Thursday, January 29, 2015

Mohabbat tark ke main ne gareban si liya main ne – Sahir Ludhianvi



mohabbat tark ke main ne gareban si liya main ne
zamane ab to khush ho zeher ye bhi pi liya main ne
abhi zinda hun lekin sochata rehta hun khalvat mein
ki ab tak kis tamanna ke sahare jee liya main ne
unhen apna nahi sakata magar itna bhi kya kam hai
ki kuch muddat hasin khwabon mein kho kar jee liya main ne
bas ab to daman-e-dil chod do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din jee liya main ne


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment