Tuesday, December 31, 2013

Tum Aitbaar Karo!



Tum Aitbaar Karo!
Maine Tumhara Haat Tham Ker Tumhe
Umar Bhar Chahne Ki Kasam Khai Hai


Tum Mere In Honton Ka Aitbaar Karo!
Jis Per Har Waqt Tumhara Hi Naam Rehta Hai


Tum Meri In Aankhon Ka Aitbaar Karo!
Jo Har Pal Tumhe Dekhne K Liye Bechain Rehti Hain


Tum Meri Sansoon Ka Aitbaar Karo!
Jis Main Sirf Tumhari Khushboo Mehkti Hai


Tum Mere Is Dil Ka Aitbaar Karo!
Jo Tumhare Bagair Kahin Bhi Nahin Lagta


Tum Meri Is Dharkan Ka Aitbaar Karo!
Jo Sirf Tumhare Naam Per Hi Dharkta Hai


Tum Mera Aitbaar Karo!
Jo Sirf Tum Ko Apni Zindgi Maanti Or Jaanti Hai



Monday, December 30, 2013

Blessings of Allah on this Eid

May the blessings of Allah fill your life with happiness and


open all the doors of success now and always. Eid Mubarak

Kuch log hai ujray dill walay




Koch Khawab hai jinko likhna hay


Tabeer ke surat deni hay


Kuch log hai ujray dill walay


jinhien apne muhabbat deni hay


Kuch phool hain jinko chunana hay


Aur haar ki surat deni hay


Kuch apni neendien baki hay


jinhien bantna hay kuch logoon main


unko bhi to rahat deni hay


Aye umer-e-Rawan


Ahista chal


Abhi khasa qarz chukana hay




Waqt-e-Dua Mai Ek Dua Karon



Waqt-e-Dua Mai Ek Dua Karon
Mai Rab-E-Kainat Se Ek Eltija Kron


Tu Khush Rahe ,Tu Shaad Rahe
Tere Dil Ka Aangan Abaad Rahe


Tu Hr Pal Yunhi Hansa Karay
Tu Pholon Ki Manind Khila Kray


Teri Zindgi Mai Koi Gham Na Ho
Teri Ankh Kabhi Num Na Ho


Tujhe Kisi Se Koi Gila Na Ho
Koi Dukh Tujhe Mila Na Ho


Teri Rad Kbhi Dua Na Ho
Tere Lab Pe Koi Sada Na Ho


Tujhe Bin Mangay Wo Ataa Kray
Teri Maaf Har Ek Khata Kray


(Aameen)



Sunday, December 29, 2013

Un ke berukhi mein bhi iltefat shamil hai -Ameer Kazalbash



un ke berukhi mein bhi iltefat shamil hai
aj kal meri halat dekhane ke qabil hai


qatl ho to mera sa maut ho to meri si
mere sogvaron mein aj mera qatil hai


muztarib hain maujen q uth rahe hain tufan q
kya kisi safine ko aarazu-e-sahil hai


sirf rahzan hi se q “ameer” shikva ho
manzilon ke rahon mein rahbar bhi shamil hai


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Ameer Kazalbash



Saturday, December 28, 2013

Hum Na Dekhi Hai In Aankhon Ke Mehkti Khusbo



Haal-E-Dil


Hum Na Dekhi Hai In Aankhon Ke Mehkti Khusbo
Hath Se Choi Kr Isay Rishton Ka Ilzam Na Do


:
Sirf Ihsaas Ha Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do


:
Pyar Koi Bol Nahi, Pyar Awaz Nahi
Ek Khusbu Hai Ki Sansoon Main Rachi Rehti Hai


:
Na Ye Rukti Hai Na Jalti Hai Na Thehrti Hai Khain
Noor Ki Bond Hai Sadiyon Se Baha Karti Hai


:
Sirf Ihsaas Hai Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do ?



Ao Mil Kar Karen Dua Dono

Ao Mil Kar Karen Dua Dono

Ab K Ye Saal Tera Mera Ho...

Ao Mil Kar

Kya Khoob Aziyat Deta Hai

Kya Khoob Aziyat Deta Hai
Khawabon Ka Khawab Hi Reh Jana...

Blogger: Waqas Ali

Friday, December 27, 2013

Kisi Roz Tum Ko Bhe Meri Bohot Yaad Aai Gee

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,


tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,


tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.


meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,


mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,


or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,


or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,


or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,


kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Mizaj-e-Yar Se Joon Joon Shanaasa Hota Jata

Mizaj-e-Yar Se Joon Joon Shanaasa Hota Jata Hun
Me Tanha, Aur Tanha, Aur Tanha Hota Jata Hun...

Mizaj-e-Yar Se Joon

Thursday, December 26, 2013

Mohabbat ke duniya main mashoor kar doon



Sad-Love-Wallpapers-Free


Mohabbat ke duniya main mashoor kar doon


Mere sada dill tujh ko maghroor kar doon,



Tary dill ko milney ke khud aarzuu ho


Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,



Mujhe zindagi door rakhti hai tujh s


Jo tu paas ho to usey door kar doon,



Mohabbat ke iqraar s sharam kab tak


Kabhi saamna ho to majboor kar doon,



Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen


Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,



Tu agar samney ho to mein be’khudi mein


Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,



Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar


Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon.



Wednesday, December 25, 2013

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad

"Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad"


Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 
Naam tera likh diya baarish ke baad....!

3 Dost Thay

3 Dost thay,
Kallu,Billu,Ullo,
Kalu:-B.S.C
Me parh raha hai.
Billu:-M.A me parh
raha hai.
Or hamara
Ullo:-SMS Parh
raha hai.

Go Dukhi Dil Ko Bohat Bachaya Hum Ne

Go Dukhi Dil Ko Bohat Bachaya Hum Ne

Jis Jagah Zakhm Ho Wahan Chot Sada Lagti Hai...

Go Dukhi Dil Ko

Tuesday, December 24, 2013

Sirf Aik Baar Apne Honton Se Mujhe Apna Keh Do

Sirf Aik Baar Apne Honton Se Mujhe Apna Keh Do,
Phir Mehfil Mein Raqeebon Ka Tamasha Dekho….

Mohabbat Shayari

Wo Mere Dil K Zakhm Seeny Bhi Nahi Deta

Wo Mere Dil K Zakhm Seeny Bhi Nahi Deta

Mad-hosh Bhi Rakhta Hai Peeny Bhi Nahi Deta

Kya Meri Wafaaon Ki Itni Kadi Saza Hai

Marne Se Rokta Hai Aur Jeene Bhi Nahi Deta...

Wo Mere Dil K

Anaa ki Mooj Masti Mein - Sad Urdu Poetry

Badshah Poetry

Urdu Poetry - Sad Poetry

Anaa ki Mooj Masti Mein Abhi Bhi Baadshah Hain Hum...! 
Jo Hum ko toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Daite Hain....!
Anaa = Ego; Mooj Masti = Fun; Baadshah = King

Shayari - Poetry

انا کی موج مستی میں ابھی بھی بادشاہ ہیں ہم
جو ہم کو توڑ دیتا ہے، ہم اس کو چھوڑ دیتے ہیں

Monday, December 23, 2013

Kasmir Ki Vo Baat Karte



Ki Ab To Desh Mera Praya Sa Lagta Hai
Thi Bazuon Me Jiski Takkat
Vo Ab Murjhaya Sa Lagta Hai


Hosle Hum Me Bhi Hai
Hosle Tum Me Bhi Hai


To Kyu Pak Ka Is Zamin Pe Saya Ab Tak Milta Hai
Mila Lo Ab To Dost Hathon Se Hath
Ki Ab To Apna Hi Khoon Dil Jalata Hai
Poochti Hai Vatan Ki Mitti Tanhaion Me
Ki Kyu Tujhe Zamin Par Khof Ka Saya Lagta Hai
Ya To Tu Nahi Kabil Kisi Mitti K
Ya Tu Apni Hi Maut Ka Marra Lagta Hai



Kasmir Ki Vo Baat Karte Hai
Jo Taz Humara Hai
Ki Khoon Ki Holi Khelo Chahe Ya Bano Gandhi K Bandar
Hume To Apna Vatan Sambhalna Hai
Tum Ho Ya Na Ho To Bhi Kya
Mitti Se Paida Hue
Hume Mitti Me Mil Janna Hai.



Sunday, December 22, 2013

Hum Kya Se Kya Ho Gaye




Sare Sapne Kahi Kho Gaye


Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye



Dil Se Tanhai Ka Dard Jeeta


Kya Kahe Hum Pe Kya Kya Na Bita


Tum Na Aaye Magar Jo Gaye


Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye



Tum Ne Hum Se Kahi Thi Jo Bate


Unko Dohrati He Gum Ki Rate



Tumna Aaye Magar Jo Gaye


Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye



Koi Shikva Na Koi Gila Hai


Tumse Kab Hum Ko Ye Gum Mila Hai



Ha Nasib Apne Hi So Gaye


Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye




Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon



Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
BussJab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!



Mauj-e-gul, mauj-e-saba, mauj-e-sahar lagti hai – Jan Nissar Akhtar



mauj-e-gul, mauj-e-saba, mauj-e-sahar lagti hai
sar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti hai
hum ne har gham sajdon e jalaye hain chirag
ab teri rahaguzar rahaguzar lagti hai
lamhe lamhe basi hai teri yadon ke mahak
aj ke raat to khushbu ka safar lagti hai
jal gaya apna nasheman to koi baat nahi
dekhana ye hai ki ab aag kidhar lagti hai
sari duniya mein garibon ka lahu bahata hai
har zamin mujhko mere khoon se tar lagti hai
vaqya shahar mein kal to koi aisa na hua
ye to “akhtar” ke daftar ke khabar lagti hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhtar



Saturday, December 21, 2013

Pehle Socha Tha Keh Ik Safha Ho Kahani Bayan

sad-boy

Pehle Soocha Tha Keh

Pehle Socha Tha Keh Ik Safha Ho Kahani Bayan Karne Ko ‘Any’
Phir Khayal Aaya Ke Uska Naam Hi Kafi Hai Is Daastan Ke Liye…

Chaak Daamaniyan Nahi Jateen

Chaak Daamaniyan Nahi Jateen
Dil Ki Nadaaniyan Nahi Jateen

Baam-o-Dar Jal Uthe Charaaghon Se
Ghar Ki Weraaniyan Nahi Jateen...

Chaak Daamaniyan Nahi

You And I Are Not The Same




You And I Are Not The Same,


Nor Will We Ever Be.



But We Have A Common Thread,


That Attaches You To Me.



A Golden Thread That’s Spun So Fine,


With So Much Love And Care,



A Thread Of Gold, For Us To Hold,


That Only Best Friends Can Share.



A Common Bond Within Our Hearts,


Love That’s Rare, A Special Find.



An Ability To Feel And See,


Within The Heart So Blind.



So Know My Friend I’ll Be With You,


And You Shall Be With Me.



A Lasting Friendship, Full Of Joy,


For All Eternity.




Friday, December 20, 2013

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho



Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho


To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain


Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere


Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge



Chupa Liya Hai Anchal Mein



Chupa Liya Hai Anchal Mein Jis Chand Ko Usey Be Nakab To Hone Do
Bayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone Do


Kya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ke Niyat Dol Gayi Meri
Dekh Lun Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai Meri


Teri Ankho Se Mai Ke Do Paimane Pi To Lu
Tere Labon Ke Dahekate Angaro Ki Kasam



Parwana Ban Ke Inhe Do Ghadi Chum To Lun
Maut Ki Parvah Hai Kise Zindagi Ko Ji Bher Ke Dekh Toh Lun


Reshami Zulfo Se Ghana Andhera Chahe Kar Do
Lekin Us Chand Ko Bhi Ghata Se Nikalane Ka Mauka To Do


Kondhe Chahe Jitani Bijaliyan Nazar Toh Milale
Maut Ka Darr Kya Ho Usey Do Ghadi Jo Tujhe Dekh Le


Husn Nahi Chhupata Chahe Jitane Parde Laga Le
Ishq Hun Main Pa Lunga Tujhe Chahe Jitane Pahere Laga Le



Dil-e-khungashta-e-jafa pe kaheen – Majaz Lucknawi



Dil-e-khungashta-e-jafa pe kaheen
ab karam bhi giran na ho jaye
tere bimar ka khuda hafiz
nazr-e-charagaran na ho jaye
ishq kya kya n aafaten dhaye
husn gar maharban na ho jaye
mein ke aage gamon ka koh-e-giran
ek pal mein dhuan na ho jaye
phir ‘majaz’ in dinon ye khatara hai
dil halak-e-butan na ho jaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi



Raat Dehleez Par Bethi Rahin Aakhen - Aankhen Shayari

Dard-Aankhen-Shayari

2 Line Aankhen Poetry

Raat Dehleez Par Bethi Rahin Aakhen Meri,
Tu Na Aaya To Koi Khwab Hi Bheja Hota…!

Khatam Hue Ab Wo Ishq K Baab Sare



Khatam Hue Ab Wo Ishq K Baab Sare
Tere Intizar K Wo Azaab Sare
Sadiyon Se Jo Bojh Utha Rkha Tha Pani Ka
Aj Baha Diye Me Ne Wo Ankhon K Sailab Sare
Krne The Me Ne Boht Se Swal Us Se Mgr
Uski Khamoshi Ne De Diye He Jawab Sare
Krta Rha Me Muddato Se Ibadat Uski
Pr Aj Me Ne B Bhula Diye He Wo Adaab Sare
Boht Bheje The Salam Use Paigham Use Mgr
Wo Tb Aya Jb Bujh Gae Zndgi K Aftab Sare…!!!



Hijr ke shab hai aur ujala hai – Qateel Shifai



hijr ke shab hai aur ujala hai
kya tasavvur bhi lutane vala hai
gham to hai ain zindagi lekin
gamgusaron ne mar dala hai
ishq majabur-o-namurad sahi
phir bhi zalim ka bolbala hai
dekh kar barq ke pareshani
aashiyan khud hi phunk dala hai
kitne ashkon ko kitni aahon ko
ik tabassum mein us ne dhala hai
teri baton ko main ne ae waiz
ahatarama hansi mein tala hai
maut aaye to din phire shayad
zindagi ne to mar dala hai
sher nazmen shaguftagi masti
gham ka jo rup hai nirala hai
lagzishen muskurai hain kya kya
hosh ne jab mujhe sambhala hai
dam andhere mein ghut raha hai khumar
aur charon taraf ujala hai


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Thursday, December 19, 2013

karbala poetry



Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Sar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-Yazeed
Haqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain 



Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Ba?d





Jo Zulm Peh La?nat Na Kare, Aap La?een Hai
Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai


Share with us more karbala poetry in comments section below.



Wednesday, December 18, 2013

English Poems for Mothers Day



I see you working hard for me
And wonder what it means:
Whether I will do the same
And give up my own dreams
To offer someone else my world,
A stranger from my womb,
And say: Here, take my life,
So you, not I, can bloom.


I often wonder at the depth
Of that cool sacrifice;
I know it can’t be “just because,”
Or simply to be nice.


It is so awesome, I can’t think
How I could make that choice,
Except I see something in you
That gives my own heart voice.


I see sometimes a happiness
Amid the stressed-out day
That no one else can hope to know
In any other way.


I feel it when you look at me
And understand sometimes
That things I do, I do for two,
And then your hard life shines.


And when I give you grief, I know
That all the bitter pain
Between a mom and growing child
Is simply like the rain


That alternates with sunny days,
Passion without end,
While underneath is more of life
Than we can comprehend.


And then I know, perhaps, why I
Like you might be so moved
To give my life to someone else,
And know that I have loved.



Eid Shayari – Eid Ka Din

is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain


tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain


ham bhi majaburiyon ka uzr karain
aur kahin aur mubtala ho jayain


ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain


ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain


bandagi ham ne cho.d di hai ‘Faraz’
kya karain log jab khuda ho jayain

Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha



Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
Mari Soch Ka Hi Kamal Tha


Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha


Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tah


Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha


Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha



Tuesday, December 17, 2013

Dhoondti Phirti Hai Dasht-o-Bayaan

Dhoondti Phirti Hai Dasht-o-Bayaan Me Humein
Zindagi Hum Se Bichar K Pachta Rahi Hai Bohat...

Dhoondti Phirti Hai

Diyaar-e-Yaad Ka Mausam Bara Martoob Rehta Hai

Diyaar-e-Yaad Ka Mausam Bara Martoob Rehta Hai,
Sabhi Masroof Rehte Hain, Mohabbat Kon Karta Hai....

By: Awais

Hoti hai tere naam se vahshat kabhi kabhi – Nasir Kazmi



hoti hai tere naam se vahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi
ae dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
tere karam se ae alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ke khilvat kabhi kabhi
dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
josh-e-junun mein dard ke tugayaniyon ke sath
ashkon mein dhal gai teri surat kabhi kabhi
tere qarib rah ke bhi dil mutamain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi
kuch apana hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
ae dost hum ne tark-e-muhabbat ke bavajud
mahasus ke hai teri zarurat kabhi kabhi



 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Kal Halki Halki Barish Thi



Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha


Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha


Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay


Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay


Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin


Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay



Semifinal Khelna Hai

Koi hmmara haal bi poch lay…


FARAZ,


.


.


hm nay bi samifinal khelna hy Simosey nai baichnay…;-)

Monday, December 16, 2013

Aisa Kyun Hota Hai



Har Pal Mera Dil Tumhi Ko Yaad Kyu Karta Hai,
Jab Tum Dur Jate Dil Kyu Rota Hai,
Jab Tum Paas Hote Ho Ek Khaas Ehsaas Kyu Hota Hai,
Jab Tum Muskurate Ho Dil Kyu Khush Hojata Hai,
Aisa Kyun Hota Hai.


Tumhara Dukh Dekhkar Dil Kyu Dukhsa Jata Hai,
Jab Tum Naraaz Rehte Ho Sara Jaha Naraaz Kyu Lagta Hai,
Jab Tum Kuch Kehte Ho Dil Kyu Use Maan Leta Hai,
Tumhari Khomoshi B Dil Kyu Samajh Leta Hai ,
Aisa Kyun Hota Hai.


Tumhari Aawaz Sunkar Dil Kyu Betaab Ho Jata Hai,
Jab Tum Mera Naam Lete Ho Dil Kyu Dhaksa Jata Hai,
Jab Tum Samne Aate Ho Dil Kyu Sharma Jata Hai,
Jab Tum Mujhe Dekhte Ho Dil Kyu Tumhara Hojata Hai.
Aisa Kyun Hota Hai.


By Rash



Sunday, December 15, 2013

Dil e Nadan Ko

Ek Ajnabi Se Baat Kya Hui Ki Qayamat Ho Gayi,


Sare Shaher Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi…!!


Kyun Naa Dosh Du Dil-e-Nadan Ko,


Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi…!!

Passion Is Very Important To Me

Passion is very important to me.
If you stop enjoying things,
youve got to look at it,
because it can lead to all kinds of depressing scenarios.

Zindagi kis nay Barbaad ki

Us nay poucha Zindagi kis nay Barbaad ki,


Main nay ungli uthai Aur


Apnay he Dilki taraf kardi.

Engineers Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Engineers Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Engineers Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Engineers Day sms greeting.


Engineering is the art of organizing and directing men and
controlling the forces and materials of nature for the benefit of the human race.
Happy Engineers Day


Engineers participate in the activities which make the resources of nature
available in a form beneficial to man and provide systems which
will perform optimally and economically.


Engineering is an activity other than purely manual and
physical work which brings about the utilization of
the materials and laws of nature for the good of humanity.


Engineering Ek Funn hai is dunya k zakhair or madanyaat
ko insaano k lye istemaal k kaabil bane ka
*Geo india k Engineers*


Happy Engineers Day  Mubarak to all of you from shayari Online Team



Saturday, December 14, 2013

Shair o Shayari of Mothers Day



Here are all your children in one place,
Enshrined behind some glass within a frame.
A picture’s like a word, a sign, a name,
Symbolic of a much more complex grace.
Years of memories lie behind each face,
A wild sea no blessing can contain;
Years and years of love, of joy, of pain,
Of mysteries no heart can hope to trace.
Here are all the objects of your love,
A frozen section cut away from Time,
A summit between dreams and memories,
Which you need only look this way to climb;
An icon for domestic reveries
Through which a thousand answered prayers move.



Samajh Nahi Aati Wafa Karain To Kis Se - Wasi Shah Poetry

Wasi Shah Sad Poetry

Urdu Shayari - Wasi Shah Poetry

Samajh Nahi Aati Wafa Karain To Kis Se Karain ‘Wasi’
Mitti Se Bane Ye Loog Kagaz Ke Tukron Pe Bik Jaty Hain…

Happy Mother’s Day means



“Happy Mother’s Day” means more
Than have a happy day.
Within those words lie lots of things
We never get to say.
It means I love you first of all,
Then thanks for all you do.
It means you mean a lot to me,
And that I honor you.


But most of all, I guess it means
That I am thinking of
Your happiness on this, your day,
With pleasure and with love.



Yaad Ate Ho

Uffhoo kyun itna yad ho tum…


Mujhe yaad ane k ilwa koi kam nhi tmahre pass..!!

na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya – Faiz Ahmed Faiz



na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya
jo bache hain sang samet lo, tan-e-dag daag luta diya
mere charagar ko naved ho, saf-e-dushmanan ko khabar karo
wo jo qarz rakhte the jan par, wo hisab aj chuka diya
karo kaj jabin pe sar-e-kafan, mere qatilon ko guman na ho
ki gurur-e-ishq ka bankapan, pas-e-marg hum ne bhula diya
udhar ek harf ki kushtani, yahan lakh uzr tha guftani
jo kaha to sun ke uda diya, jo likha to pad ke mita diya
jo ruke to koh-e-garan the ham, jo chale to jan se guzar gaye
rah-e-yar hum ne qadam qadam, tujhe yadagar bana diya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Friendship Poems in English



She looks like she stole the stars right from the skies-
And sewed them into the pupils of her gorgeous eyes,
She blinks with insecurity but with amazement too,
This pretty little girl just doesn’t have even a clue.


Her pretty little voice flutters the inside of my heart,
It makes me want to shield her from everything,
And beat anyone up who comes across her path,
So anyone reading this, beware of dog, is the sign.


She lifts up the souls to everyone she talks too,
Because she has the magical power, that I want,
But I can’t have because she is a one of a kind,
With a special heart that no one else can ever have.


She lives in a very evil town in the state of Nebraska,
Where the people just don’t give a hoot about anything,
They just stop and stare, but they don’t go anywhere,
Followers is what I’d like to call them, who knows.


She lives in an evil little house, where snakey lives,
She too, doesn’t give a smudge about life itself,
Thank god she had a daughter, because I’d fail;
I’d fail majorly in life without this special person.


Ever since I’ve known her, she has always amazed me,
She keeps my imagination running and rolling along,
She makes sure my chin is up and looking forward,
Strong as steel even though we have our moments.


If I lived there with her, no one would ever hurt her,
Because I’d stomp on the faces who dared to even try,
And bet me on anything, because that is no lie,
She is like my daughter, and I love her so dang much.


I’d give her my last bite of food, and last drink to drink,
I’d give her my shoes if she didn’t have any to wear,
I’d give her my pen, if she came to school unprepared,
And most of all, I’d give her my last breath.



Friday, December 13, 2013

Lab E Khamosh Se Izhar E Tamanna Chahe



Lab E Khamosh Se Izhar E Tamanna Chahe
Bat Karane Ko Bhi Taswir Ka Lahaja Chahe


Tu Chale Sath To Ahat Bhi Na Aye Apani
Daramiyan Ham Bhi Na Ho Yun Tujhe Tanha Chahe


Zahiri Ankhon Se Kya Dekh Sakega Koi
Apane Baton Pe Bhi Ham Fash Hona Chahe


Jism Poshi Ko Mile Chadar E Aflak Hamay
Sar Chupane Ke Liye Wusa`At E Sehara Chahe


Khwab May Roye To Ehasas Ho Sairabi Ka
Ret Par Soyen Magar Ankh May Dariya Chahe


Bhent Char Jaun Na Main Apane Hi Khair O Shar Ki
Khun E Dil Zabt Kare Zakhm Tamasha Chahe


Zindagi Ankh Se Ojhal Ho Magar Khatm Na Ho
Ek Jahan Aur Pas E Parda E Duniya Chahe


Aj Ka Din To Chalo Kat Hi Gaya Jaise Bhi Kata
Ab Khuda Band Se Khairiyat E Farda Chahe


Aise Tairak Bhi Dekhe Hain `Muzaffar` Hamane
Garq Hone Ke Liye Bhi Jo Sahara Chahe



Thursday, December 12, 2013

Pepsi Samne Rakh Ke

1 Ladka Pepsi Samne Rakh Ke Udas Baita Tha


Dost aaya Pepsi Pee liya aur pucha Yaar tu Udaas Q Hai……??


Dost bola Yaar Aaj ka Din hi Bura hai


Subah GF Se Jhagda Ho gaya


Raste Me Car Kharab Ho gayi


0ffice Late Pahuncha To Boss ne Naukri Se Nikal Diya


Ab Suicide K Liye Pepsi Me ZAHER Milaya Wo Bhi tu Pee Gya… :@

Itne Anmol The K Khareed Na Saka Koi

Itne Anmol The K Khareed Na Saka Koi Hum Ko

Hairaan Hun K Tere Hathon Bika To Bika Kese...

Itne Anmol The

Wednesday, December 11, 2013

Every Successful Student

Behind every successful studeNt…
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
there is a deactivated faceb0ok acc0unt

Hair cut at saloon

Having a hair cut at saloon


Girl: Steps rakhna, Shoulders tak


Zyada short mat kar dena, Curls bhi chahiye


.
.
.
.
.
Boy: Kaat de yaar jaise tujhe theek lage

Tuesday, December 10, 2013

Vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho-Sagar Siddiqui



vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho


ye kinaaro.n se khelane vaale
Duub jaaye.n to kyaa tamaashaa ho


bandaa_parvar jo ham pe guzarii hai
ham bataaye.n to kyaa tamaashaa ho


aaj ham bhii terii vafaao.n par
muskuraaye.n to kyaa tamaashaa ho


terii suurat jo ittefaaq se ham
bhuul jaaye.n to kyaa tamaashaa ho


vaqt kii chand sa’ate.n ‘Sagar’
lauT aaye.n to kyaa tamaashaa ho


Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Sagar Siddiqui



Bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye – Sagar Siddiqui



Bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kaheen mila hun mujhe yaad kijiye
manzil nahi hun khizr nahi rahazan nahi
manzil ka ranta hun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai devata
main ishq ka khuda hun mujhe yaad kijiye
nagmon ke ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ke intaha hun mujhe yaad kijiye
gum-sum khadi hain donon jahan ke haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye
“sagar” kisi ke husn-e-tagaful shar ke
bahaki hui ada hun mujhe yaad kijiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui



Sardar dosti urdu sms

Sardar Apnay 16 Bachon Aur BV
K Sath Dost K Ghar Dawat Pay Gya.
Dost Ne Itni Bari Family Dekh Kar Ghusay Mein Kaha:
Haya Nahi Aayi?
Sardar:
Nai, Ohda Paper C.

Jis Khuwab Me Ho Jaye Didar-e-Mustufa - Islamic Poetry

Roman Urdu Shayari - Islamic Poetry

Jis Khuwab Me Ho Jaye Didar-e-Mustufa(S.A.W.W) Hasil
Aey Rab Kabhi Ham Ko Bhi Woh Need Sula Dey…

Urdu Poetry - Islamic Shayari

جس خواب میں ہو جاے دیدارِ مصطفی حاصل
اے رب  کبھی ہم  کو بھی وہ  نیند  سُلا  دے

Monday, December 9, 2013

Hindi Poetry SMS – Izzaton Say Barh Ker



Izzaton Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota
Chahton Ki Dori Bhi,
Torna Hi Parti Hay
Manzilon Ki Kashti Bhi,
Morna Hi Parti Hay
Bhoolna Hi Parta Hay,
Khud Say Piyaray Logon Ko
Aur Dil Kay Aangan Mein,
Naqsh Un Ki Tasweerain
Kuch Haseen Lafzon Ki,
Kuch Haseen Tehreerain
Paaoon Jin Mein Jukrain Hon,
Kholna Hi Parti Hain
Khoobrurat Aankhon Mein Basnay Walay Khawbon Ko
Nochna Hi Parta Hay
Dil Say Milta Her Rishta Torna Hi Parta Hay
Kiun Keh
Izzaton Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota!!!



Koshish Ke Bawajood Jo Mukammal Na Ho Sakin

Koshish Ke Bawajood Jo Mukammal Na Ho Sakin,
Tera Naam Bhi Unhin Khuwahishon Mein Hai….. :(

Lost Love Wish

pathan funny sms recieved

A pathan recieved a message from his girl Friend.


“I MISS YOU”


.


.


.


.


.


soch soch ker pathan ne reply kia,


.


.


.


.


.


” I MR YOU “

Sunday, December 8, 2013

Masoom Mohabbat

Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai ,


Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai


Amma Ghar Se Nikalne Nai Deti Or Mujhe Date Pe Jana Hai,…

Way back to you

Respect cann’t be found,
when you seek it for yourself.
But ! when you give it to others,
you will see that it will find its way back to you.

Saturday, December 7, 2013

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana - Love Dard Poem

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ka Haar Dena, 
Phir Uske Jazbon Ko Mar Dena...

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Dabooch Lena,
Phir Unki Aankhein Hi Noch Lena..

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai


Kisi Ko Lafzon Ka Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchal Dena....

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Andheir Nagri Mein Chalte Jana,
Haseen Kaliyan Masalte Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Saja Raha Hai Har Ek Diwaana,
Khayalo-O-Husn-O-Jamaal Jana,
Khayal Kya Hain Hawis Ka Tana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Malaal Hona Hai

Ussay Abhi Apne Kiye Ka Malaal Hona Hai…!


Abhi To Ishq Mein Aesa Bhi Haal Hona Hai…!!

Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai

Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai


Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai


Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai


Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai


Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai


Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

Phir is duniya se ummid-e-vafa hai – Naresh Kumar Shad



Phir is duniya se ummid-e-vafa hai
tujhe ae zindagi kya ho gaya hai
badi zalim nihayat bevafa hai
ye duniya phir bhi kitni khush-numa hai
har ik apne hi gham mein mubtila hai
kisi ke dard se kon aashna hai
mere naqqad meri shayari to
mere tute huye dil ke sada hai
kahan hun “shad” main to shad sa hun
wo shad-e-khush-nava to mar chuka hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Naresh Kumar Shad



Friday, December 6, 2013

Chehare pe mere zulf ko phailao kisi din



chehare pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din


razon ke tarah utaro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere hath ke khul jao kisi din


pedon ke tarah husn ke barish mein naha lun
badal ke tarah jhum ke ghir aao kisi din


khushbu ke tarah guzaro mere dil ke gali se
phoolon ke tarah mujh pe bikhar jao kisi din


phir hath ko khairat mile band-e-qaba ke
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharao kisi din


guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri rat ko chamakao kisi din


main apani har ik sans usi rat ko de dun
sar rakh ke mere sine pe so jao kisi din


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Amjad Islam Amjad



Raksha Bandhan 2015 Thought



Never Ever Thought We Will Not Be Together This Day.
I Am Really Missing You Very Much.
The Rakhi You Send Is Very Good,
It’s Looking Great On My Wrist.
I Just Pray That We Will Be Together On Every Rakhi From Next Year.
May God Bless You With Lot Of Happiness, Love And Success.
Take Care.
Missing You



Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai – Amjad Islam Amjad



Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai
us tak aati hai to har cheez thahar jati hai
jaise pana hi use asl mein mar jana hai
bol ae sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukana hai ki taron mein thahar jana hai
kon ubharate hue mahatab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai
main khila hun to isi khak mein milana hai mujhe
wo to khushbu hai use agale nagar jana hai
wo tere husn ka jadu ho ke mera gam-e-dil
har musafir ko isi ghat utar jana hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad



Thursday, December 5, 2013

Whenever I Need A Shoulder






Whenever I Need A Shoulder


You’re There To Catch My Tears,



You’ve Kept My Many Secrets


Throughout The Many Years.



You’ve Been There Through My Afflictions


You’ve Witnessed My Defeats,



I’ll Remember All The Good Times


And Pray The Bad Ones Don’t Repeat.



With You My Heart Is Honest


But There’s One Thing I Never Told You,



Thank You For Everything You’ve Done


There’s No One Else Like You.



No One That Could Ever Be A


True Friend Like You!






Wednesday, December 4, 2013

Kia Jaaniye Woh Dil Se Uter Kiyon Nahni Jataa



Kia Jaaniye Woh Dil Se Uter Kiyon Nahni Jataa
Gar Shaam Ka Bhoola Hai To Ghar Kiyon Nahin Jataa


Hum Ko Nahin Maloom Key Ujrey Huye Dil Se
Awaara-Mizaji Ka Asar Kiyon Nahin Jataa


Kia Baat Hai Sadkon Pe Uterti Nahin Ronak
Kia Submeed Hai Is Sheher Se Darr Kiyon Nahin Jataa


Sadion Se Tujhy Takty Huye Soch Raha Hoon
Jee Tery Khad-O-Khaal Se Bhar Kiyon Nahin Jataa


Aankhon Se Udaasion Kee Ghataa Kioyn Nahin Chat-Ti
Seeny Se Mohabbat Ka Bhanwar Kiyon Nahin Jataa


Thehraa Hai Jo Ik Qaafla-E-Gham Mery Dil Mein
Iss Choti See Bastee Se Guzar Kiyon Nahin Jataa


Saanson Se Mery Larzish-E-Gham Kiyon Nahin Jatee
Pairon Se Mery Zakm-E-Safar Kiyon Nahin Jataa



Badala na apne aap ko jo the vahi rahe – Nida Fazli



Badala na apne aap ko jo the vahi rahe
milate rahe sabhi se magar ajanabi rahe


duniya na jit pao to haro na khud ko tum
thodi bahut to zahan mai narazagi rahe


apani tarah sabhi ko kisi ke talash thi
hum jisake bhi qarib rahe dur hi rahe


guzaro jo bag se to dua mangate chalo
jisamen khile hain phul wo dali hari rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



Neend Nai Aati

Neend Hi Nahi Aati Mujhe Sone Ke Baad


Nazar Kuch Nahi Aata Aankhen Band hone Ke Baad

Tuesday, December 3, 2013

Security Cameras

When I was child,
My Mother sent me to the Store with 10 Rs,
&
I used to come back with
1 Kg Potatoes
Packet of Soap
Shampoo
3 Milk Packs
Half a Dozen Eggs
&
Choclate Bags
You can’t do that now
due to
Too Many Security Cameras =p

Hamesha K Liye Apne Pas Rakh Lo Na Mujhe

Hamesha K Liye Apne Pas Rakh Lo Na Mujhe

Koi Puche To Keh Dena Dil Hai Mera...

Hamesha K Liye

Matami Rang Ka Malboos Pehen K Dil Ne

Matami Rang Ka Malboos Pehen K Dil Ne
Rat Ujray Hue Khawabon Ki Azadari Ki...

Matami Rang Ka

Aankh ko jam samajh baitha tha anjane mein – Shamim Shahabadi



aankh ko jam samajh baitha tha anjane mein
saqiya hosh kahan tha tere divane mein
jane kis bat ke un ko hai shikayat mujh se
naam tak jin ka nahi hai mere afasane mein
dil ke tukadon se teri yaad ke khushbu na gai
bu-e-mai baqi hai tute hue paimane mein
dil-e-barbad mein ummid ka aalam kya hai
tim-timati hui ik shamma hai virane mein
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Shahabadi



Sab Kuch Kho Kar Bhi Tujhe Hasil Na Kar Sake

Sab Kuch Kho Kar Bhi Tujhe Hasil Na Kar Sake
Shayad Humein Andaza Na Tha Tere Urooj Ka...

Sab Kuch Kho Kar

Monday, December 2, 2013

I Love My Mother Because It Stands For



I Love My Mother Because It Stands For:


M – For The MILLION Things She Gave Me..


O – For Shuttles Growing OLD..


T – For The TEARS She Shed To Save Me..


H – For Her HEART Of Purest Gold…


E – For Her EYES, With Love-Light Shining…


R – For She Is Always Right And Always Be…!!


LUV YOU MOM!