Friday, January 31, 2014

Ilahi kash gam-e-ishq kam kar jaye – Shamim Jaipuri



Ilahi kash gam-e-ishq kam kar jaye
jo kal guzarani hai mujh pe abhi guzar jaye
tamam umr rahe hum to khair kanton mein
khuda kare tera daman gulon se bhar jaye
zamana ahal-e-khirad se to ho chuka mayus
ajab nahi koi divanakam kar jaye
hamara hashr jo kuch hua, hua lekin
dua ye hai ki teri aaqabat sanvar jaye
nigah-e-shauq wohi hai nigah-e-shauq “shamim”
jo ek bar rukh-e-yar par thahar jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



No comments:

Post a Comment