Friday, December 6, 2013

Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai – Amjad Islam Amjad



Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai
us tak aati hai to har cheez thahar jati hai
jaise pana hi use asl mein mar jana hai
bol ae sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukana hai ki taron mein thahar jana hai
kon ubharate hue mahatab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai
main khila hun to isi khak mein milana hai mujhe
wo to khushbu hai use agale nagar jana hai
wo tere husn ka jadu ho ke mera gam-e-dil
har musafir ko isi ghat utar jana hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad



No comments:

Post a Comment