Friday, January 31, 2014

Lovely Shayari SMS



PAS Aao, Ik Ilteja Sun Lo
Pyar Ha Be-Panah Sun Lo


Ek Tumhi Ko Khud Sa Manga Ha
Jab B Koi Dua Mangi Sun Lo


Ibteda Ishq Ki How Tum Sa
Tum Ko Chahat Ki Inteha Sun Lo


Bin Tere Je Nahi Sakunge Main
Lot Ao Mere Sada Sun Lo


Dekh Lo Zindagi Adhuri Ha
Na Raho Aur Ab JUDA Sun Lo..



Ilahi kash gam-e-ishq kam kar jaye – Shamim Jaipuri



Ilahi kash gam-e-ishq kam kar jaye
jo kal guzarani hai mujh pe abhi guzar jaye
tamam umr rahe hum to khair kanton mein
khuda kare tera daman gulon se bhar jaye
zamana ahal-e-khirad se to ho chuka mayus
ajab nahi koi divanakam kar jaye
hamara hashr jo kuch hua, hua lekin
dua ye hai ki teri aaqabat sanvar jaye
nigah-e-shauq wohi hai nigah-e-shauq “shamim”
jo ek bar rukh-e-yar par thahar jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



Thursday, January 30, 2014

Na Kuch Raha Pas Apne To Sambhal Ke Rakhi Ek Tanhai

Na Kuch Raha Pas Apne To Sambhal Ke Rakhi Ek Tanhai,
Yeh Wo Saltanat Hai, Jis Ke Badshah Bhi Hum, Faqeer Bhi Hum…

Tanhai

Wednesday, January 29, 2014

Jholi Khushiyon Se

“*._ Tu Jb Bhi Koi “*._ DUA Kary


“*._ Mera RAB “*._ Tujhy Wo Atta Kary
“*._ Teri Jholi Khushiyon Se
// Bhari Rahy
“*._ Bin Mangey
Hi Sb Atta Kary
_.*”
“*._ Tere Hath | Uthain
_.*” ‘Baad Main
|.*.| Mera RAB
|.*.| Wo Pehle
|.*.| Atta Kary

Us simt mujh ko yar ne jane nahi diya-Munir Niazi



us simt mujh ko yar ne jane nahi diya
ek aur shahar-e-yar mein aane nahi diya
kuch aur waqt chahate the ki sochen tere liye
tune wo waqt hum ko zamane nahi diya
manzil hai is mahak ke kahan kis chaman mein hai
is ka pata safar mein hawa ne nahi diya
roka ana ne kavish-e-besud se mujhe
us but ko apna hal sunane nahi diya
hai jis ke bad ahad-e-zaval-ashna “munir”
itna kamal hum ko khuda ne nahi diya


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Munir Niazi



Laun Ga Kahan Se Judai Ka Hosla

Laun Ga Kahan Se Judai Ka Hosla,
Kiun Is Qadar Mere Qareeb A Gaye Ho Tum...

Laun Ga Kahan Se Judai

Tuesday, January 28, 2014

Aashiq hon koi chor nhi

Kese mumkin tha kisi or dawa se elaj?
.
.
.
Ishq ka DARD tha AMMI ki chapal se hi aram aya…
<(“,) ( (> aaye,
.</ Ami aram se
Aashiq hon koi chor nhi.. 😀

Namaz Pahrny K Doran Honay Wali Ghaltiyan

Namaz Pahrny K Doran Honay Wali  Ghaltiyan,Jin Se Bachna Bohat Zaarori Hota Hai.
(1)Jaldi Jaldi Namaz Pahrna,
(2)Paon Or Ungliyon Ka Qibla Ke Tarf Na Hona,
(3)Sajdy k duran paon ka zmeen sy uth jana
(4)Imam Se Peihlay Koi Arkaan Ada Karna,
(5)Rokuh Mein Kamar Ka Seedha Na Hona,
(6)Sadjay Mein Naak Zameen Per Na Lagana,
(7)Sajday Mein Kohniyon Yani
( Kalaai ) Ka Zameen Se Touch Karna,
(8 )Attahiyat Mein Hath Ke Ungliyan Ghutnon Se Nechay Hona,
jazakAllah

Mujhe Mujh Se Milati Ja Rahi Hai

Mujhe Mujh Se Milati Ja Rahi Hai
Faqeeri Raas Ati Ja Rahi Hai...

Mujhe Mujh Se

Fasale aise bhi honge ye kabhi socha na tha



fasale aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samane baitha tha mere aur wo mera na tha
wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere char su
main use mahasus kar sakata tha chu sakata na tha
raat bhar us ki hi aahat kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
aks to maujud the par aks tanahai ki the
aaina to tha magar us mein tera chehara na tha
aj us ne dard bhi apne alahada kar diye
aj main roya to mere sath wo roya na tha
ye sabhi viraniyan us ki juda hone se thin
aankh dhundhalai hui thi shahar dhundhalaya na tha
yaad karake aur bhi takalif hoti thi “adeem”
bhool jane ki siva ab koi bhi chara na tha


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Adeem Hashmi



Spoken Words

A relationship not only depends on the spoken words.


But, it also depends on understanding the Unspoken feelings.

Monday, January 27, 2014

Sar pe saya sa dast-e-dua yaad hai – Bashir Badr



Sar pe saya sa dast-e-dua yaad hai
apne aangan mein ik ped tha yaad hai
jis mein apni parindon se tashbih thi
tum ko skul ke wo dua yaad hai
aisa lagata hai har imtahan ke liye
zindagi ko hamara pata yaad hai
maikade mein azan sun ke roya bahut
is sharabi ko dil se khuda yaad hai
main purani haveli ka parda mujhe
kuch kaha yaad hai kuch suna yaad hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Jane Kis Raah Se Aa Jaye Wo Any Wala

Jane Kis Raah Se Aa Jaye Wo Any Wala
Hum Ne Har Simt Se Dewaar Gira Rakhi Hai...

Jane Kis Raah

Barish Ki Ye Pehli Boondein



Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain
Dil Se Khoon Ke Katre Le Kar
Meri Ankhein Bharti Hain
Barish Ke Is Dibache Se
Kitne Manzar Khulte Hain
Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Barish, Pehli Khwahish,
Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Mein Parna
Jo Bhi Kehna Tashna Kehna
Toota Fuqra, Aadha Jumlaa,
Jalti Sansein, Thandi Aahian,
Bojhal Palkain, Saahir Aankhein,
Dhani Jora, Sabz Dupatta,
Lambe Gaisoo, Qatil Khushboo,
Ik Pehar Mein
Ik Jag Beeta
Maine Tera Bazoo Thama
Wasal Ki Is Pehli Barish Mein
Kya Kuchh Khoya, Kya Kuchh Paya
Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain.



Sunday, January 26, 2014

Kisi Ki Yaad Ko Dil Me Basa Ke Roye



36540_274959262615350_1552751948_n


Kisi Ki Yaad Ko Dil Me Basa Ke Roye
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,


Jo Wada Kia Tha Hum Ne Kisi Se
Hum Us Wady Ko Nibha Ke Roye,


Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,


Jis Ne Hamain Apne Qadmoon Taley Bhi Jaga Na Di
Hum Use Apni Palkoon Par Bithaa Ke Roye…!!!




Kabe se butkade se kabhi bazm-e-yar se – Shamim Jaipuri



Kabe se butkade se kabhi bazm-e-yar se
aavaz de raha hun tujhe har muqam se
na-ashna hai aj wohi mere naam se
duniya pukarati thi jinhen mere naam se


uff ye shab-e-firaq ke maron ke bekhudi
khud hi bujha diya hai charagon ko sham se


dil mein fareb lab pe tabassum nazar mein pyar
lute gaye ‘shamim’ bade ehatimam se



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



Kehty hain kr den gy ruswa hum ko zamany mein

Kehty hain kr den gy ruswa hum ko zamany mein.. 
Kuch log is basti me khuda bany phirty hain....

Submitted By: Waleed

Saturday, January 25, 2014

saanse Chura lo

Koi Ek Pal Ho To Chalo Nazrain Chura Lon Is Se,


Ye Teri Yaad To Saanso Ki TarAh Ati Hai.

Rakhi Sms For Brothers



For Brothers
The Loving Occasion Of Raksha Bandhan Is The Best Time ,
To Reminisce Fondly The Wonderful Moment We Have Spent Together,
Sharing Each Other’s Joys And Sorrows…
Thanks For Spreading Smiles Everywhere And Making Life So Beautiful,
Meaningful And Happy… My Dear Brother .”



Friday, January 24, 2014

Mera Zoaq Unki Chahat

Kabhi Unka Naam Lena, Kabhi Unki Baat Karna…….!


Mera Zoaq Unki Chahat, Mera Shoaq Un Par Marna……..!

Us bevafa ka shahar hai aur hum hain doston -Munir Niazi



us bevafa ka shahar hai aur hum hain doston
ashk-e-ravan ke nahar hai aur hum hain doston
sham-e-alam dhali to chali dard ke hawa
raton ka pichala pahar hai aur hum hain doston
aankhon mein ud rahi hai luti mahafilon ke dhul
ibrat bara-e-dahar hai aur hum hain doston
ye ajanabi si manzilen aur raftagan ke yaad
tanhaiyon ka zeher hai aur hum hain doston


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Munir Niazi



Shoq Se Toro Dil Mera

Shoq Se Toro Dil Mera
Apna Hi Ghar Barbad Karo Ge...

Submitted By: Ahmad Raza

Thursday, January 23, 2014

Mujhe Hukam Hua Kuch - Urdu Udas Shayari

Urdu Udas Shayari

Urdu Poetry - Udas shayari

Mujhe Hukam Hua Kuch Or Mang Us Ke Siwa,
Main Dast-e-Dua Se Uth Gaya Ke Mujhe Justaju Bus Usi Ki Thi.

Wednesday, January 22, 2014

Mere sath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho – Bashir Badr



mere sath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kaheen aur ho na ye hadasa koi raste mein juda na ho
mere ghar se raat ke sej tak wo ik aansu ke lakir hai
zara bad ke chand se puchana wo isi taraf se gaya na ho
note: some books have the first misra of the above sher as:
meri chat se raat ke subah tak koi aansuon ke lakir hai
sar-e-sham thahari hui zamin, aasaman hai jhuka hua
isi mod par mere vaste wo charag le kar khada na ho
wo farishte aap hi dhundhiye kahaniyon ke kitab mein
jo bura kahen na bura sune koi shakhs un se khafa na ho
wo visal ho ke firaq ho teri aag mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kya jo charag ban ke jala na ho
mujhe yun laga ki khamosh khushbu ke honth titali ne chu liye
inhin zard patton ke ot mein koi phul soya hua na ho
isi ehatiyat mein main raha, isi ehatiyat mein wo raha
wo kahan kahan mere sath hai kisi aur ko ye pata na ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Is shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq ke mare – Habib Jalib



Is shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq ke mare
zinda hain yahi baat badi baat hai pyare
ye hansata hua chand ye purnur sitare
tabinda-o-painda hain zarron ke sahare
hasrat hai koi guncha hamen pyar se dekhe
araman hai koi phul hamen dil se pukare
har subah meri subah pe roti rahi shabanam
har raat meri raat pe hanste rahe tare
kuch aur bhi hain kam hamen ae gam-e-janan
kab tak koi ulajhi hui zulfon ko sanvare


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Habib Jalib



Intezar mat karna

Intezar mat karna,
Mere dil me
Tumhare qurb ki chahat
Musalsal
Barhti jati hai
Kahin aisa na ho
Ke mein
Kisi kamzoor lamhe
Achanak hi
Tumhare was aa jaaon
Magar is baat ko tum
Zeesht ka unwaan mat karna
Safar me
Zindagi ke barhte rehna tum
Kahin ruk kar thehar kar bhi
Safar ko mat gunwana tum
Meri rahin
Me aankhen mat bichana tum...

انتظار مت کرنا 
مرے دل میں 
تمھارے قرب کی چاہت
مسلسل 
بڑھتی جاتی ہے
کہیں ایسا نہ ہو 
کہ میں
کسی کمزور لمحے میں
اچانک ہی 
تمھارے پاس آجاؤں
مگر اس بات کو تم 
زیست کا عنوان مت کرنا 
سفر میں 
زندگی کے بڑھتے رہنا تم 
کہیں رک کر ،ٹھہر کر بھی
سفر کو مت گنوانا تم 
مری راہوں 
میں آنکھیں مت بچھانا تم

By: Dua Ali

Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho

Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho
Jab Sham Udasi Wali Ho
Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Chuta Ho
Jab Darshan Pyas Bujate Hon
Jab Mosam Geet Sunate Hon
Jab Kan Hon Tarse Baton Ko
Jab Nend Na Aaye Raton Ko
Jab Ankon Mai Jugrate Hon
Jab Apne Dard Statay Hon
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho..

Shola hun bhadakane ke guzarish nahi karta – Muzaffar Warsi



Shola hun bhadakane ke guzarish nahi karta
sach muh se nikal jata hai koshish nahi karta
girti hui divar ka hamdard hun lekin
chadte hue suraj ke parastish nahi karta
mathe ke pasine ke mahak aaye to dekhen
wo khoon mere jism mein gardish nahi karta
hamdardi-e-ahbab se darta hun ‘muzaffar’
main zakhm to rakhta hun numaish nahi karta


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Muzaffar Warsi



Ye Kaynat Hai Ye Khushboo Hai



Tu Hai To Ye Kaynat Hai Ye Khushboo Hai
Aye Dost Tujhse Hi To Ye Gulshan Ye Manjar Hai


Ye Waqt Ye Ghadiya Sub Teri Hi Gulami Karte Hai
Tera Hi Dum Pe To Sab Naakamyab Bhi Kamyabi Ki Aahai Bharte Hai


Tu Zami Hai Aur Aasma Bhi Hai Tu Khamoshi Hai Aur Masti Ka Sama Bhi Hai
Tu Chand Hai Or Umido Se Bhari Chandni Bhi Tu Hai
Tute Hoslo Ke Paro Mein Aatmvishwas Se Bharne Walli Hawa Bhi Tu Hai
Maayuso Ki Hoto Pe Tujhse Hi Muskurahat Hai


Tujhe Hi Dekh Kar Hazaaro Ke Dil Mai Kuch Karne Ki Chahat Hai
Mai Bhi Tera Hi Ek Hissa Hu


Jaanta Nahi Par Aisa Lagta Hai Shayad Pichla Janam Se Juda Koi Kissa Hu
Meri Bhi Umid Aur Takat Tujhse Hai


Jina Ki Wajah Aur Kushiyo Ki Har Aahat Tujhse Hai
Meri Dua Hai Tu Yu Hi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha



Kahin Pe Dard Ki Jheelen Kahin Lehjay Ki Karwahat

Kahin Pe Dard Ki Jheelen Kahin Lehjay Ki Karwahat
Suno Me Khush To Hun Lekin Mera Har Lafz Rota Hai...

Submitted By: Waqas Ali

Tuesday, January 21, 2014

Mere Dost Mere Dil



Mere Dost Mere Dil Ke Kareeb Hote Hai
Ek Phool Ek Mehek Thi Khushi Hote Hai


Kabhi Na Katam Hogi Aise Ek Khwab Hote Hai
Dosti Se Na Door Hoon Main Khushi Hote Hai


Kabhi Dil Toote Toh Saath Jee Ley The Hai
Meri Dukhon Ko Mehsus Karte Hai


Dosti Ki Ek Ek Pal Khaas Hote Hai
Joh Zindagi Bhar Ke Liye Saath Rahete Hai



During Maths I Was Thinking Of You

During maths I was thinking of you but I cannot calculate how much I love you!!

Monday, January 20, 2014

Mere Humsafar Ka Ye Hukam Tha

Mere Humsafar Ka Ye Hukam Tha

K Kalaam Us Se Me Kam Karun

Mere Hont Aise Sillay K Phir

Meri Chup Ne Us Ko Rula Dia...

Mere Humsafar Ka

Green Tree

Always Keep Hoping For Good.
As The Chinese Say,
“Keep A Green Tree In Your Heart, The Singing Bird Will Surely Come..”


Gud Mrning……

Wo Tere Pas Se Chup Chaap Guzar Gaya

Wo Tere Pas Se Chup Chaap Guzar Gaya Kese
Dil-e-Betaab Qayamat Na Utha Di Tu Ne...

Wo Tere Pas Se

Charag apne thakan ke koi safai na de



charag apne thakan ke koi safai na de
wo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhai na de


bahut satate hain rishte jo tut jate hain
khuda kisi ko bhi taufiq-e-ashanai na de


main sari umr andheron mein kat sakata hun
mere diyon ko magar raushani parai na de


agar yahi teri duniya ka hal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de


dua ye mangi hai sahame hue mu’arrik ne
ke ab qalam ho khuda surkh raushnai na de


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meraj Faizabadi



Sunday, January 19, 2014

Es Qddar wo meri yaad se gaafil kabhi huwa to na tha


Baad-e-saba ja tu hi khabr la un ki "Khuda" khair krey. 
Es Qddar wo meri yaad se gaafil kabhi huwa to na tha...

By: Muhammad Kashif

Saturday, January 18, 2014

Kar Kuch Mera Elaaj Bhi Aye Hakeem

Kar Kuch Mera Elaaj Bhi Aye Hakeem-e-Ishq

Jis Raat Pura Chaand Ho Soya Nahi Jata...

Kar Kuch Mera

Funny Faraz Poetry

Muhalle ki Larkiyan hai kuch Naraz


Q K


Aitikaf me beth gya hai farazzzzz…..

Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas

chand ki chahat kerti ho
tum pagal larki lagti ho


wo dur falak pey rehta hey
tum kaheeN zameeN pey basti ho


sitarey us ke ham-dam heyN
kyuN baat naheeN samjhti ho?


wo pariyooN key daes ka basi
tum aam si surat lagti ho


wo tarq -e taaluq chahta hey
tum us ki refaqat chahti ho


kyuN raat bher neend naheeN ati
kis sooch meyN doobi rehti ho


jo tum pey beeti muhabbat meyN
us se kyuN naheeN kehti ho


khawaboN meyN khoi rehti ho
kyun mari mari phirti ho


chand sey baateyN kerti ho
raat ki banhooN meyN soti ho


yuN aas lagaey bethi ho
kyuN waqt bar-bad kerti ho


tum se kehna sab bey-qar
kisi ki baat sunti ho??


chand ki chahat kerti ho
tum pagal larki lagti ho

Friday, January 17, 2014

ladkiyan bewafa nahi hoti | larkiyan bewafa nahi hoti | Urdu Sad Shayari


Ladkiyaan Bewafaa nahi hoti...!
Wo to majborioon mein lipti hain...!

Apne shiddat bhare khyalon mein,
Apne ander chhupi ek aurat mein,

Wo hamesha hi darti rehti hain...!
Na to jeeti hain na to marti hain...!

Larkiyaan bewafaa nahi hoti :( Per Hamesha...
hi darti rehti hain...

Apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se,
Zarurat mein khile ghulaboon se...!

Pyaar kerti hain or chhupati hain,
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti....!

Kyuon ki majborioon mein lipti hain...!
aur har lamha darti rehti hain...!

Apne pyaar se apne saye se,
Apney rishton se dil ki dharkan se,
Apni khowahish se apni kushiyon se...
♥♥♥


Tags: Larkiyan, Ladkiyan, bewafa, majboori, darti, pyaar, khushi, shayari, girls poetry, udas shayari, sad poetry, rishta, ladki shayari

Khuda jane kahan hai ‘asghar’-e-divana barason se – Asghar Gondvi



Khuda jane kahan hai ‘asghar’-e-divana barason se
ki us ko dhundhate hain ka’aba-o-butakhana barason se
tadapana hai na jalana hai na jalakar khak hona hai
ye kyon soi hui hai fitrat-e-paravana barason se


koi aisa nahi yarab ki jo is dard ko samajhe
nahi malum kyon khamosh hai divana barason se


hasinon par na rang aaya na phoolon mein bahar aayi
nahi aaya jo lab par nagma-e-mastana barason se


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Asghar Gondvi



Tere Piyar Mein Do Pal Ki Zindagi Bohat Hai - Love Poetry

Tere Piyar Mein Do Pal Ki Zindagi Bohat Hai,
Ik Pal Ki Hansi Ik Pal Ki Khushi Bohat Hai,
Ye Duniya Jane Ya Na Jane
Teri Aankhein Mujhe Pehchanein Yehi Bohat Hai…

Romantic Poetry

By: Jannat Abbasi

Thursday, January 16, 2014

Punjabi SMS Love Shayari



Mera Waqt Mere Ton Khaffa Lagda
Khloh Geya Jo Mere Saahaan Ch Attak Ke
Koi Aisa Ho Geya Gunah Lagda
Kujh Na Samja Na Chitt Nu Chain
Dil Chandra Hun Ehna Socha Di Tapish Ch Magda
Aakhri Ik Aas Hun Ki Sajjna Da Karaar Mill Je
Nahi Raj Da Dil Fer Pathar Hono Bachda



Thandi Hawaein Kya Chali Mere Sheher Main

Thandi Hawaein Kya Chali Mere Sheher Main

Har Taraf Yaadon Ka December Bikhar Gaya...

Thandi Hawaein Kya

yEh EiD TeRe sHeHeR MaI BhI I hOg



yEh EiD TeRe sHeHeR MaI BhI I hOgI


bArE E NaaAz sE TuNe Ye MaNAi hOgI


Wo nArAm NaRaM KaLiO Pe cHoOoRiOn kI KhAnAk


HaSeEn hAThO Pe meHnDi bHi lAgAI HoGI


eId kA ChAnD BhLa dKhNgE Q EhL E NaZaR ??


Sb nE TuM Pe aPnI NaZaR TiKaI HoGi


mErI Hr sANs WaBaStA TeRi yAdO Se hAi


Ye bTh aLaG HaI TmHe meRi yAd nA I HoGi


hUm tO Us rOz e mAnAeNgE EiD ApNi


AyAaN…!!!


KhTm JiS RoZ yE TeRi MeRi
JUDAI HOGI



Wednesday, January 15, 2014

Mujhay Tum Yad Aatay Ho



Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par
Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par
Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par
Tumhari Yad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain
Ham Palkon Ko Jhukatay Hain
Bazahir Muskuratay Hain
Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhay Kitna Satatay Ho
Mujhay Tum Yad Aatay Ho
Mujhay Kitna Rulatay Ho



Sardar ke Car

1 sardar g ki car k peeche likha tha: “SAWAN KO ANEY DO”


Peeche se aik pathan ne truck thok diya.


Truck par likha tha, “AAYA SAWAN JHOOM K”

Khulata nahi hai hal kisi par kahe bagair – Bahadur Shah Zafar



Khulata nahi hai hal kisi par kahe bagair
par dil ke jan lete hain dilbar kahe bagair
main kyunkar kahun tum aao ki dil ke kashish se wo
aayenge daude aap mere ghar kahe bagair
kya tab kya majal hamari ki bosa lain
lab ko tumhare lab se milakar kahe bagair


bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rehta nahi hai aashiq-e-muztar kahe bagair


taqdir ke siva nahi milta kaheen se bhi
dilavata ae “zafar” hai muqaddar kahe bagair


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Bahadur Shah Zafar



Dukhi sms in urdu



Ho Jao Agar Zamane Say Dukhi,
Bikta Hai Gham Dushman K Bazaar Main,


Lakhon Dard Chupay Hotay Hain,
Ek Chotay Say Inkaar Main,


Ho Jao Agar Zamanay Say Dukhi,
To Sawagat Hai ? Wakeel? K Darbaar Main



1 Raat Da Jagan Buhat Ookha


1 Jagda Dukhi Beemar Raati,


Ya Jagda Choor Tya Dhag Raati,


Ya Jagda Pehray Daar Raati,


Ya Jagda Ishk Di Ramz Wala,


YA Jagda Yar Da Yar Raati,


“WARIS MIAAN” Sabhi Soon Janday


Bas Jagda Parwar Degar Raati….




Tanhayi Ka Dukh Gehra Tha
Mein Darya Darya Rota Tha


Ek Hee Leher Na Sambhli Warna
Mein Toofaanon Se Khaila Tha


Tanhaayi Ka Tanha Saaya
Dair Se Mere Saath Laga Tha


Chhor Gaye Jub Saaray Saathi
Tanhaayi Ne Saath Diya Tha


Sookh Gayi Jab Sukh Ki Daali
Tanhaayi Ka Phool Khila Tha


Tanhaayi Mein Yaad-e-Khuda Thi
Tanhaayi Mein Khauf-e-Khuda Tha


Tanhaayi Mohraab-e-Ibaadat
Tanhaayi Manbar Ka Diya Tha


Tanhaayi Mera Paa-e-Shikasta
Tanhaayi Mera Dast-e-Dua Tha


Wo Jannat Mere Dil Mein Chhupi Thi
Jisay Mein Baahir Dhoond Raha Tha


Tanhaayi Mere Dil Ki Jannat……………..
Mein Tanhaa Hun, Mein TanhaTha…!


Share with us more Dukhi sms in urdu .in comments section below.



Tuesday, January 14, 2014

Ab Na Jagen Ge Raaton Ko Teri Yaadon K

Ab Na Jagen Ge Raaton Ko Teri Yaadon K Sahary
Hum Ne Aadat Ko Badalna Hai Teri Nazron Ki Tarha...

Ab Na Jagen Ge

Bewafa Hate Shayari



Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,


Ek aur sher sunata hoon——-


Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????



Monday, January 13, 2014

I Love You When

I love u when u r sad.
I love u when u r happy.
I love u when u r teasing.
I love u when u r laughing.
I love u when u r angry.
I love u when u love love me.

I Wish You Were My Valentine



I Wish You Were My Valentine
Though I May Not Be Yours,
And I May, In My Ignorance,
Be Speaking To Closed Doors.
I Have No Inkling Of Your Heart,
No Hint What You Might Say;
But When I Think Of You The Sun
Will Just Not Go Away.


There Is In You A Loveliness
That Makes My Darkness Shine,
And So I’ll Wait, If Wait I Must,
To Be Your Valentine.



Na thi JISKO

Na thi JISKO mere pyaar ki kadar…


Itefaq se USSI ko chah rahe they hum…


Usi diye ne jalaya mere hathon ko,


Jisko hawa se bacha rahe they hum.

Sunday, January 12, 2014

Ek Junoon Be-Mani, Ek Yaqeen La-Hasil

Ek Junoon Be-Mani, Ek Yaqeen La-Hasil

Kya Mila Humein Mohsin Uski Arzoo Kar K...

Ek Junoon Be-Mani

Saturday, January 11, 2014

Jharoo Pocha Kar Lo

Kiyon Udaas Bethi Ho Kisi Shaam Ki Tarah.
Jharoo Pocha Kar Lo
Mat Betho Had Haram Ki Tarah
Dedicated To All Nikammi And Kaam Chor
“Girls”

New Elemnt Added

A New elemnt Added 2 the Periodic Table..


Name : GIRL


Symbol : Gl


Atomic Weight : Don’t Even Dare 2 Ask!


Physical Proprties :


Boils at Anytime,


Can Freeze at Anytime,


Melts if Handled with Love & Care,


Very Bitter if Misshndled.!


Chemical Proprties;


Very Reactive,


Highly Unstable,


Posses Strong Affinity 4 Gold, Platinm, Clothes & Othr Precious Items,


Money Reducing Agent,


Volatile when left Alone.


Occurance:


Mostly found in front of mirror


😀

Last Friday of Ramadan

May This Last Friday of Ramadan Bring You All Peace And Prosperity.
And May All of your prayers and virtues accepted by Allah ..
Allah Bless all of us
Remember me in your Juma Prayer Ameen

Friday, January 10, 2014

Na Jaane Khoobsorat Zindagi Ko Kis Ki Nazar Lag Gai - Two Line Poetry

Na Jaane Khoobsorat Zindagi Ko Kis Ki Nazar Lag Gai.
Jo Loog Baat Karne Ko Taraste The, Wo Aaj Yaad Bhi Nahi Karte…

Yaad Nahi Karte

Mixed Emotion

What is the height of Mixed Emotion?


Your Mother-In-Law Falls from 7th Floor on your brand new Mercedes and you don’t know whether to laugh or cry.

Ghar hamara, jo na rote bhi, to viran hota



ghar hamara, jo na rote bhi, to viran hota
bahr gar bahr na hotato bayaban hota
tangi-e-dil ka gila kya, ye wo kafir dil hai
ke agar tang na hota, to pareshan hota
bad-e-yak umr-e-wara, bar to deta bare
kash rizawan hi dar-e-yar ka daraban hota


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghalib



Aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahi mila – Mustafa Zaidi



aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahi mila
dil jis se mil gaya wo dubara nahi mila


aavaz ko to kon samajhata ki dur dur
khamoshiyon ka dard-shanasa nahi mila


hum anjuman mein sab ke taraf dekhte rahe
apani tarah se koi akela nahi mila
kachche ghade ne jit li nadi chadhi hui
mazabut kashtiyon ko kinara nahi mila
 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mustafa Zaidi



Thursday, January 9, 2014

Us Waqt Intezaar Ka Aaalam Na Poochiye

Us Waqt Intezaar Ka Aaalam Na Poochiye

Jab Keh Raha Ho Koi K Bas Aa Raha Hun Me...

Us Waqt Intezaar

Wednesday, January 8, 2014

A special world for you and me



A special world for you and me
A special bond one cannot see
It wraps us up in its cocoon
And holds us fiercely in its womb.


Its fingers spread like fine spun gold
Gently nestling us to the fold
Like silken thread it holds us fast
Bonds like this are meant to last.


And though at times a thread may break
A new one forms in its wake
To bind us closer and keep us strong
In a special world, where we belong



Tuesday, January 7, 2014

Dua De Kar Sharam Sar Na Kar



Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar
Aansoo Bhi Toone Diye Chahe To Iqraar Na Kar


Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhero Me Rahu
Roshni Jhoonth Ki Dekar Mujhe Bezaar Na Kar


Ujry Ujry Se Manzar Ko Kaha Tak Dekhu
Neend Aankho Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar


Kaun Baitha Hai Meri Raah Take Yaad Kare
Jaake Ab Kiss Se Kahu Mera Intezaar Na Kar


Saans Ka Boojh Uthaaoo Ya Usse Samjhaaoo
Zinda Rehne Ki Dua De Kar Sharam Sar Na Kar…..



Wo Ja Chuka Hai - Parveen Shakir Poetry

Parveen-Shakir-Alwida

Parveen Shakir Alvidiya

Wo Ja Chuka Hai,
Magar Judai Se Qabal Ka
Ik Narm Lamha
Thehar Gaya Hai
Meri Hatheli Ki Pusht Par
Zindagi Mein
Pehli Ka Chand Ban Kar..!

Monday, January 6, 2014

Dil valo kya dekh rahe ho in rahon mein – Razi Tirmazi



Dil valo kya dekh rahe ho in rahon mein
hadd-e-nazar tak ye virani sath chalegi
sannate phir shaman ke aansu chat rahe hain
ye basti to ujad gai hai ab na basegi
ghar ke andar sare jangal ka sannata
sham hui to jangal mein hawa chalegi
jin ke hathon dil ke tauhin hui hai
un ke liye bhi ye duniya aisi na rahegi
“razi” miyan tum sham se kaise chup baithe ho
kuch to bolo aisi chup se baat badhegi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Razi Tirmazi



Ma lag Zan Ta Ranizdy Kra



Ma Lag Zan Ta Ranizdy Kra
Tol Ghamona Rana Her Kra


Bas Sta Noom De Rata Yad V
Nor Nomona Rana Hèr Kra


Pa Khpal Ishq Ke Me Majnun Kra
Nor Ishquna Rana Hèr Kra



Ma D Gul Pa Jaba Poh Kra
Nafratona Rana Her Kra


Pa Tandi Bande Me Kh’kul Kra
Azabona Rana Hèr Kra.


Ma IMDAD Sara Pukhla Sha,
Nor Sochona Rana Her Kra.



Us Ne To Thukra Diya - Urdu Sad Poetry

Urdu Poetry

Us ne to Thukra diya Haal-e-Ghareebi Dekh kar, 'Dost'
Hum Aj Bhi Anmool hain Mohabbat ke Bazaar mein.....!

Sunday, January 5, 2014

Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Mein Raheinge ‘Mohsin’

Bohat-dard-Shayari

Ab Ye Socha Hai

Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Mein Raheinge ‘Mohsin’
Bohat Dekh Liya Logon Se Shanasai Kar Keh… :(.

Dard apanata hai parae kon – Javed Akhtar



Dard apanata hai parae kon
kon sunata hai aur sunae kon
kon doharae wo purani bat
gham abhi soya hai jagae kon
wo jo apne hain kya wo apne hain
kon dukh jhele aazamae kon
ab sukun hai to bhulane mein hai
lekin us shakhs ko bhulae kon
aj phir dil hai kuch udas udas
dekhiye aj yaad aae kon




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhtar



Zindagi Jis Ko Tera Pyaar Mila Wo Jane

Zindagi Jis Ko Tera Pyaar Mila Wo Jane

Hum To Nakaam Rahe Chahne Walon Ki Tarha...

Zindagi Jis Ko

Majal-e-Tark-e-Muhabbat Na Aik Bar Hui

Majal-e-Tark-e-Muhabbat Na Aik Bar Hui

Khayal-e-Tark-e-Muhabbat To Bar Bar Aya...

Majal-e-Tark-e-Muhabbat

Saturday, January 4, 2014

Aik Muddat K Baad Hum Ne Ye Jana

Aik Muddat K Baad Hum Ne Ye Jana Aye KHUDA

Ek Teri Zaat Se Ishq Sacha, Baki Sab Afsaane Hain...

Aik Muddat K

Na rasta na koi dagar hai yahan – Makhmoor Saeedi



Na rasta na koi dagar hai yahan
magar sab ke qismat safar hai yahan
sunai na degi dilon ke sada
dimagon mein wo shor-o-shar hai yahan
hawaon ke ungali pakad kar chalo
vasila ik yahi motabar hai yahan
na is shahar-e-behis ko sehra kaho
suno ik hamara bhi ghar hai yahan
palak bhi jhapakate ho “makhmoor” q
tamasha bahut mukhtasar hai yahan


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Makhmoor Saeedi



Hussain Teray Lahoo Ki Khusbo

Hussain Teray Lahoo Ki Khusbo
Falak K Daaman Say Arhi Hay

Gajara bana ki le aa malaniya



gajara bana ki le aa malaniya
wo aaye hain ghar mein hamare
der na ab tu laga
sara chaman ho jinaka divana
aisi kaliyan chun ki la
lali ho jin mein un ki labon ki
un ko piro ki le aa
jo bhi dekhe un ki surat
jhuki jhuki ankhiyon se pyar kare
chanda jaisa rup hai un ka
aankhon mein ras hai bhara


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Afshan Rana



Zabt Kehta Hai K Khamoshi Me Basar Ho

Zabt Kehta Hai K Khamoshi Me Basar Ho Jaye

Dard Ki Zid Hai K Duniya Ko Khabar Ho Jaye...

Zabt Kehta Hai

Friday, January 3, 2014

Parshuram Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Parshuram Jayanti  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Parshuram Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Parshuram Jayanti sms greeting.


Both Patel and Kodnani are accused in the Naroda Patia and Naroda village VHP leader and now BJP MLA Jayanti Bhanushali had called up CMO six times,


Dr. Babasaheb Ambedkar Marathwada University, Aurangabad. PET‐2015 Candidate List KAJAL JAYANTI BHANUSHALI. 9960905662. 1559. 8853. SANTOSH RAMAKANT BHARAD


Happy Parshuram Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team



Who Gave You That Black Eye

Santa: Who gave you that black eye?
Pappu: Nobody – I had to fight for it!

Aankhoon ko Soojhta he Nai

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi

Shabeer Se Seekhy Koi Islam Bachana

Shabeer Se Seekhy Koi Islam Bachana

Ata Hai Jise Nezay Pe Quran Sunana...

Shabeer Se Seekhy

Zakhm Tha Zakham Ka Nishan Bhi Tha



Zakhm Tha Zakham Ka Nishan Bhi Tha
Dard Ka Apna Ik Makan Bhi Tha


Dost Tha Mehrban Bhi Tha
Le Raha Mera Imtihan Bhi Tha


Sheyron Men Gazab Ufan Bhi Tha
Karz Men Doobta Kisan Bhi Tha


Koyi Kaam Aayaa Kb Museebat Men
Kahne Ko Apna Khandan Bhi Tha


Mr Ke Dozakh Mila To Samjhe Hum
Vakyi Doosaraa Zahan Bhi Tha


Umr Bhr Saath Nibhana Tha Jinhen
Fasalaa Unke Drmiyan Bhi Tha


Aas Thi Jeene Ki Abhi Baaki
Rastemen Magar Masaan Bhi Tha


Khudkushi `Shyam’ Kr Li Kyon Toone
Teri Kismat Men Aasmaan Bhi Tha..!!!



Thursday, January 2, 2014

Im Actually Not A Big Fan

Im actually not a big fan of the word hope.
I think its a depressing word.
I dont want to hope – I want to know.
Like I dont hope theres a God, I know theres a God.

Aankhon Me Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun




Aankhon Me Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun


Uljhay Hoay Palon Say Girah Khol Rahi Hun,



Woh Aay Khareeday Mujhay Pinjray Me Bitha Day


Main Bhaag Me Kisi Mayna Ki Tarah Bol Rahi Hun,



Hur Baar Huaa Hay Meray Nuqsaan Ka Sauda


Kehnay Ko Hamesha Say Main Anmol Rahi Hun…!!!




Jab Tak Na Lage Bewafai Ki Thokar

Jab Tak Na Lage Bewafai Ki Thokar,
Her Ek Ko Apni Muhabbat Pr Naaz Hota Hai...

Jab Tak Na Lage Bewafai

Haseen Hone Ka Dawa

Hum Haseen hoone ka dawa to nhi krte magar


Jise ankh bhar kr dekh lein


uljhan me dal Dete hain

Lagta Hai Jese Tang Hain Log

Lagta Hai Jese Tang Hain Log Mere Wajood Se

Aye Zindagi Tujh Ko Bhi Ijaazat Hai Chor Ja...

Lagta Hai Jese

Wednesday, January 1, 2014

Koi Aur Hi Kaam Somp Do

Koi aur hi kaam somp do mujhe ab tum,
Yeh kya tujhe sochna aur sochtey hi rehna..

Baraf Ka Tukra Leak

Sardar Ek Baraf Ka Tukra Utha Ker Usey Ghour Se Dekh Raha Tha…
Admi:- Kya Dekh Rahe Ho???
Sardar:- Dekh Raha Hoon Key Yeh Leak Kahan Se Ker Raha Hai

Musafir K Sath Tu Ny Kia Kia



Iss Rah-E-Ulfat K Musafir K Sath Tu Ny Kia Kia
Kabi Apna Lia Kabi Tukhra Dia


Meri Muhabat Patoon Ka Mahal Tu Nahi
Kabi Bana Lia Kabi Gira Dia


Main Teri Kitab-E-Zindgi Ka Woh Haraf Tu Nai Hn Jisay
Kabi Likh Lia Kabi Mita Lia


Mera Sath Tery Leya Bah-Es-Ruswaii Tu Nahi Jisay
Kabi Dunya Ko Bitla Lia Kabi Chupa Lia


Aj Kal Logoon Ka Yeahi Mashgala Hai Shan
Kabi Humain Soch Lia Kabi Bhula Lia



Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen

Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen
Saraab Yaadon K Haath Thaamay

Kabhi Jo Tum Se Hisaab Mangen
Maayusiyon K Nisaab Mangen

Be-Noor Aankhon Se Khawab Mangen
To Jaan Lena K Khawab Saray

Meri Hadon Se Nikal Chukay Hain
Tumhari Chokhat Pe Aa Rukay Hain

Musaafton Se Thakay Hue Hain
Ghubar-E-Raah Se Hatte Hue Hain

Kuch Is Tarha Se Dare Hue Hain
Sawaali Nazron Se Tak Rahe Hain

Tumhari Chokhat Pe Jane Kab Se
Jabeen Jhukaye Hue Khare Hain...

Khizaan K Mausam Ki

Toot jaty hain

Toot jaty hain bikhar jaty hain, Kaanch k ghar mei Muqaddar  APNE


Ajnabi to sada Piyaar se miltey hain, Bhool jaty hain to aksar  APNE

Trust is a greater compliment

Trust is the eaziest thing in World to lose…
&
Amplitude is the hardest thing to get back…!


To be trusted is a greater
compliment than to be loved…!!