Thursday, January 14, 2016

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad – Jigar Moradabadi



Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahi kuch bhi muhabbat ke siva yaad
main shikvabalab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ke mere bhulanevale ne kiya yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish
us waqt wo kuch aur bhi aate hain siva yaad
muddat hui ik hadasa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhadakane ke sada yaad
han han tujhe kya kam mere shiddat-e-gam se
han han nahi mujh ko tere daman ke hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
q aa gai aise mein teri lagazish-e-pa yaad


kya lutf ki main apana pata aap bataun
kije koi bhuli hui khas apni ada yaad


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



No comments:

Post a Comment