Wednesday, August 7, 2013

Tere hote hue mahafil mein jalate hain chirag – Ahmed Faraz



Tere hote hue mahafil mein jalate hain chirag
log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag
apni maharumiyon pe sharminda hain
khud nahi rakhte to auron ke bujhate hain chirag
bastiyan chand sitaron pe basane wale
kurra-e-arz bujhate jate hain chirag
kya khabar hai un ko ke daman bhi bhadak uthate hain
jo zamane ke hawaon se bachate hain chirag
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ‘faraz’
raat to raat hum din ko jalate hain chirag


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment