Sunday, March 1, 2015

Tujhko Socha to bahot Pr likha kam Maine

Maine tujhko dekha nahi hai magar
dil ye kahta hai tu khubsurat hai bahut
sharm va hyaa ki devi hai tu
ai jaane wafa meri Zustuju hai tu


maine tujhko dekha nahi hai magar…


kanwal jaisa hi hoga chehra tera
rang aankhon ka hoga tumhare bhura
zulf hongi tumhari ghani aur badi
lagti hogi tu koi afsaraa


maine tujhko dekha nahi hai magar..


chaand bhi sharmata hoga tera husn dekhkar
phool karta hoga sajda tujhe dekhkar
us jagah pe bikhar jati hogi khushboo
jahan se gujarti hogi tu jane jigar


maine tujhko dekha nahi hai magar


honge kitne hi dil fidaa tujhpe sanam
ai jaaneman khuda ki kasam
per tumhara dil hai deewana kiska
ye bata do tum mujhko sanam
maine tujhko dekha nahi hai magar
dil ye kahta hai tu khubsurat hai bahu

No comments:

Post a Comment