Wednesday, January 7, 2015

Sawalon Ka Jawab

vo kasmir ki vadiya chut gai na jane kyo,
vo ma ki mamta, papa ke kandhe par baith kar duniya ki sair karna,
vo ma baap ka pyar,us bachche se na jane kyo chhin gaya.
sbhi pucha karte tere ma baap kaha,mujhe us wakt unke sawalo ka jawab na malum hota, aur na mai de pata,
kaiyo ne to mujhe anath kaha, mujhe us wakt in sabdo ka matlab na malum hota,
mai ghar jata didi se in sabdo ka matlub puchna chahta lekin puch na pata.
mere school ke bachche mujhse dur rahte, mujhse koi bhi bachche apna tifin, share na karta,
mai har dum ye hi sochta ki ,mera gunha kya hai,
lekin jub mai apne takdir khud hi likhne ki kosis ki to, tadir ke tezz hawa ke jhoke ne us pane ko eaisa gum kiya ki mai aj bhi us pane ko dhund raha hu, na jane kyo……
aur jab takdir ko mere par daya aai to, mai ne hi apne takdir ko hawa ka jhoka bana diya, na jane kyo.
na jane kyo………..
na jane kyo……………….


SHIVAM SRIVASTAVA

No comments:

Post a Comment