Friday, August 9, 2013

Jaur se baz aaye par baz aayen kya – Mirza Ghalib



jaur se baz aaye par baz aayen kya
kahate hain hum tum ko muh dikhalayen kya
raat din gardish mein hain sat aasman
ho rahega kuch na kuch ghabarayen kya
lag ho to us ko hum samajhen lagav
jab na ho kuch bhi to dhoka khayen kya
ho liye kyon namabar ke sath-sath
ya rab apne khat ko hum pahunchayen kya
mauj-e-khun sar se guzar hi kyon na jaye
aastan-e-yar se uth jayen kya
umr bhar dekha kiye marane ke rah
mar gae par dekhiye dikhalayen kya
puchate hain wo ki “ghalib” kon hai
koi batalao ki hum batalayen kya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment