Friday, May 30, 2014

Jagmagate shahar ke ranaiyon mein kya na tha – Ameer Kazalbash



jagmagate shahar ke ranaiyon mein kya na tha
dhundhane nikala tha jis ko main wohi chehara na tha
ret pe likhe huye namon ko padh kar dekh lo
aj tanha rah gaya hun kal magar aisa na tha
hum wohi tum bhi wohi mausam wohi manzar wohi
fasala bad jayega itna kabhi socha na tha
fikr ke dar pe koi aahat koi dastak nahi
wo faqat bimar jis ka koi hamsaya na tha


chod aaya jin safinon ko talatum ke qarib
nakhuda un mein tera shayad koi apana na tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ameer Kazalbash



No comments:

Post a Comment