Tuesday, March 31, 2015

Khuda hum ko aisi khudai na de – Bashir Badr



Khuda hum ko aisi khudai na de
ki apne siva kuch dikhai na de
khatavar samajhegi duniya tujhe
ab itni bhi zyada safai na de
hanso aj itna ki is shor mein
sada sisakiyon ke sunai na de
abhi to badan mein lahu hai bahut
kalam chin le raushanai na de
mujhe apni chadar se yun dhanp lo
zamin aasaman kuch dikhai na de
gulami ko barakat samajhane lagen
asiron ko aisi rihai na de
mujhe aisi jannat nahi chahe
jahan se madina dikhai na de
main ashkon se nam-e-muhammad likhun
qalam chin le roshni na de
abhi to badan mein lahu hai bahut
qalam chin le roshanai na de
khuda aise irfan ka naam hai
rahe samane aur dikhai na de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Monday, March 30, 2015

Zindagi Mai Toh Sabhi Pyar Kiya Kertay Hain



Zindagi Mai Toh Sabhi Pyar Kiya Kertay Hain
Main Toh Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhay Chaahunga
Tu Mila Hai Toh Yeh Ehsaas Hua Hai Mujh Ko
Yeh Meri Umar Muhabbat Kay Liye Thodi Hai
Aik Zara Sa Gham-E-Doraan Ka Bhi Haq Hai Jis Pay
Mai Nay Woh Saans Tere Liye Rakh Choddi Hai
Tujh Pay Ho Jaunga Qurbaan Tujhay Chahungaa


Apnay Jazbaat Main Nagmaat Rachnay Kay Liye
Main Nay Dhadakan Ki Tarah Dil Main Basaya Hai Tujhay
Mai Tasavvur Bhi Judai Ka Bhala Kaise Karun
Mai Nay Qismat Ki Larkeeron Say Churaaya Hai Tujhay
Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhay Chahuungaa


Teri Har Chaap Se Jal Jaate Hain Khayalon Me Chiraag
Jab Bhi Tu Aaya Jagmagatah Huaa Jaddu Aye
Tujh Ko Chu Lun Toh Phir Aye Jan-E-Tamanna Mujh Ko
Dair Tak Apane Badan Say Teri Khusbhoo Aaye
Tuu Baharon Ka Hai Unwan Tujhay Chaahungaa


Zindagi Mai Toh Sabhi Pyar Kiya Kertay Hain
Main Toh Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhay Chahuuga



Everyday We Are Closer To Death

ASSALAM-O-ALAIKUM
Ur Walking & U See A Lion Infront Of U


U Run To Get Away From It Until U See A Cliff.


U See A Rope So U Climb Down
But At The Bottom U See A Crocodile.


Then U See Black & White Mice Nibbling The Rope.
U See No Escape & Feel Scared.


Then Drops Of Honey Begin To Drip
Into Ur Mouth From A Honeycomb Above.


Due To The Sweetness Of The Honey
U Forget About The Danger Around U.


This Is How We’re Living
Our Lives.


The Lion Is Malik-Ul-Maut (Angel Of Death)
The Crocodile Is Our Grave Which We Forget About Which Is Where We Will End Up.


The Black & White Mice Are Days & Nights That Pass By Everyday.


Honey Is The World
(Dunya).
We are So Engrossed In The Love Of This World
That We Fail To Remember That Everyday We are Closer To Death.


Think!

Never Worry About The Size

Never worry about
the size of your Christmas tree.
In the eyes of children,
they are all 30 feet tall.

Ye Kon Sa Station Hai

Ek ladki train se utarkar santa se puchhti he….!!


Yah koun sa station he ???
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.


Santa ne socha, socha, aur bahut socha.
.
.
.
.
Fir bola…. Bahen ji…..


Ye railway station he…..

Blood Donation Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Blood Donation Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Blood Donation Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Blood Donation Day sms greeting.


Blood donate karne se pehle hamesha uska group janchna…
Blood donate karne se pehle hamesha uska group janchna…




“BASANTI in kutton ke samne mat nachna….”


Happy Blood Donation Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Sunday, March 29, 2015

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo



Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo


Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo


Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo


Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo


Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo



Rooh Me Koi Gham Hai Poshida

Rooh Me Koi Gham Hai Poshida

Zindagi Be-Sabab Udaas Nahi...

Rooh Me Koi

Roya karenge aap bhi paharon isi tarah – Momin Khan Momin



Roya karenge aap bhi paharon isi tarah
ataka kaheen jo aap ka dil bhi meri tarah
na tab hijr mein hai na aaram vasl mein
kamabakht dil ko chain nahi hai kisi tarah
gar chup rahen to gam-e-hijran se chut jayen
kahate to hain bhale ke wo lekin buri tarah
na jaye van bane hai na bin jaye chain hai
kya kijiye hamen to hai mushkil sabhi tarah
lagti hain galiyan bhi teri mujhe kya bhali
quraban tere, phir mujhe kah le isi tarah
hun janbalab butan-e-sitamagar ke hath se
kya sab jahan mein jite hain “momin” isi tarah


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Momin Khan Momin



Teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halavaten – Hasan Rizvi



Teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halavaten
na surur wo fasl-e-bahar mein na gulon mein latafaten
kahan reh gain teri nigahaten wo saba kidhar ko nikal gai
teri aahaton ko taras gain mere jism-o-jan ke sama’aten
tere ang ang amin loch hai mere dil ke soz-o-gadaz ka
mere khun-e-dil se raqam huin tere rang-o-bu ke hikayaten
meri chashm-e-gam dil-e-muzatarib gam-e-arazu gam-e-justaju
liye phir raha hun nagar nagar kisi meheraban ke amanaten


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasan Rizvi



Pathan Ne Kafan

Pathan Ne Kafan Ki Shop Kholi.


Logo Ne Use Bohat Mara Kyun…?


Kyun K Us Ne Shop Per Likha Hua Tha


Bara Kafan Lene Per Bachay Kà Kafan FREEEE…!!

Saturday, March 28, 2015

Waja Pucho Ge To Umer Beet Jaegi

Waja Pucho Ge To Umer Beet Jaegi
Kaha Na Zeher Lagate Ho To Bus Lagate Ho...

Waja Pucho Ge

Udasi, Shaam, Tanhai, Kasak, Yadoon Ki Be_Chaini

Udasi, Shaam, Tanhai, Kasak, Yadoon Ki Be_Chaini,
Mujhe Sab Soonp Kar Sooraj Utar Jata Hai Pani Mein…

Sooraj Dard Shayari

Friday, March 27, 2015

Tum Se Nata Hai Yoon Wafaon Ka



Tum Se Nata Hai Yoon Wafaon Ka


Tum Se Nata Hai Yoon Wafaon Ka
Jaisy Khushbo Sy Hay Hawaon Ka,
Jaisy Honton Sy Hay Duaon Ka
Jaisy Rishta Hay Dhoop Chaon Ka,
Jaisy Jism Sy Rooh Aur Jaan Ka Suno
Bandhan Humesha Tum Nibhana,
Mujhe Tanha Choor Maat Jana
Aab Tum Bin Mujhe Nahi Rehna,
Bus Aab Tum Marey Hi Rehna…!!!



Should Get Rich

I think every body should get rich


and famous and do everything they


ever dreamed of so they can see that


it is not the Answer


-Actor Jim Carrey

Hangama-e-gam se tang aakar izhar-e-musarrat kar baithe -Shakeel Badayuni



hangama-e-gam se tang aakar izhar-e-musarrat kar baithe
mashahur thi apni zindadili danista shararat kar baithe
koshish to bahot ke hum ne magar paya na gam-e-hasti ka mafar
virani-e-dil jab had se badi ghabara ke mohabbat kar baithe
nazron se na karte pursish-e-gam khamosh hi rahana bahatar tha
divano ko tumane ched diya wALLAH qayamat kar baithe
har cheez nahi ek markaz par ek roz idhar ik roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayad ye mohabbat kar baithe



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



Ek Police Officer

Ek Chor
Ek Gangster
Aur
Ek Murderer
Ek Hi Gadi Me Jaa Rahe The..
Tab
Wo Gadi Kaun Chala Raha Tha
?
?
Socho
?
?
Ek POLICE OFFICER..

Thursday, March 26, 2015

2012 Rajab Sms in Urdu

Nabi karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka irshad hay


“jo koi allah ki raza or khushnoodi kay liay Rajab may aik roza bhi rakh laita hay wo jannat may dakhil ho jata hay”.

Mere 'Iqbal' Mein Sharminda Hun, Teri Rooh Se


Mere 'Iqbal' Mein Sharminda Hun, Teri Rooh Se,
Tere Khwaa'bon Ki Jo Taa'beer Thi, Phir Khwaa'b Hai...

By: Dr. Riaz Ahmed

Nibha Raha Tha Muhabbat Jab Tak The Ache

Nibha Raha Tha Muhabbat Jab Tak The Ache Din

Aye Gurbat Tera Shukria Log Pehchane To Gaye...

Nibha Raha Tha

Tuesday, March 24, 2015

Roothne Waly, Agar Ijazat Ho - Eid Shayari

Eid Poetry

Roman Urdu - Eid Shayari

Roothne Waly, Agar Ijazat Ho,
Eid Ke Roz, Milne Aa Jaa’on.??

Dukh Anmol Hotay Hain



Dukh Anmol Hotay Hain
Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Qudrat Ki Wadiyat Hotay Hain…
Kabhie Kuch Day Ke Jatay Hain
Kabhie Sab Kuch Cheen Layte Hain
Kabhie Baychain Kartay Hain
Kabhie Jeena Sikhatay Hain
Kabhie Bantay Hain Jab Ansooo
Umer Bhar Lahoo Rulatay Hain
Kabhie Lab Ki Haseee Ban Kar
Naee Duniya Sajatay Hain
Kabhie Meethi Kasak Bankar
Anjani Khalish Bankar
Makeen-E-Dil Yeh Bantay Hain
Kisi Soorat Nahi Mit’tay
Jo In Se Door Bhago Tu
Kahin Jane Nahi Dayte
Na Zinda Rehnay Dayte Hain
Na Yeh Azaad Kartay Hain
Nahin Jiski Dawwa Koi
Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hai
Her Aik Ko Tu Nahi Miltay
Baray Nayaab Hotay Hain



Ye Ishq Bhi Nasha-E-Sharab Jesa Hai

Ye Ishq Bhi Nasha-E-Sharab Jesa Hai Faraz
Karen To Marr Jaen, Choren To Kidhar Jaen...

Ye Ishq Bhi Nasha

Monday, March 23, 2015

Guzre Hue Examz Ko Yaad Na Krna

Guzre hue Examz ko yaad na krna,


Answerr sheet me jo likha he uski faryad na krna,


Jo hoga wo to hoga,


Uski fikar me apne Holidays barbad na krna;-)

Sunday, March 22, 2015

Wo Jo Jaagte Hain

Wo jo jaagte hain
Tanha raton mein
kisi k liye…


Wohi jaante hain
kisi ko Khone ka
Dard kya hota hai…!!

Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan – Allama Iqbal



Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ke nigahon mein wo mausam ho khizan ka
hai sil-sila ehawal ka har lahaja dagaragun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka
shayad ke zamin hai wo kisi aur jahan ke
tu jisako samajhata hai falak apne jahan ka



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Allama Iqbal



Saturday, March 21, 2015

Sok Da Akhtar Da Para



Sok Da Akhtar Da Para Zan Joravi,
Sok Panjedare Sok Botaan Joravi.


Da Cha Sengar V Tar Sahara Jari,
Sok Tar Pa Tar Sere Grewan Joravi.


Sok Shonde Sre Lasona Sra Garza V,
Sok Naray Poze La Pezwaan Joravi.



Der Bewatana Armani Da Watan,
Da Tarmo Ohko Cheraghan Jora V.


Mong Badqismata Khpal Naseb Jaravi,
Qismat Khwarah Da Yar Zulfan Jorawe.


Sok Pa Sangal Da Yar Khobona Kavi,
KHIYAL Tasverona Da Janan Jorawe.


Cell # +92-0334-9136162.



Banta Owned A Factory

Banta owned a factory.
He issued orders that only married
men would be employed.
Friend asks: Why this ?


Bant reply:
Because married men are more obedient.

Friday, March 20, 2015

Qadam insan ka rah-e-dahar mein tharra hi jata hai – Josh Malihabadi



qadam insan ka rah-e-dahar mein tharra hi jata hai
chale kitna hi koi bachake thokar kha hi jata hai
nazar ho khvah kitni hi haqaiq-ashna phir bhi
hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabara hi jata hai
khilaf-e-masalehat main bhi samajhata hun magar naseh
wo aate hain to chehare par tahayyur aa hi jata hai
havayen zor kitna hi lagayen aandhiyan banakar
magar jo ghir ke aata hai wo badal cha hi jata hai
shikayat kyon ise kahate ho ye fitarat hai insan ke
musibat mein khayal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai
samajhati hain ma’al-e-gul magar kya zor-e-fitarat hai
sahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Josh Malihabadi



Nargis paon choo ker

Nargis peer k paon choo kar boli:


baba ji koi changi mat deo


Peer ji: O bibi burka pa k aaya kar


Tennu vekh k te peer di apni mat waj jandi aye..

Mera Roza Hai

A girl fel down from 80th flor a
boy caught her on 60 flor and asked him wil u hug me?


She say, not boy drop her


She was caught on 30 flor by another
boy he asked wil u kis me? She say, not at all he droped her too.


She prayed for last chance when a boy hold her on 5 flor
she imediately say ok i wil hug u and kis u


The boy droped her and say…
Astagfirullah!!
“mera roza hy”

Ramadan Ka Chand Daikha

***E khuda uski duaao me mera asaq rhe***


***E khuda uski baato me meri aarajoo rhe***


***E khuda uske zivan me mere pyaar ki roshani rhe***


***E khuda mere hatho ki lakeero me uska naam rhe***


***E khuda teri rehamat me sadaa hum yaad rhe***


***Ye RAMJAAN KA MAHEENA MERI DUAAO KO KABOOL KAR***


***MERI ZINDAGI HE USSE USE***


***ZINDAGI KI HAR KHUSHI ADAA KAR***


***CHAND MUBARAK SABHI KO***

Thursday, March 19, 2015

KHUSHION KA MULK PAKISTAN



1. Light Aane Ki Khushi,
2. Bazar Mai Shopping Ke Bad Zinda Ghar Wapis Aane Ki Khushi,
3. Bus Mai Seat Milne Ki Khushi
4. Taweel Arse Ke Bad Double Sawari Khulne Ki Khushi,
5. Namaz Parhne Ke Bad Khud-Kash Hamle Se Bachney Ki Khushi,
6. Bus Se Utarne K Bad Apne Mobile Ko Apne Jaib Mai Dekhne Ki Khushi,
7. Masjiid C Nikalte Waqt Chappal Mil Jane Ki Khushi,



Capital of pakistan

Teacher: where the capital of pakistan?


Student: In swiss banks

Wednesday, March 18, 2015

Dhoondo Ge Ujre Rishton Me Wafa k Khazany

Dhoondo Ge Ujre Rishton Me Wafa k Khazany
Tum Mere Bad Muhabbat Ka Ehtram Karo Ge...

Dhoondo Ge Ujre

Tuesday, March 17, 2015

FIFA has announced 2014 worldcup

Congrats GUYZ!
FIFA has announced 2014 worldcup in Pakistan


AND


Naseebo laal will sing the official song…


“WAKA WAKA GUJRA WAY, FUT’BALARA WAY”

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Sar-e-Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kese Chalak Gai
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi K Charaagh Ka
Ye Mizaaj Bhi Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareeki
Na Jala Hua Na Bujha Hua
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila
Wohi Pukhta Kaar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Galat Pari
Na Kisi Ka Teer Khata Hua...

Mujhe Apne Zabt

Monday, March 16, 2015

Mir ke abyat the kuch Faiz k Misre

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega
wo tis k ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard k utha tha yahan yaad rahega
ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yaad rahega
kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yaad rahega
jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega
ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega

10 Lakh ke Car me

Son 2 dad: Car ki chabhi do college me function hai
.
.
Dad: Car..??
.
.
Son : 10 Lakh ki car me jaunga to rob padega.
.
.
.
.
Dad : Ye le 10 RS.
48 Lakh ki bus me ja zyada rob padega… !! 😛
Daddy rocks
beta shockd 😀

Mosam Hy Barish Ka



Mosam Hy Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hy
Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hy


Badal Jab Garajti Hy, Dil Ki Dhrkn Bharhti Hy
Dil Ki Hr 1 Dhrkn Se Awaz Tmhari Aati Hy


Jab Tez Hawaye Chalti Hy To Jaan Hmari Jati Hy
Mosam Hy Barish Ka Or Yaad Tmhari Ati Hy


Please share with us more rain shayari in comments section



Sunday, March 15, 2015

Jumma Mubarak SMS 2012 - Whenever You Have a Burden

Jumma-Mubarak-Friday

Jumma Mubarak SMSs

1

Whenever you have a burden on you and
If the road is uphill then don't Despair...
Cause the view from the top is breathtaking
and Allah is always with you.
Always Follow Your Heart

**.*JUMMA MUBARAK*.**

2

Jumma is A Wonderful DAY
To Pray
To Love
To Care
To Smile
To Relax
And To Thank Allah
For All HE Gives To Us

**.*JUMMAH MUBARAK*.**

3

May The Light Of Jummah,
Shine In Your House.
.
The Strength of Eemaan,
Stay in Your Heart.
.
And May Allah Shower
His Countless Blessings
On You and Your Family
on This Holy Day.
.
Jumma Mubarak

4

Prophet Muhammad (P.B.U.H) Said,
On the Day of Jummah and Jummah's Night 
Send Blessings (Duroood) Abundantly on me
Because the person who did so
I would be witness and do recommendations
for him on The Day of Resurrection



Mere Kamre Ke Parde Ab Puraane Ho Gaye Hain



Mere Kamre Ke Parde Ab Puraane Ho Gaye Hain
Jo Apne The Ab Tak,Ab Begaane Ho Gaye Hain


Rahti Thi Jin Galiyon Mein Hamdardon Ki Aavajaahi
Uske Saare Padaao Ab Veeraane Ho Gaye Hain


Jinhe Samjha Tha Humne Daastaan Sachhe Pyaar Ki
Wohi Kisse Ab Bewafaayi Ke Afsaane Ho Gaye Hain


Woh Khwab Woh Ummeeden Woh Jazwa Aur Woh Josh
Lagta Hain Un Sab Se Mile Zamaane Ho Gaye Hain


Khula To Ab Bhi Hai Pyaar Ka Maikhaana
Yeh Aur Baat Hai Ki Khaali Sab Paimaane Ho Gaye Hain



Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Tabeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Loog Hain Ujray Dil Walay
Jinhein Apni Mohabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jin Ko Chunna Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Jinhein Bantna Hai Kuch Logon Mein
Un Ko Bhi To Rahat Deni Hai
Aye Umer_Rawan!
Aahista Chal..
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai....

Kuch Khwab Hain Jinko

Saturday, March 14, 2015

Ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe – Qateel Shifai



Ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
ki sang tujhape gire aur zakhm aaye mujhe
wo maharaban hai top iqarar q nahi karta
wo badaguman hai to sau bar aazamaye mujhe
main apne panv tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan ke jab nikalun
barahana shahar mein koi nazar na aaye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aaye mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun ‘qateel’
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Juda Ho Kar Bhi Dono Jee Rahe Hain Aik

Juda Ho Kar Bhi Dono Jee Rahe Hain Aik Mudat Se

Kabhi Dono Hi Kehte The K Aisa Ho Nahi Sakta...

Juda Ho Kar Bhi

Friday, March 13, 2015

Hunda c sanu teri yaari tay gharoor kadi



Chareya rehnda c teray pyaar da suroor kadi
Hunda c sanu teri yaari tay gharoor kadi


Maar diti thokar sanu gali day rorray vaango
Socheya nahi c tu hovega enna maghroor kadi


Haar gaye haan dil haathon aaj assi teray kar k
Zindgi vich hoye nahi assi enna majhboor kadi


Kyon banaya tu tamasha yaara saday sachay pyaar da
Mileya taan eh taanu pucha gain zaroor kadi


Bhavain tor geya saday naal tu yaari aaj
Par hovega na yaara saday dil ton tu dur kadi



Zamana Hussain (R.A) Ka - Karbala Hussain Poetry

“Zamana Hussain (R.A) Ka”

Afzal Hai Kul Jahan Sy Gharana Hussain Ka,
Nabiyon Ka Tajdaar Hai Nana Hussain Ka,
Ik Pal Ki Thi Bas Hakoomat Yazeed Ki,
Sadiyaan Hussain Ki Hain, Zamana Hussain Ka…

Karbala-Hussain-Urdu

Sham se aankh mein nami si hai – Gulzar



Sham se aankh mein nami si hai
aj phir aap ke kami si hai
dafn kar do hamen ki sans mile
nabz kuch der se thami si hai
waqt rehta nahi kaheen chupakar
is ke aadat bhi aadmi si hai
koi rishta nahi raha phir bhi
ek taslim lazami si hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Gulzar



Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi

Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi Seekho,
Ye Farigh Waqat Ki Be-Qarari Mohabbat Nahi Hoti...

Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi Seekho

First Saw You I Gasped

When I First Saw You I Gasped And Closed My Eyes.


I Thought You Were Too Gorgeous To Be Real,



I Became Shy. As I Grasped Your Hand,


I Fell Ever More Deeply In Love.



Perhaps You Are An Angel From Above?


Thou Art So Caring. Your Beauty Kept Me In Awe,



And I Couldn’t Stop Staring. I Cherish That Night,


When You Held Me Tight. We Never Slept,



The Sun Never Set. It Only Rised,


Reflecting In Your Glimmering Eyes. Your Eyes Began To Slowly Close.



My Heart Stopped And I Froze. Our Faces Touched.


I Felt My Cheeks Blush. We Melted Into An Enchanted Kiss,



There Is Nothing As Wonderful As This. I Pushed Away, Because I Was Scared.


I Was Worried That You Didn’t Feel What We Shared. My Heart Began To Race,



But Then I Saw A Smile On Your Elegant Face. I’m Hypnotized By Your Charm.


We Became One When I Held You In My Arms. This Poem Could Never Express,



How Much I Am Truly Blessed. Your Touch Is So Gentle, Your Skin Is So Soft,


Your Hair Is Like Silk, And When I Look Into Your Eyes, I Could Easily Get Lost.



If You Were To Leave Me Astray, I Couldn’teven Imagine What Id Do,


Because The Truth Is, I Love You!

Wednesday, March 11, 2015

Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo



Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo
Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo
Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo
Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo



Tuesday, March 10, 2015

Dua shayari



Tumhare ankhein kabhi nam na ho,
Tumhare zindegi me koi gam na ho,
Tumko mile kismat se aisi dulhan,
jiski wajan 200 kilo se kam na ho.


Dil se dua hai hamari,
Jindagi tumhari sanvar jay,
Tumhe jiski talash hai,
Khuda kare oh khud tumhari talash main aaye.


Har phool mubark ho tumko.
har bahar mubarak ho tumko,
shayad kal hum rahe na rahe…
par har “DIN”mubark ho tumko


Aapko Hamari umar lag jaye,
Yahi khuda se fariyad karte hai,
Aapko kya khabar ki,
Ham Aapko kitna yaad karte hai.


Teri Chahat Teri Ulfat Ki Adda Kafi HE
Zinda Rehne K Lie Teri Wafa Kafi He
Be-Wajah Hath Uthane Ki Zrorat Kia He
Dil Se Mango to Fqat 1 Dua Kafi He.


Teri har suba muskurati rahe
teri har shaam gungunati rahe
tu jise bhi mile iss tarah se mile ki
har milne wale ko teri yaad satati rahe


Manzilo ki har Sadak aap ke naam,
Mohabbat ki har adaa aap ke naam,
Pyaar bhari har nigah aap ke naam,
Aur aaj labon par aane wali har Dua aapke naam,
or mere payaari si dua shayari aapke naam.


khuda ka noor aap par is kadar barse,
har koi aapki chahat ko tarse,
aapki zindgi me aaye itni khushi,
k gum bhi aapki zindgi me aane ko tarse…


Pyar k phulon me humesha khile aap..
Khushiyo k jhulon me humesha jhule aap..
Khuda se mange to kya mange hum..
Bas yahi chahte hai hume kabhi na bhoole aap..


Tazi hawa main phuloo ki mahak ho,
pahli kiran main chidiyon ki chahak ho,
jab bhi khole aap apni palke un palko main bas khusiyo ki jalak ho


Dil Ki Galio Me Zindagi Laut Ayegi
Bikhri Hui Khushi Fir Savar Jayegi
Hum Dua Aisi Karenge
Apke Liye
Ke Takdir Bhi Aapke Samne Sar Jukayegi.


Zehen main teri yadon k siwa kuch bhi nahi,
Dil main guzri baton k siwa kuch bhi nahi
Too jahan bhi rahe dost khush rahay,
Mere lub pe duaon k siwa kuch bhi nahi


Jab bhi dil me aapki khushi ki dua aai hai
is dil ne sachi khushi paai hai
Darr lagta hai kahi chot na aaye aapke dil ko mere lafzon se
Kyuki aapki khushi me meri khushi samai hai…..


Sab ne chaha k use hum na mile,
humne chaha k use gam na mile,
agr khushi milti hai use humse juda hokar,
to yahi dua hai k use kabhi hum na mile….


Chupkay se ye chand ki roshni choo jaye apko,
Dheeray se ye hawa choo jaye apko
Dilse jo chahtay ho maang lo Khuda se,
Hum dua karte hain mil jaye wo apko


Share with us more Dua shayari .in comments section below.



Monday, March 9, 2015

Wo dil navaz hai nazar shanas nahi – Nasir Kazmi



Wo dil navaz hai nazar shanas nahi
mera ilaj mere charagar ke pas nahi
tadap rahe hain zaban par kai saval magar
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi
tere ujalon mein bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasudagi bhi ras nahi
kabhi kabhi jo tere qurb mein guzri the
ab un dinon ka tasavvur bhi mere pas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ke aas to hai zindagi ke aas nahi
mujhe ye dar hai ki teri aarzoo na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Sunday, March 8, 2015

मुझे रेगिस्तान मैं एक पानी का चश्मा मिल गया



मुझे रेगिस्तान मैं एक पानी का चश्मा मिल गया
मुझसे ना उम्मीद होने वालो देखो समुन्द्र मिल गया


उड़ ही गया वो परिंदा जिसके पर तुमको ना दिखे
देखो तंज़ देने वालो मुझे एक खजिना मिल गया


बदला वक़्त ऐसा मेरा मुझे हेरात मैं कर दिया
अभी तो रात थी ये ना जाने किसने उजाला कर दिया


अब तो फ़िक्र और बड़ गई ये जाने किसने किया कर दिया
पैदल ही अच्छा था ये दौड़ने वालो मैं क्यों शुमार कर दिया



Shidaat e Dard

Shiddat-e-dard se shikayat nhi meri wafa


Jin se rishte gehre hon vo zakhm bhe gehre dete hai

Nisbat E Ishq Say Hui Nadamat Mujh Ko



Ajh Karna Hai Ousey Rukhsat Mujh Ko
Jis Say Bey Andaza Muhabat Hai Mujh Ko


Ousey Chor Kay Jaaun Toh Jaun Keisey
Darr O Diwaar Say Ho Gai Vehshaat Mujh Ko


Main Kay Na Qais Na Majhun Na Farhaad Huwa
Nisbat E Ishq Say Hui Nadamat Mujh Ko

Main Toh Ousey Rag E Jaan Samjhey Huwa Tha
Kia Samjha Tha Kitni Hai Hairat Mujh Ko


Woh Samney Hai Aur Aur Mera Takhaiyurr Dekhoo
Woh Na Bhi Hho Toh Samjhe Chashm E Hairat Mujhy Ko


Mer Khawab Meri Ankhain Bhi Liye Jatey Ho
Dey Kay Ik Umar Ki Fursaat Mujh Ko



Saturday, March 7, 2015

Hum Muhabbat Me Bhi Toheed K Qaail

Hum Muhabbat Me Bhi Toheed K Qaail Hain

Aik Hi Shakhs Ko Mehboob Bana Rakha Hai...

Hum Muhabbat Me

Most Successful Happy Married

Most successful
Happy married life is
Defined as.
.
.
.
.
“Yet to be seen”

Friday, March 6, 2015

I Plan To Continue It In 2013

There have been many time in 2011
when I may disturbed you
troubled u
irritated u
bugged u
.
.
.
.
today I just wanna tell you
.
.
.
.
I plan to continue it in 2013.

Koi To Ho Jo Aa K Sambhale Mujh Ko

Koi To Ho Jo Aa K Sambhale Mujh Ko
Apni Palkon Pe Apne Dil Main Basa Le Mujh Ko

Reza Reza Hai Meri Zaat Koi Ekatha Kar De
Apne Hathon Se Koi Phir Se Sanwary Mujh Ko...

Submitted By: Aasia

Khuda se baat

Jab main chahtha hon ke KHUDA


se baat karon to mai NAMAZ partha hon.


Aur jab mai chahtha hon k “khuda” mujh se


baat karay to mai “QURAN” partha hon


HAZART ALI (R.A)

Mohabbat Khud Batati Hai Kahan Kis Ka Thikana Hai

Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai
Kise Aankhon Me Rakhna Hai
Kise Dil Me Basana Hai
Reha Karna Hai Kis Ko Aur
Kise Zanjeer Karna Hai
Mitana Hai Kise Dil Se
Kise Tehreer Karna Hai
Ise Maloom Hota Hai
Safar Dushwar Kitna Hai
Kisi Ki Chashm-e-Girya Me
Chupa Iqrar Kitna Hai
Shajar Jo Girne Wala Hai
Wo Saya Daar Kitna Hai
Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai...!

Mohabbat Khud Batati

Thursday, March 5, 2015

Aankhen Bheeg Jati Hain - Wasi Shah Shayari

Aankhen-bheeg-jati-Wasi-Shah

Wasi Shah Poetry - Love Poetry

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….

Cheen = Snached;

Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain,
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Jhail = bear; Rasmain = Rituals;

Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Hassas = Sensitive;

Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain,
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Chokhat = Threshold

Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain,
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Muflis = Destitute; Alam = Tragic; Daastanein = Stories;

Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi,
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Unchey = High; Bad_Numa =  Graceless; Mehloon = Menses; Takta = To See

Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Kooche = Neighborhood; Taaluq = relation; Waajbi = Obligatory

Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!

Wednesday, March 4, 2015

Riaya Jis Riyasat Ki Bohat Lachaar Hoti Hai

Riaya Jis Riyasat Ki Bohat Lachaar Hoti Hai
Hukoomat Us Riyasat Ki Bohat Badkaar Hoti Hai

Bohat Asan Hota Hai Kisi Ko Bewafa Kehna
Magar Takleef Sun'ne Me Mere Sarkar Hoti Hai

Nazar Wo Ho K Jis Me Jo Nazar Aye Wo Kafi Ho
Tajas-sus Jo Barhaye Wo Nazar Bekaar Hoti Hai

Erada-e-Milan Itna Hai Poshida K Mat Pucho
Mulaqat-e-Sanam Lekin Sar-e-Bazar Hoti Hai

Yahan "Masroor" Rishton K Makaan Tameer Hain Aise
Chat-e-Ulfat Nahi Hoti Gham-e-Dewar Hoti hai...

Submitted By: Masroor

Muhabbat Par Na Jane Kiun Kisi Ka Bus Nahi

Muhabbat Par Na Jane Kiun Kisi Ka Bus Nahi Chalta
Yehi Wo Aik Jazba Hai Jo Na-Farman Hota Hai...

Muhabbat Par Na

Tuesday, March 3, 2015

Kisi Ka Bura Nahi Socha

WIFE: Tum Ne Kabhi Socha Hai K Meri Shaadi Kisi Aur Se Ho Jaati To Kya Hota?”


HUSBAND: Nahi, Main ne kabhi Kisi Ka Bura Nahi Socha…!!!

Monday, March 2, 2015

Pyaar Vyaar To Ek Bahana Hai

Pyaar Vyaar To Ek Bahanaa Hai,


Aankhein Milen Na Milen Lips Ko Milaana Hai,


Yehi Style Hai Sab Aashiqon Ka,
Kya Karein Yar….


Raj Kapoor Ka Nahe, Emraan Hashmi Ka Zamaana Hai

Saans ruk gye hai

Zinda raha to Yaad tum ko Karta rahunga,
Bhool jaon To Samajh lena ke Saans ruk gai hai.

Power Of Mind

“God gave you a body that can stand almost evreything,
its your mind you have to convince.”

Sunday, March 1, 2015

Neend Na Dil Mein Qarar

जुबान से नाम लेते हैं”


आँखो से आँसू छलक
जाते हैं”


कभी हजारों बातें किया करते थे””
आज एक बात के लिए –
तरस जाते हैं…………

Tujhko Socha to bahot Pr likha kam Maine

Maine tujhko dekha nahi hai magar
dil ye kahta hai tu khubsurat hai bahut
sharm va hyaa ki devi hai tu
ai jaane wafa meri Zustuju hai tu


maine tujhko dekha nahi hai magar…


kanwal jaisa hi hoga chehra tera
rang aankhon ka hoga tumhare bhura
zulf hongi tumhari ghani aur badi
lagti hogi tu koi afsaraa


maine tujhko dekha nahi hai magar..


chaand bhi sharmata hoga tera husn dekhkar
phool karta hoga sajda tujhe dekhkar
us jagah pe bikhar jati hogi khushboo
jahan se gujarti hogi tu jane jigar


maine tujhko dekha nahi hai magar


honge kitne hi dil fidaa tujhpe sanam
ai jaaneman khuda ki kasam
per tumhara dil hai deewana kiska
ye bata do tum mujhko sanam
maine tujhko dekha nahi hai magar
dil ye kahta hai tu khubsurat hai bahu