Saturday, May 17, 2014

Har taraf har jagah beshumar aadmi – Nida Fazli



har taraf har jagah beshumar aadmi
phir bhi tanahaiyon ka shikar aadmi
subah se sham tak bojh dhota hua
apni hi lash ka khud mazar aadmi
har taraf bhagte daudate raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
roz jeeta hua roz marata hua
har nae din naya intazar aadmi
zindagi ka muqaddar safar dar safar
aakhiri sans tak beqarar aadmi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli



No comments:

Post a Comment