani mujhe yaad ati hai
saat sur bhi wo sukun de nahi pate
jo teri awaz mujhe deti hai



Share with us more Tareef shayari .in comments section below.



Monday, January 11, 2016

Ankhon ke qasam

Teri Ankhon Ki Qasam Zindgi Samjha Hai Tujhey.


Tujh Ko Kuch Soch K Sansun Mein Sharakat Di Hai..

Layega rang zabt-e-fugan dekhte raho – Hosh Tirmazi



Layega rang zabt-e-fugan dekhte raho
phutegi har kali mein zuban dekhte raho
barpa sar-e-hayat hai ik hashr-e-dar-o-gir
deta hai kon kis ko aman dekhte raho
dam bhar ko aastan-e-tamanna pe hai hujum
jaye bichad ke kon kahan dekhte raho
milane ko hai khamoshi-e-ahal-e-junun ke dad
uthane ko hai zamin se dhuan dekhte raho
mahafil mein un ke shama jali hai ki jan-o-dil
khulata hai kab ye raz-e-nihan dekhte raho
aayi nigar-e-gam ke sada ‘hosh’ hum chale
tum imtiyaz-e-sud-o-ziyan dekhte raho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hosh Tirmazi



Friday, January 8, 2016

Mere Abbu Ki Mohabbat

नींद अपनी भुला कर जिसने सुलाया हमको
आंसू अपने गिरा कर हंसाया हमको
ऐ खुदा कभी दर्द न देना उस प्यार की सूरत को
मैं प्यार से पाप कहता हु जिसको


Love u papa
Happy fathers day

Crush would be useless

Its a FACT whether you Agree or Disagree
.
.
.
.
.
.
.
.
Crushes would be USELESS, if you dont have a best friend
to talk about them

Thursday, January 7, 2016

Barbaad-e-Mohabbat Ki Dua Sath Liye Ja

Barbaad-e-Mohabbat Ki Dua Sath Liye Ja
Toota Hua Iqrar-e-Wafa Sath Liye Ja

Ek Dil Tha Jo Pehle Hi Tujhe Sonp Dia Tha
Ye Jaan Bhi Aye Jaan-e-Adaa Sath Liye Ja

Tapti Hui Raahon Se Tujhe Aanch Na Pohnchy
Dewaano K Ashkon Ki Ghataa Sath Liye Ja

Shamil Hai Mera Khoon-e-Jigr Teri Hina Me
Ye Km Ho To Khoon-e-Wafa Sath Liye Ja

Hum Jurm-e-Mohabbat Ki Saza Paenge Tanha
Jo Tujh Se Hui Ho Wo Khata Sath Liye Ja...

Barbaad-e-Mohabbat

Haar Jeet Us Ke Naam Kar Rahai Hoon



Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Use Kehna
Kabhi Mile To Ye Baat Use Kehna


Wo Sath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera
Magar Ab Koi Nahi Mere Sath Use Kehna


Use Kehna Ke Bin Us Ke Din Nahi Katta
Sisak Sisak Ke Katti Hai Raat Use Kehna


Use Pukarun Ke Khud Hi Pohunch Jaun Us Ke Paas
Nahi Rahe Wo Halaat Use Kehna


Agar Wo Phir Bhi Na Laute To Ae Meherbaa’n Qasid
Hamari Zeest Ke Halaat Use Kehna


Haar Jeet Us Ke Naam Kar Rahai Hoon
Manati Hoon Apni Haar Use Kehna



Wednesday, January 6, 2016

ISHQ DARD-E-SAR;P



AB KHARRE HAIN HAAT PE HAAT DHARE
FAQAT YEH HI TOU KAR SAKTE HAIN
ZNDAGI UN K NAAM KYUN KARDI HM NE
YAKTARFAA MUHABBAT KYUN KARI HM NE
WO TOU JAANTE BHI NA THAY HM KO
PEHCHANTE BHI NA THAY HM KO PHIR
AB ISHQ K DAAWE LAGTE HAIN BE JAA
ZNDAGI LAHAASIL JAISE MURDAA


Posted by MIRZA GHALIB HOON MAI;D



Yun saja chand ki jhalaka tere andaz ka rang



Yun saja chand ki jhalaka tere andaz ka rang
yun faza mahaki ki badala mere hamaraz ka
rang
saya-e-chashm mein hairan rukh-e-raushan
ka jamal
surkhi-e-lab pe pareshan teri aavaz ka rang
bepiye hon ki agar lutf karo aakhir-e-shab
shisha-e-may mein dhale subah ke aagaz ka
rang
chango-nay rang pe the apne lahu ke dam
se
dil ne lay badali to madham hua har saz ka
rang
ik sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera
harf-e-sada ko inayat kare ejaz ka rang



Tuesday, January 5, 2016

Umeed -e-Aftari Rkhna



Oss ny mujh sy poocha……..

Mafhoom-e-Ghalt fehmi kya hy….????


Main ny muskra k kaha, “AAP” sy…..


” Umeed -e-Aftari
Rkhna”…:-Oss ny mujh sy poocha……..

Mafhoom-e-Ghalt fehmi kya hy….????


Main ny muskra k kaha, “AAP” sy…..


” Umeed -e-Aftari
Rkhna”…:-D



Monday, January 4, 2016

ALLAH K Huzoor Me Sir Ko Jhuka K Dekh

ALLAH K Huzoor Me Sir Ko Jhuka K Dekh

Milta Hai Kya Namaz Me Sajde Me Ja K Dekh...

ALLAH K Huzoor

Sunday, January 3, 2016

A Month Of Special Blessings

Ramzan
A month of
Special Blessings from Almighty Allah,
Roza,
Namaaz,
Holy Quran recitation,
Taraveeh
n
A month to do the best wd all….!

Friday, January 1, 2016

Insan ke Gunah

Woh Gunah Jis Se Insan Par Lanat Hoti Hai Woh Jhoot Hai.


Woh Gunah Jis Se Pakar Hoti Hai Woh Zulam Hai


Woh Gunah Jis Se Rizq Band Hota Hai Woh Zina Hai


Woh Gunah Jis Se Neematen Kam Hoti Han Woh Takabur Hai