Saturday, August 31, 2013
Friday, August 30, 2013
Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi - Parveen Shakir
Parveen Shakir Ghazal
Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi
Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi
Aadtein Uska Naam Likhein Gi
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi
Doosri Nikhatein Jakar Leingi
Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi
Barish Ke Har Ek Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai
Mosam Hy Barish Ka Aur Yaad Tumhari Ati Hy,
Barish Ke Har Ek Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai,
Badal Jub Garajte Hein Dill Ki Dharkun Barhti Hy,
Aur Dil Ki Hr Aik Dharkun Sy Awaz Tumhari Ati Hy,
Jub Tezz Hawayein Chalti Hein Tu Jan Humari Jati Hy,
Mosam Hy Barish Ka Aur Yaad Tumhari Ati Hy…
Khud se hum ik nafas hile bhi kahan – Jaun Eliya
Khud se hum ik nafas hile bhi kahan
us ko dhundhen to wo mile bhi kahan
khema-khema guzar le ye shab
subah-dam ye qafle bhi kahan
ab ta’mul na kar dil-e-khudkam
ruth le phir ye silsile bhi kahan
aao aapas mein kuch gile kar lain
warna yun hai ke phir gile bhi kahan
khush ho sine ke in kharashon par
phir tanaffus ke ye sile bhi kahan
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jaun Eliya
Thursday, August 29, 2013
Wednesday, August 28, 2013
Meri zindagi pe na muskara mujhe zindagi ka alam nahi – Shakeel Badayuni
meri zindagi pe na muskara mujhe zindagi ka alam nahi
jise tere gham se ho vasta wo khizan bahar se kam nahi
mera kufr hasil-e-zud hai mera zud hasil-e-kufr hai
meri bandagi wo hai bandagi jo rahin-e-dair-o-haram nahi
mujhe ras aaye khuda kare yahi ishtibah ke saaten
unhen aitabar-e-vafa to hai mujhe aitabar-e-sitam nahi
wohi karavan wohi raste wohi zindagi wohi marahale
magar apane-apane muqam par kabhi tum nahi kabhi hum nahi
na wo shan-e-jabr-e-shabab hai na wo rang-e-qahar-e-itab hai
dil-e-beqarar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahi
na fana meri na baqa meri mujhe ae ‘shakeel’ na dhundiye
main kisi ka husn-e-khayal hun mera kuch vujud-o-adam nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
Urdu Dard e tanhai Sms
Lakh Koshish Karo HaMe Bhulaneki,
HuM TuMhe Yaad Aate To Honge,
Wo Pyarke LaMhe TuMhe Satate To Honge,
HuM Jo Rokte Aaye Aanusonke Sailab Ko
Wo TuMhari Aankhonse Behte To Honge…
Na hui gar mere marane se tasalli na sahi – Mirza Ghalib
Na hui gar mere marane se tasalli na sahi
imtihan aur bhi baqi ho to ye bhi na sahi
khar-khar-e-alam-e-hasarat-e-didar to hai
shauq gulachin-e-gulistan-e-tasalli na sahi
may parastan khum-e-may muh se lagaye hi bane
ek din gar na hua bazm mein saqi na sahi
nafaz-e-qais ke hai chashm-o-charag-e-sahara
gar nahi shama-e-siyahakhana-e-laila na sahi
ek hangame pe maukuf hai ghar ke raunak
noh-e-gam hi sahi, nagma-e-shadi na sahi
na sitaish ke tamanna na sile ke parawah
gar nahi hai mere ashar mein mane na sahi
isharat-e-sohabat-e-khuban hi ganimat samajho
na hui “ghalib” agar umr-e-tabii na sahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Monday, August 26, 2013
Happy Independence Day 2012 Pakistan
Independence Day SMS
1.
And show some faith n dignity,
Quran be at your side,
Islam giving you a pride,
Sunnah be a light for you,
That will glow and let you do,
All the acts to make you feel,
Nothing but this land is real.
*Happy Independence Day*
2.
Will Remain The Land
Of The ‘Free’ Only So
Long As It Is The
Home Of The ‘Braves’ ...
3.
I am passionate about his,
I loving every moment of it and
why not its his 65th Birth Day.
It’s our Pakistan.
*HAPPY INDEPENDENCE DAY*
Sunday, August 25, 2013
Milna Itifaak Tha Bicharna Naseeb Tha
Raat din yaad ki tadap bhi nahi rakhni, kisi se ab itni mohabbat bhi nahi rakhni, jiska ji chahe hame tod k tukde kr de, is kadar narm tabiyat bhi nahi rakhni, kai saalon ke rishte se hame kya hua haasil ?
ek dol pal ki rafaqat bhi nahi rakhni,
jinke hatho tute to sambhalne mein zamane beet gaye RSU !
aise logo se ab umeed bhi nahi rakhni,
kya azab haal hai chahat ke talabgaron ka !
shokh bikne ka hai aur kimat bhi nahi rakhni..
Filmi Shayaris
From Saawariya Movie
Teri Baat Hi Sunane Aaye
Dost Bhi Dil Dukhane Aaye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamane Aaye
Dil Dhadkta Hain Safar Ke Samay
Kaash Phir Koi Bulane Aaye …….
Dil Yaad Hume Kabhi Kabhi Karta Hoga
Dhadkan Bekabu Roz Na Hota Hoga
Humare To Lahu Main Ghuli Hey Teri Dosti
Aur Awaz Waha Se Aati Hey Teri Wafaon Ki…..
Mehefilo Main Auro Ko Khush Kiya Jata Hey
Tanhaeeyo Main Khud Ko Khush Kiya Jata Hey
Tanhaee Ki Is Khubsurtiko Samjo
Aur Mast Ho Zindagee Jiyo
Phir Chahiye Mehefil Ho Ya Tanhaee
Khushiya To Har Jagah Milegee…..
Pyar Ho Ya Dosti Ho
Inme Wafadaree Ki Koi Baat Nahin Hoti
Inme To Bus Ehesas Hoten Hey
Jinme Bewafaee Ke Liye Koi Jagah Nahin Hoti…
Nakhuda Maan Ke Baithe Hai Jinki Kashti Mein,
Woh Hume Maujo Mein Le Aye Hai Dubone Ke Liye,
Woh Hawaon Ki Tarah Rukh Badal Lete Hai,
Hum Naseebon Se Ladhe The Jinhe Pane Ke Liye……
Saturday, August 24, 2013
Phir savan rut ke pavan chali tum yaad aaye – Nasir Kazmi
Phir savan rut ke pavan chali tum yaad aaye
phir patton ke pazeb baji tum yaad aaye
phir kunjen bolin ghas ke hare samandar mein
rut aayi peele phoolon ke tum yaad aaye
phir kaga bola ghar ke sune aangan mein
phir amrat ras ke bund padi tum yaad aaye
pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
badal garja bijli chamaki tum yaad aaye
din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab deewaron se dhup dhali tum yaad aaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
bachi tez nikli
Boy: I love U. Tm dunya ki sabse khubsurat larki ho.
Girl: Acha per tmhre pechy mjhse b zyada haseen larki khari ha.
Boy turn back bt wahan koi nai tha.
Girl: Agar tum mjhse pyar krte tou kbhi pechy nai murty. . . .
MORAL:
Aby moral woral kch nai bachi tez nikli….
Friday, August 23, 2013
Tund mein aur aise kamsin ke liye – Ameer Minai
tund mein aur aise kamsin ke liye
saqiya halki si la in ke liye
mujh se rukhsat ho mera ahad-e-shabab
ya khuda rakhna na us din ke liye
hai javani khud javani ka singar
sadagi gahana hai is sin ke liye
sab hasin hain zahidon ko napasand
ab koi hur aayegi in ke liye
vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jate the is din ke liye
sari duniya ke hain wo mere siva
main ne duniya chod di jin ke liye
lash par ibarat ye kahati hai ‘ameer’
aaye the duniya mein is din ke liye
Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ameer Minai
Thursday, August 22, 2013
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki
Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad Rakhney Ki Sifarish Nahin Ki
Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki
Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki….
Wednesday, August 21, 2013
Usko Apna Bana Kar Dekh Liya
Usko Apna Bana Kar Dekh Liya
Dard Dil Me Basa Kar Dekh Liya
Wo Mera Kisi Tarha Nahi Hua
Har Tarha Aajma Kar Dekh Liya
Wo Na Aawaz-E-Dil Meri Samjhe
Hal-E- Dil Bhi Suna Kar Dekh Liya
Lafz Tak Sath Nahi Dete Jab Mere
Geet Bhi Gunguna Kar Dekh Liya
Ek ham the jo muskurate rahe
Usne har julm dhake dekh liya
Mera Koi Nahi Is Duniya Me” RIZWAN ”
Sabko Apna Bana Kar Dekh Liya..
Dunya Me Tumhein Gham Hi Gham Mile Hain 'Noor'
Tuesday, August 20, 2013
Intelligent Ho To Jawab Do
Intelligent ho to Jawab Do:
.
God, Mother, One, Ball.
.
.
In 4 Alfaaz ko Aise Milay k Pakistan ki Mashhoor Shakhsiat ka Naam banay?
Monday, August 19, 2013
Dil Se Us Ki Yaad Ab Jaane Lagi Hai
Tanhaiyan Mujhe Ab Bhaane Lagi Hai
Dil Se Us Ki Yaad Ab Jaane Lagi Hai
Badi Shiddat Se Chaha Us Farebi Ko Maine
Lagi Thoker Toh Aqal Ab Aane Lagi Hai
Jhoothein Hai Us Ke Ilzaam Wagif Hai Sabhi Arif
Sare Shahar Mein Bewafa Wo Ab Kehlane Lagi Hai
Posted by: Muhammad.Arif “Cheetal”
tum mere pas raho – Faiz Ahmed Faiz
tum mere pas raho
mere qatil, mere dildar, mere pas raho
jis ghadi raat chale
aasamanon ka lahu pi kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almas chale
bain karati hui, hansati hui, gati nikle
dard ke kasani pazeb bajati nikle
jis ghadi sinon mein dubate huye dil
aastinonmen nihan hathon ke reh takane nikle
aas liye
aur bachon ke bilakhane ke tarah qul-qul-e-may
bahr-e-nasudagi machale to manaye na mane
jab koi baat banaye na bane
jab na koi baat chale
jis ghadi raat chale
jis ghadi matami, sun-san, siyah raat chale
pas raho
mere qatil, mere dildar, mere pas raho
Poet of the poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
Sunday, August 18, 2013
Shab e Meraj Shayari
Hadith Nabvi (SAW) hey k……………………!
jo shakhs is rat 12 nafal is tarteeb se parhey k………….. her 2 nafal k bad yeh 3 tasbeehat parhey:
1) SUBHANALLAH-E-WALHUMDOLLILLAH-E-WALLAHUKABER
100 times
2) DOROOD SHAREEF
100 times
3) ASTAGHFAAR
100 times
or phir agley din yanee k 27 rajab ka roza rakhey… to Allah SWT us k tamam gunah maaf ferma detey hein…………..or aftar k waqt wo jo b dua mangey ga…. us ki wo dua qubool ho gi
ALlah SWT hum sab ko yeh amal kerney ki tuafeeq ata farmaein… Ameen Sum Ameen.’
Darmiyan Phir Faasle Hain Bohat
Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat
Tu Mili Bhi To Chund Pal K Liye
O Zindagi Tujh Se Gile Hain Bohat
Ek Do Yaden Aur Tanhai Mili
Pyar Karne K Ye Sile Hain Bohat
Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat
Saturday, August 17, 2013
Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun – Meer Taqi Meer
Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun
ab do to jam khali hi do main nashe mein hun
mazur hun jo paon mere betarah pade
tum sar-garan to mujh se na ho main nashe mein hun
ya hathon hath lo mujhe jaise ke jam-e-may
ya thodi dur sath chalo main nashe mein hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
Friday, August 16, 2013
Maut sms in hindi
Maut aman aur sukun ka samndar hai.
Maut saare gamo ka ilaaj hai.
Maut itni taklif deh nahi hoti jitni Zindagi.
Maut ko hamesha yaad rakho magar uski aarzo na karo.
Buzdil insaan Maut aane se pehele kai baar marta hai.
Mayusi se badkar duniya mai koi chij buri nahi hai, mayusi Maut ka dusra naam hai
Kia Kahon Tumhain?
Khuwab Kahon To Bikhar Jaoge!
Dil Kahon To Toot Jaoge!
Lo, Tumhara Naam Zindagi Rakh Deti Hon..!
Maut Se Pehle Hamara Sath Na Chor Paoge…!!
Mere Janaazey Ki Peechey Saara Zamaana Nikla,
Magar Woh Na Nikla Jiskey Liye Mera Janaaza Nikla
Share with us more …Maut sms in hindi .in comments section below.
Thursday, August 15, 2013
If All The Beauty Would Ever Last
If All The Beauty Would Ever Last,
If Time Would Halt And Never Be Past,
If All The Ugliness Would Forever Hide,
Then On The Journey, With Thou, I Would Ride.
Time Drives The Beauty From A Face
It Sees No Meaning, Nor Any Grace.
The Beauty, The Face, Soon To Be Forgotten,
All Be Wanton, All Be Rotten.
The Beauty Of A Person Is Soon To Fade,
Like A Setting Sun, A Night Time Shade.
Eyes Eventually Lose Its Shine.
The Beauty Of It, The Sun Would Out Shine.
The Hair Will Fall And Turn To Gray.
No One Can Outrun The Upcoming Day.
Unlike A Star That Forever Twinkles,
The Beauty On The Face Is Soon To Wrinkle.
If Time Would Stop As It Sailed,
If The Unpleasantness Of The Aging Can Be Veiled,
If The Inevitable To Come Can Be Set Aside,
Then On The Journey, With Thou, I Would Ride.
Wednesday, August 14, 2013
Godmothers aren’t fairies in a tale
Godmothers aren’t fairies in a tale,
Offering a world that cannot be.
Demand of them glass slippers and they fail,
More likely to do favors naturally.
On them you can depend for a relation:
They offer gifts and guidance with a kiss.
Having taken on the obligation,
Each freely out of love gives what she is.
Real godmothers have no wands or wings,
So they must work with wisdom, love, and things.
Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou
Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gai Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Si
Kisi Se Baat Karti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi Hansti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Monday, August 12, 2013
A Doctor and an Engineer
A Doctor and an Engineer love the same girl.
The Doctor gives the girl rose everyday . . .
while the Engineer gives an apple to the girl everyday . . .
Doctor confused and ask the engineer : WHy ?
.
.
.
.
.
.
.
Engineer : An apple a day, keeps the Doctor away ! 😀
Allama iqbal Poetry: Na hoti koi Majboori
“Zaroorat” torr deti hy Gharoor-o-Be’Niazi ko,
Na hoti koi Majboori to her banda “Khuda” hota…
(Allama iqbal)
Hindi Shayari – Pagal Hain
Tere Pyar Ki Barish Mein Nahane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Banhon Ki Garmi Mein Phighal Jane Ko Ji Chahta Hai,
Tere Ishq Ke Gehre Sagar Mein Doob Jane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Jheel Si Kaali Aankhon Mein Sama Jane Ko Ji Chahta Hai,
Chand Se Tere Chehre Pe Fida Ho Jane Ko Ji Chahta Hai,
Mohabbat Mein Teri Hadh Se Guzar Jane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Shehed Baatein Mere Dil Ko Bohat Lubhati Hain,
Bheegi Si Muskaan Teri Deewana Mujhe Kar Jaati Hain,
Ghussa Bhi Tera Hai Pyaar Bhara Saari Duniya Se Judaa,
Anokhi Teri Adaon Pe Marr Mitne Ko Ji Chahta Hai,
Maanga Hai Tujhe Khuda Se Bare Sajdon Ke Baad,
KamZarf Zamane Ki Nazron Se Tujhe Chupa Lene Ko Ji Chahta Hai.
—————————————————————
Hi Dear Friends,
I am up with a Romantic one this time… You judge How
was I? I’ll wait for your comments…:) Thanks
RIZWAN AHMED.
Sunday, August 11, 2013
Mohabbat per bs
M0habt Par Na Jane ki0un Kisi ka BAs Nai Chlta,
.
.
.
YE He Wo Ek jaZba Hai . .ju Na-Farman h0ta hai . .!
I Love The Way
I Love The Way
You Visit Each Night And Fill My Dreams With Desire,
I Love The Way
You Touch My Hand And Fill My Soul With Fire,
I Love The Way
You Draw Me Near For A Warm And Loving Embrace,
I Love The Way
When I Close My Eyes I See Your Smiling Face,
I Love The Way
Your Lips Meet Mine For A Passionate Kiss,
I Love The Way
Just Thinking About You Fills My Heart With Bliss,
I Love The Way
You Never Forget To Kiss Me Hello Or Goodbye,
I Love The Way
God’s Blessed Me With Such A Wonderful Guy!
Muhabbat mein vafadari se bachiye – Nida Fazli
muhabbat mein vafadari se bachiye
jahan tak ho adakari se bachiye
har ek surat bhali lagti hai kuch din
lahu ke shobadakari se bachiye
sharafat aadamiyat dard-mandi
bade shahron mein bimari se bachiye
zaruri kya har ek mahafil mein aana
taqalluf ke ravadari se bachiye
bina pairon ke sar chalte nahi hain
buzurgon ke samajhadari se bachiye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
Saturday, August 10, 2013
Chupake chupake asar karta hai
chupake chupake asar karta hai
ishq kainsar ke tarah badhata hai
jo koi jee na sake mar jaye
aap ka nam abas leta hai
kon sunata hai kisi ke vipada
sab ke mathe pe yahi qissa hai
koi darta hai bhari mahafil mein
koi tanhai mein hans padata hai
yahi jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho to yahi duniya hai
sab ke qismat mein fana hai jab tak
aasmanon pe koi zinda hai
wo khuda hai to zamin par aaye
hashr ka din to yahan barpa hai
sans roke hue baitho ‘amjad’
waqt dushman ke tarah chalata hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Amjad Islam Amjad
Friday, August 9, 2013
Jo aana chaho
“”Jo aana chaho hazaar rastay,
na aana chaho uzer hazaaron,
“”Mizaj barham, taweel rastay,
barasti baarish,
kharab mosam..
Jaur se baz aaye par baz aayen kya – Mirza Ghalib
jaur se baz aaye par baz aayen kya
kahate hain hum tum ko muh dikhalayen kya
raat din gardish mein hain sat aasman
ho rahega kuch na kuch ghabarayen kya
lag ho to us ko hum samajhen lagav
jab na ho kuch bhi to dhoka khayen kya
ho liye kyon namabar ke sath-sath
ya rab apne khat ko hum pahunchayen kya
mauj-e-khun sar se guzar hi kyon na jaye
aastan-e-yar se uth jayen kya
umr bhar dekha kiye marane ke rah
mar gae par dekhiye dikhalayen kya
puchate hain wo ki “ghalib” kon hai
koi batalao ki hum batalayen kya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib
Thursday, August 8, 2013
Naram Ghftar Bun Jao
Jis darakht ki lakri narm ho gi uski shakhin ziada hongi,
bs naram tabyat or narm guftar ban jao
ta k aap k chahne wale ziada hon.
Rayalaseema Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Rayalaseema Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Rayalaseema Festival greeting.
Aankhon ko koi khwaab to dikhayi de
Tabeer me Imam ka jalwa dikhayi de
Aye! Ibn-E-Murtuza tere samne
Suraj bhi ek chota sa zarra dikhayi de
Tere dil mein kaisi girah padi tujhey usse itna hasad hai kyun?
Jo Nabi (S.A.W.) ki aankh ka noor hai jo Ali ki rooh ka chain hai
Kabhi dekh apne khameer mein kabhi pooch apne zameer se
Wo jo mit gaya wo yazeed tha, jo na mit saka woh Husain hai
Kehete hai pyar karne wale pagal hote hai
Aur jinka dil gehere pyar mein dooba hota hai
Aur jo bhi kuch bol dete hai
Wo khud ba khud shayari ban jati hai…
Happy Rayalaseema Festival Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Govardhan Puja Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Govardhan Puja Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Govardhan Puja 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Govardhan Puja sms greeting.
Chandan ki Khushbu Resham ka Haar
Sawan ki sugandh Barish ki fuhar
Radha ki Ummid KANHAIYA ka pyar
Mubarak Ho apko Govardhan PujaKa Tyohaar.
Krishna jinka naam, Gokul jinka dham, aise Shree Krishna Bhagwan ko, hum sab ka pranam, Jai shree krishna.
HAPPY Govardhan Puja…!!
Murli Manohar, Brij ke Dhrohar.
Wo Nandlala Gopala, Bansi Ki Dhun Par Sabke Dukh Harne Wala.
Sab Milkar Machaye Dhoom Ki Krishna Ane Wala Hai.
Happy Govardhan Pooja…!!
Murli Manohar, Brij ke Dhrohar.
Wo Nandlala Gopala, Bansi Ki Dhun Par Sabke Dukh Harne Wala.
Sab Milkar Machaye Dhoom Ki Krishna Aane Wala Hai…
Happy Govardhan Pooja….!!
Chandan ki Khushbu Resham ka Haar,
Sawan ki sugandh Barish ki fuhar,
Radha ki Ummid KANHAIYA ka pyaar,
Mubarak Ho apko Govardhan Puja Ka Tyohaar.
Happy Govardhan Puja Mubarak to all of you from shayari Online Team
Wednesday, August 7, 2013
Tere hote hue mahafil mein jalate hain chirag – Ahmed Faraz
Tere hote hue mahafil mein jalate hain chirag
log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag
apni maharumiyon pe sharminda hain
khud nahi rakhte to auron ke bujhate hain chirag
bastiyan chand sitaron pe basane wale
kurra-e-arz bujhate jate hain chirag
kya khabar hai un ko ke daman bhi bhadak uthate hain
jo zamane ke hawaon se bachate hain chirag
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ‘faraz’
raat to raat hum din ko jalate hain chirag
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
Tuesday, August 6, 2013
Mujhe kal mera ek sathi mila – Ahmed Nadeem Qasmi
mujhe kal mera ek sathi mila
jis ne ye raz khola
ke ‘ab jazba-o-shauq ke vahashaton ke zamane gaye’
phir wo aahista-ahista charon taraf dekhata
mujh se kahane laga
‘ab bisat-e-muhabbat lapeto
jahan se bhi mil jayen daulat – sameto
garz kuch to tahazib sikho’
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi
sarko sarki pa lia
sardar 1st time JAHAAZ mein betha
Jahaz runway pe chal raha tha
Sardar ne pilot ko thappar mara or bola
Menu pehle he dair ho gai a te tu sarko sarki pa lia a.
Dost ban ban ke mile mujhko mitanevale – Saeed Rahi
Dost ban ban ke mile mujhko mitanevale
main ne dekhe hain kai rang badalanevale
tumane chup rahakar sitam aur bhi dhaya mujh par
tumase ache hain mere hal pe hansanevale
main to ikhalaq ke hathon hi bika karta hun
aur honge tere bazar mein bikanevale
aakhari daur pe salam-e-dil-e-muztar le lo
phir na lautenge shab-e-hijr pe ronevale
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi
Monday, August 5, 2013
Cape Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Cape Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Cape Festival greeting.
Punam ka chand rango ki Doli ,
Chand se us ki chandhi boli ,
Khushiyon se bhar de sabkijholi ,
Mubarak ho aap sab ko Khushiyon se bhre “HOLI”
HAPPY HOLI
Mile tujhe na dukh zindagi mein,
Phoolon ki tarah mehke Khuda kare,
Zinda rahe naam abad tak tera,
Eid ki khushiyan tujhe mubarak Khuda kare.
Deep jalte jagmagate rahe,
Hum apko aap hame yaad aate rahe,
Jub tuk zindagi hai, yeh dua hai hamari,
Aap EID ke chand ki tarah jagmagate raho.
Happy Cape Festival Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Girls TOP 3 Lines Meaning
Girls TOP 3 Lines Meaning
1. I Miss You
(Means: Time Pass Nahi Ho Raha Hai. Tumhare Saath Hi Thoda Time Paas Kar Lu)
2. I AM Single
(Means: Mera Past BF Bhikhari Ban Gaya. Ab Tumhari Baari)
3. Main Cousin Se Baat Kar Rahi Thi
(Means: Aur 2, 3 BF Waiting Me The)
Saturday, August 3, 2013
Sardar Funny Translation
Sardar Engish k paper me fail ho gaya …!!
Due to following translations..?
1. main aam aadmi nai hon?
(I am not a mango man)
2. Sarda or garma phal hain?
(Colda & hota are fruits)
3.Mujhe b english aati he?
(English comes to me also)
4. Do or Do barabar chaar?
(Give & Give equal to four)
5.Mera taluq haripur hazara se hai?
(I am belong to greenpur thousanda)
6. Sarak par golian chal rahi hai?
(Tablets are walking on the road)
Friday, August 2, 2013
Halqa-e-Ishq main
Halqa-e-Ishq Se Main Umeedwaar Hon MuhabbaT Ki,,
Hy Koi Jo Is DiL Pe Mohr Laga kr kamyab kare. .
Thursday, August 1, 2013
Beth Jata Hun Khak Main Aksar
Bari Achi Lagti Hai Mujhe Aukat Meri...
Submitted By: Emanuel Lawrence