Tuesday, January 26, 2016

Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kya – Mirza Ghalib



Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kya
zakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kya
beniyazi had se guzri banda paravar kab talak
hum kahenge hal-e-dil aur aap farmayenge kya
hazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kya
aj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne mein wo ab layenge kya
gar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq ke andaz chut jayenge kya
khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-vafa zindan se ghabarayenge kya
hai ab is mamure mein qahat-e-gam-e-ulfat asad
hum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment