Thursday, February 28, 2013
3 Idiots Sms
Lady teacher: Aasman se farishte aate hain
Or apko chotay chotay Behan Bhai gift kerte hain.
A kid 2 his felow:Kya khyal hai Miss ko “3 idiots” na dikha dain
Meaning Of Some Colors
Meaning of some colors,
Yellow for special friend,
white for peace,
orange 4 luck,
black for hate,
red for love and
pink for likeness,
So i choose for u Orange Flower.
Wish u good luck.
shaadi mubarak sms
One time a man asked Hazrat Ali (A.S)
“show me ALLAH if HE exist”
He replied:
“Look at the Sun”
Man replied:
“I can’t see, bcz the rays hurt my eyes”
Hazrat Ali said “If you can’t look at the creation, then how will you be able to look at the CREATOR?”
Zindagi Mujhse Youn Daga Na Kar
1 Pinjre mein kuch totey ek Toti ko cheed rahey the…
Jabki dusre pinjre mei ek Tota puja aur dusra tota Namaz padh raha tha,
Maalik ne socha “kitne nek tote hain, inke pinjre me toti ki ijjat safe rhegi.”
Usne toti ko nek toton ke pinjre me daal diya.
Jab toti us pinjre me gayi toh puja karna chhor tote lage ‘
bhinge hot tere pyasa dil mera lage abrsha mujhe . . . . .,
Wednesday, February 27, 2013
Terey Chahne Wale Mujhey Achey Nahi Lagtay
Humein Keh Do K Chaley Jao, Jo Hum Achey Nahi Lagtey,,
Humein Wo Zakham Do Jo Sari Umer Na Bhar Paye,,
Jo Jaldi Bhar K Mit Jayen Wo Zakham Achey Nahi Lagtey,,
Tumhein Her Ghazal Mein Likhna Mera Dastoor Hai Lekin,,
Sari Mehfil Mein Terey charchey Humein Achey Nahi Lagtey,,
Main Chahat Ki Us Manzil Pe Aa Pohancha Hon
K
Terey Chahne Wale Mujhey Achey Nahi Lagtay...!!
Me Jo Mehka To Meri Shakh Jala Di Us Ne
Ye jo divane se do char nazar aate hain – Sagar Siddiqui
Ye jo divane se do char nazar aate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar aate hain
teri mahafil ka bharam rakahate hain so jat ehain
warna ye log to bedar nazar aate hain
dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid ke aasar nazar aate hain
mere daman mein shararon ke siva kuch bhi nahi
aap phoolon ke kharidar nazar aate hain
kal jise chu nahi sakati thi farishton ke nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain
hashr mein kon gavahi meri dega ‘sagar’
sab tumhare hi tarafdar nazar aate hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui
Tuesday, February 26, 2013
Aadab Hamare Hain
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain,
Tumhain Kya Malum..
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain,
Tumhain Kya Malum..
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko apna,
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain,
Tumhain Kya Maalum. . . .!!
Sirf Aapke Liye Doston
Kabhi Sochti Hoon Tumare Bina Ye Zindagi Adhuri Hai
Kabhi Sochti Hoon Tumare Bina Ye Zindagi Fizuul Hai
Par Dil Se Kahte Hai Ke Ye Pyaar Tumare Bina Ek Khali Kitab Hai
Duniya Ke Raageen Phool Tumare Khushiyon Ke Bina Fizuul Hai
Aur Kuchh Na Kahe Paon Mein Aaj Ke Iss Mehfil Ke Phool Hai
Joh Dil-O-Dimaag Se Lagi Hue Ek Tabeez Mere Dil-O-Jaan Hai
Iss Khushi Ko Samet Kar Aapne Dil Mein Chupaye Chal Rahe Hai
Ek Muskaan Tumare Dil Mein Sadiyon Se Likhte Chal Rahe Hai
Monday, February 25, 2013
Lakh Dukh Uthao
Lakh Dukh Uthao,Tum Koshish Karte Rehna,
“Azeem” Isi Tarhan Toot Ke Use Chahte Rehna,
Wo Yaad Na Kare Tum Ko Yeh Us Ka Amall Hai,
Tum Khud Se Ziyada Use Yaad Karte Rehna,
Yeh Jan Lo Ke Rona Us Ko Aata Nahi Tum Par,
Khair Tum Aise Hi Ehed Nibhate Rehna,
Aansoo Ki Tumhare Koi Qimaat Nahi Hai,
Us Ki Yaad Mein Yu Hi Tum Ashk Bahate Rehna,
Kabhi Tadpegee Wo, Kabhi To Beqarar Hogee,
Dastaan Tum Us Ko Apni Yu Hi Sunate Rehna,
Din Bohat Kam Hain Tumhari Zindagi Ke “Azeem”,
Aggar Nafrat Bhi Kare Tum Us Se Mohabbat Karte Rehna,
Zindagi Ke Kisi Mod Par Pashteegee Wo Bhi,
Tum Be Khuli Aankhoon Se Use Dekhte Rehna,
Khub Dil Lagea Hai “Molla” Is Be-Parwa Ke Saath,
Mar Jaonga Nahi Hota Mujh Se Jitey Rehna,
Jine Ki Baat Hai Is Mein Kia Kahoo “Azeem”,
Qismaat Mein Hai Tumhari Us Ke Liye Tadappte Rehna.
Dilon mein farq perr Jaye
Dilon mein farq perr Jaye to itna yaad Rakhna tum .. !!
Daleelen, minaten Aur Falsafay Bekaar jatay hain..!!
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
Friday, February 22, 2013
Oh Jaan Meri Muskaan Meri
Oh Jaan Meri Muskaan Meri Kina Mainu Chahundi C
Dil Te Pyar De Nishan Mere Saare Armaan “Amrinder” Kive Bhul Jaava Main
Hun Tu He Dus “Bebo” Mainu Kinj Hor Kise Te Dul Jaava Main
Ohnu Rabb Da Rutba De Baitha, Kinj Rutba “Panny” Kho Lava Main
Jashan Da Ta Bus Chit Hun Karda, “Kamljeet” Kite Kalla Beh K Ro Lava Main
“Navjot” Ne Main Lakh Samjhaya, Par Dil Ne Ik Na Mani C
“Avtar” Ne Gallan Changiya Dasiya, Par Main Ik Na Palle Bani C
“Cheena” V Bus Andro Andri Samjhauna Aakhir Chahunda C
Ronde Mere Dil Nu “Jatinder” V Varaauna Aakhir Chahunda C
Sunnian Raahan De Dukhan Baare Jaanda Kuj “Mandar” V C
Dhukhdi Ik Agg Ishqe Di Lagda “Preet” De Andar V C
Hun “Shindpal” V Aa K Koi Gall Mainu Samjha Jaave
“Jassi Ludìana” Nu Koi Aakhe Meri Bedi Par Langha Jaave
Eh Dunia Saari Matlab Di Gall “Vishvjeet” Eh Kehnda Ae
Bhave Puch Lao Ja K “Gauri” Kolo Jehda Kalla Hun V Rehnda Ae
Hun Hor Nai Kehna Kuj V “Jashan” Ne Bas Lod Hain Ik Dildaar Di Hun
Hun Hor Kise Ton Ki Laina Jad Naal “Laddi” Warga Yaar Hai Hun
Thursday, February 21, 2013
There Is No Love Like A Mother’s Love
There Is No Love Like A Mother’s Love,
No Stronger Bond On Earth
Like The Precious Bond That Comes From God,
To A Mother When She Gives Birth.
A Mother’s Love Is Forever Strong,
Never Changing For All Time
And When Her Children Need Her Most,
A Mother’s Love Will Shine.
God Bless These Special Mothers,
God Bless Them Every One
For All The Tears And Heartache,
And For The Special Work They’ve Done.
When Her Days On Earth Are Over,
A Mother’s Love Lives On
Through Many Generations,
With God’s Blessings On Each One.
Be Thankful For Our Mothers,
For They Love With A Higher Love
From The Power God Has Given,
And The Strength From Up Above.
Tumhe Kaisay Bataoon Key Tum Merai Kaun Hoo,
Tumhe Kaisay Bataoon Key Tum Merai Kaun Hoo
Walls Ki Ice Cream Ho Polka Ki Kon Ho,
Kesey Bataoon Key Tum Poorani Dheet Ho ,
Aik Bohat Bari Phateek Ho ,
Tum Orangi Tum, Korangi Tumhe Ho Meri Nagan Chowrangi
Liyari Ki Tum Football Ho, Kimari Ka Tum Bund Ho,
Manora Ki Tum Thand Ho,
Tum Kharadar, Tumhe Methadar, Tumhe Meray Liye Goolimar Ho,
Tumhe Meri Koti Aur Shalwar Ho ,
Tumhe Gutka, Tumhe Menpoori, Tumhe Mix Patti Ka Pan Ho,
Kaisey Bataon Tumhay Key Tum Meri Koon Ho,
Lalookhait Main Rehti Ho , Khud Ko Defence Ka Kheti Ho,
Lambi Lambi Chorti Ho , Hamesha Sey Khowar Karte Ho ,
Sardi Ka Bhokhar Ho, Shikarpur Ka Achar Ho, Peshawar Ki Naswar Ho,
Aur PIA Jahaz Ka Ho, Jo Kabhi Waqt Par Nahi Milti Woh Parwaz Ho ,
Jo Hamesha Short Rehti Hai Wo Piyazzz Ho ,
Mahengai Kay Is Dor Mey Sawa Rupey Ki Niyaz Ho ,
Aur Mera Tum Aghaz Ho, Aur Mera Anjam Ho,
Mera Public Evening Special Ho, Mera Parcham, Mera Awaam Ho ,
Tumhe Jurat, Tumhe Ummat, Tumhe Jasarat, Tumhe Nowaey Waqt Ho
Mera Jang Tum Ho, Mera Aman Tum Ho,
The News Ho Ya Dawn Ho, Kesey Batao Key Tum Meri Kon Ho ,
Key Main Rokta Bus Tum Ko Hoon, Main Tookta Bus Tum Ko Hooon,
Tumhe Mera Kal Theen, Tumhe Mera Aaj Bhi Ho ,
Tumhe Marshallah, Tumhe Jamhoriat, Tumhe Governer Raj Ho ,
Tumhe Meri TT ,Tumhe Mera Repeater, Tumhe Mera Rokket Lunchar Ho ,
Tumhe Meri Soch Ho, Meray Paaon Ki Moch Ho, Aur 9 Rupee Wali Kouch Ho,
Tumhe Mera Vespa, Tumhe Mera Raksha, Tumhe Mere Taxi Ho,
Tumhe Tu Mere Mazda Ho, Tumhe Mera Truck Ho,
Mera Troller Ho ,Meri Honda 50, Aur Meri 70 Ho,
Lahore Ka Tanga Ho, Sukhur Ki Suzuki Ho,
Aur Kya Bataoon Meri Jaan Tum Meray Liya Kya Ho
Arey Tum Tu Pora PAKISTAN Ho, Karachi Ki Jaan Ho,
Kaisay Bataoon Key Tum Meray Liye Koon Ho
Eid ka Chand Aur Eid Mubarak
Log Eid ka chand dainkhny ki koshish kar rahy hain
Ap kab apny kamray sai bahir awogay
Takay apko dekh kar logon ka intezaar khatam ho jaye
Owr mai apko tahe dil sai kahon ke
Eid Mubarak ho
Wednesday, February 20, 2013
Dastan-e-gam-e-dil unako sunai na gai – Jigar Moradabadi
Dastan-e-gam-e-dil unako sunai na gai
bat bigadi thi kuch aisi ki banai na gai
sab ko hum bhool gae josh-e-junun en lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulai na gai
ishq par kuch na chala dida-e-tar ka jadu
usane jo aag laga di wo bujhai na gai
kya uthayegi saba khak meri us dar se
ye qayamat to khud un se bhi uthai na gai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Ik din mili wo muj Se
“Ik din mili wo muj Se
:
Bujhe Bujhe c
:
Jhuki jhuki c
:
Udasiyon mai Rachi base c
:
Jo meany Ne pocha
:
Udaas q ho
:
Itni pareshan Q ho
:
Jhuka k palkain
:
Chupa k chehra
:
Galay se lag k
:
Ro ro k thak k
:
Lagi wo kehne
:
Etna Romantic Poetry likha the
lover ko.
:
Abbu k number par chili gia 😛
Never break friendship
When
clouds
breaks
rain fall.
When
coconut
breaks
water falls.
When
luv
breaks
tears falls.
But wen
friendshp
breaks
life falls completly
So never break friendship..
Tuesday, February 19, 2013
Monday, February 18, 2013
Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana
Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana
Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana
Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana
Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana
Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana
Bara Hi Taveel Sadma Hai
Submitted By: Haya Khan
Do not Sad on Valentine day
If you do not have valentine on valentine day
do not be sad
Most people do not have aid on
Worlds AIDS day as well
Madaktari Poonam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Madaktari Poonam Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Madaktari Poonam greeting.
Kabhi To Suraj Niklega Kabhi To Roshni Hogi
Mere Andhiyare Jeevan Mein
Kushyiaon Ki Dhoop Khilegi
Kabhi To In Aankho Mein
Sitare Jagmagayenge
Kabhi To Amavasya Bhari Ratoan Mein
Poonam Ka Chaand Muskayega.
Kab Talak Sapno Mein Dhoobi Rahungi Mein
Kabhi To Woh Khawab Haqeqat Ban Kar Aayega
Kya Mere Jeevan Mein Sirf Phathjad Ka Mausam Aayega …
Ya Kabhi Is Mein Baharoan Ka Phool Bhi Muskayega .
Thak Gayi Hoon Aesi Subah Ka Intezaar Karte Karte ….
Shayad Woh Kushyian Mil Jaaye Mujhe Marte Marte .
Door Is Duniya Se Jo Kabhi Chali Jaungi ..
Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne,
Ham Ne Soch Rakha Hai Raat Yoon Guzaarenge
Dhadkanen Bicha Denge Shokh Taire Qadmon Par
Ham Nigaahon Se Teri Aarti Utaarenge
Happy Madaktari Poonam Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Sunday, February 17, 2013
comedy shayri sms
Raat ko jab gulab dekha to ek hasin khayal aaya…
Hum aapko milne aaye leke gulab jaise dil ne farmaya…
Milke aapko woh gulab humne dono ke hothon ke bich lagaya…
Aur bahoooooooot pyar se oos gulaab ko chum liya…
Fayda yeh hua ke hume hamara chumma mil gaya…
Aur dekha jaaye to aapne bhi kuch nahi gawaaya…
Saturday, February 16, 2013
Some Famous English Quotes
BILL GATES : if you BORN POOR
Its not your mistake,
But if you DIE POOR its ur mistake
ALEN STRIKE:
Don’t compare ur self with any 1 in this world ,
if youdo so , u rinsulting ur self
MOTHER TERESA:
if you start judging people ,
u will be having no time to LOVE them
pyas bhujao
A girl was thirsty.
She saw an ALA-DIN Chairagh beside her
She touched & ordered jin k meri pyas bhujao
JIN: “PEPSI wali ua IMRAN HASHMI wali”?
SUBMITTED BY: Syed Muhammad Akbar
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De
Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe
Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut
Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De
Teri Judai Me Neend Urti Ha
Boy: Teri Judai me,
Neend urti ha,
Jan jati ha,
chen khota ha,
Dil rota ha…!
Girl: Check krwale Beta Dengi Virus b aesa hi hota hy !!!
Thursday, February 14, 2013
Islamic Poetry
Zaray uss khak k tabinda sitary hongay…..
jis jaga AAP (S.A.W) nay NALAIN utary hongay…..
Log tu husn_e_amal le k chaly roz_e_hisab…..
SARWAR hum tu faqat tere saharay hongay…..
From: Atif Qadri
Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota – Bahadur Shah Zafar
Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota
khaksari ke liye garache banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota
nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
apna divana banaya mujhe hota tune
kyon khiradmand banaya na banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
varana bulbul ko bhi paravana banaya hota
roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai ‘zafar’
aisi basti se to virana banaya hota
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bahadur Shah Zafar
Wednesday, February 13, 2013
busy nation
Boys r the most busy generation in the world.
1 hand on stearing 1 hand on gear.1 leg on break
1 leg on accelerator.
1 ear on music
1 ear on mobile
1 eye on road
1 eye on girls.
Nose on breath
Mouth on cigarate.
what a busy nation.
fir v loki kehnday ny munday wailay hondy ny.
पहले मुमकिन था अजमाना उन्हें बेवफाई म्ें
eh heer, ranjha, mirja, sahiba,sohni, mahiwal, sab lagde ne mainu fake mitro
rohan de kahde pyar eh ta sab jisma di a khed mitro
oh ta fir sachi ranjha hi c jo 12 saal kat geya yaadan sahare
nhi tan eho jehi yaari aaj kal chaldi aa bs din ded mit
KHAN SAAB
Bright Student
During my school days, my teacher used to wear sun glasses
Do u knw Y?
.
.
.
.
.
.
. bcz
I was such a bright student…
😀
.
.
No claping plz:D
Monday, February 11, 2013
Dagh duniya ne diye zakhm zamane se mile – Kaif Bhopali
Dagh duniya ne diye zakhm zamane se mile
hum ko ye tohafe tumhen dost banane se mile
hum tarasate hi taraste hi tarasate hi rahe
wo falane se falane se falane se mile
khud se mil jate to chahat ka bharam rah jata
kya mile aap jo logon ke milane se mile
kaise mane ke unhen bhool gaya tu ae ‘kaif’
un ke khat aj hamen tere sarahane se mile
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaif Bhopali
Sunday, February 10, 2013
Life is a great travel trip
Life is a great travel trip…
Problem is that:
It doesnt come with a map
We’ve to search our own ways
to reach the Destinations…!
Saturday, February 9, 2013
Katrata Raha Wo Mujh Se Har Dam - Yaad Shayari
Mujhe Dekh Raste Badal Diya Karta Tha,
Aaj Uski Yaad Aai To Kisi Ne Kaha,
Wo Aksar Mujhe Hi Dhoonda Karta Tha...
By: Vishal
Khamoshiyo ki aadat
Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohbbat,
Jo in tanhayion se ho gayi hai..!
Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai
Submitted By: Asra Anjum
Kabhi Tu Milne Aajao
Usey Yeh Baat Samjhao Tumhein Koi Yaad Krta Hay
Kabhi Tu Milne Aajao Tmhey Koi Yaad Krta Hay
Humare Sher Sy Jub Tm Gye Thy Ham Ne Na Ruka
Humare Dil Sy Mut Jao Tmhey Koi Yaad Krta Hay
Tumhare Nam Ki Hr Shay Wahin Mojood Hay Lakin
Kbhi Khud Bhi Chale Aao Tmhein Koi Yaad Krta Hay..?
Shyri on wajood
Pehle Tarasha Us Ne Mera Wajood Sheeshay Se
~FARAZ~
Phir Zamane Bhar K Hathon Main Pathar Thama Diye
Teri talaash mein mera Wajood hi na raha,
Tabah kar gayi meri hasti ko arzoo terii….
Kya Hai Mera Wajood Is Duniya Mein??
Aaj Samajh Mein Na Aaya Hai
Jis Wajood Se Hum Khade The
Aaj Use Hi Hilta Paaya Hai
Tha Yakeen Ki Hai Wajood
Mera Bhi Is Duniya Mein Kahin
Lekin Uski Baaton Ne Ise Hilaya Hai
Kehte Hain Aaj Dost Mere
Ki Tera Wajood Kahan Hai
Ye To Tune Humse Hi Paaya Hai
Seham Gaayi Hoon Mein Ye Soch Ke
Kya Yehi Maine Aaj Tak Kamaya Hai?
Sirf Ek Choti Si Baat Ne
Sab Kuch Mujhse Churaya Hai
Par Khush Hoon Mein
Ki Mujhe Aaj Pata To Chala Ki
Kuch Nahi Meine Ab Tak Kamaya Hai
Ki Doston Ne Hi Mujhpe
Ye Upkaar Jataya Hai
Share with us more Shyri on wajood in Comments Section below.
Friday, February 8, 2013
Aj ke naam – Faiz Ahmed Faiz
Aj ke naam
aur
aj ke gham ke naam
aj ka gham ki hai zindagi ke bhare gulasitan se khafa
zard patton ka ban
zard patton ka ban jo mera des hai
dard ka anjuman jo mera des hai
kilarkon ke afasurda janon ke naam
kirmkhurda dilon aur zabanon ke naam
post-mainon ke naam
tangewalon ke naam
relbanon ke naam
karakhanon ke bhole jiyalon ke naam
badashah-e-jahan, wali-e-masiva, naebullah-e-fil-arz, dahakan ke naam
jis ke dhoron ko zalim hanka le gaye
jis ke beti ko daku utha le gaye
hath bhar khet se ek angusht patavar ne kat li hai
dusari maliye ke bahane se sarakar ne kat li hai
jis ke pag zor walon ke panvon tale
dhajjiyan ho gayi hai
un dukhi maon ke naam
raat mein jin ke bache bilakhate hain aur
neend ke mar khaye hue bazuon se sanbhalate nahi
dukh batate nahi
minnaton zariyon se bahalate nahi
un hasinaon ke naam
jinaki aankhon ke gul
chilamanon aur darichon ke belon pe bekar khil khil ke
murjha gaye hain
un byahataon ke naam
jinake badan
bemohabbat riyakar sejon pe saj saj ke ukata gaye hain
bewaon ke naam
katadiyon aur galiyon, muhallon ke naam
jinaki napak khashak se chand raton
ko aa aa ke karta hai aksar wazu
jinaki sayon mein karati hai aaho-buka
aanchalon ke hina
chudiyon ke khanak
kakulon ke mahak
aarazumand sinon ke apne pasine mein jalne ke bu
padanewalon ke naam
wo jo asahab-e- tablo-alam
ke daron par kitab aur qalam
ka takaza liye, hath phailaye
pahunche, magar laut kar ghar na aaye
wo masum jo bholepan mein
wahan apne nanhe chiragon mein lau ke lagan
le ke pahunche jahan
bant rahe the ghatatop, be-ant raton ke saye
un asiron ke naam
jin ke sinon mein farda ke shabatab gohar
jelkhanon ke shorida raton ke sar-sar mein
jal-jal ke anjum-numan ho gaye hain
aanewale dinon ke safiron ke naam
wo jo khushbu-e-gul ke tarah
apne paigam par khud fida ho gaye hain
**left incomplete by faiz**
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
Jab Bhi Wo Muskura Ke Baat Karta Hai - Romantic Poetry
Mujhe Apne Dil Ki Fikar Lag Jati Hai…..♥
Thursday, February 7, 2013
Barishoon Ka Intezar Tha
Barishoon Ka Intezar Tha ,Dil Milne Ko Bekarar Tha
Ek Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar Tha
Kuch Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban Par
Dil Mei Kuch Shararat Bhara Khumar Tha
Socha Tha Jub Milenge Khoob Saari Baatein Hongi
Par Baaton Ka Kya Dil To Pyar Ka Bimaar Tha
Woh Pyar Deyta To Saare Dard -O-Ghum Door Ho Jaate
Dil Chah Kar Bhi Milna Payaa Unse
Darta Tha Phir Juda Ho Jaye Ga
Pal Bhar Ka Jo Deedar Tha
Share By : Bindu Mahajan
Funny Fresh Rakhi Wishes
Never Ever Thought We Will Not Be Together This Day.
I Am Really Missing You
Very Much. The Rakhi You Send Is Very Good,
It’s Looking Great On My Wrist.
I Just Pray That We Will Be Together On Every Rakhi
From Next Year.
May God
Bless You With Lot Of Happiness,
Love And Success. Take Care.
Missing You
Islamic poetry of allama iqbal
Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil
Dil-O-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen”
Wahi Derina Bimari Wahi Namuhkami Dil Ki
Ilaj Iska Wahi Aabe Nishat Angez Hay Saaqi
Manf-E-At Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek
Harame Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek
Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek
Share with us more .Islamic poetry of allama iqbal .in comments section below
Wednesday, February 6, 2013
Phir Aik Saal Beet Gaya
Phir Aik Saal Beet Gaya
Magar Tum Nahin Aaye
Aaisa Na Ho K Naya Saal Bhi Yon Hi Beet Jaye
Meri Ummeden So Jayen Aur Zindigi Ki Lo Thartharanay Lagay
Tum Lot Aao
Dekho Koye Tumhain Kitna Yaad Karta Hay
Lekin Mujhe Maloom Hay K Tum Nahin Aao Gay
Ye Mosam Yon Hi Guzar Jaye Ga
Kyon K Tum Kisi Aur Ki Zindigi Ho
Main To Bas Yon Hi Apna Dil
Behlanay Ko Tumahin Pukarti Hon
K Shayed……!!!!!
Ramzan Ky Akhri Juma
Irshad-E-Nabvi Hai :
Jis Shakhs Ki Un-Ginnat Namazen Kaza Ho Chuki Hen
To Wow Ramzan Ky Akhri Juma K Din 4 Rakat Nafal 1 Salam K Sath Parhhle,
Har Rakat Mai Surah Fatiha K Baad Ayatul-Kursi 7 Baar,
Surah Kausar 15 Baar Parhay.
RESULT:
70 Saal Ki Kaza Namazen Bi ALLAH K Hazor Bakhsh Din Jati Hen.
This Hadith is not varified
Kabhi Jo Ehsaas Ho Tum Ko
Kabhi Jo Ehsaas Ho Tum Ko
Keh Tum Acha Nahin Kerte
Jo Mujh Ko Yun Rulate Ho
Lahu Merra Jalate Ho
Agar Iss Agg Mein Jal Ker
Mein Ik Din Raakh Ho Jaoon
Mujhe Dil Se Bhulla Dena
Samundar Mein Baha Denna
Magur Yeh Yaad Rakhna Tum
Khuda Se Yeh Dua Kerna
Keh Jo Acha Lagge Tum Ko
Woh Tum Jaisa Na Ho Hergiz
Wagarna Tum Bhi Roo Ge
Mujhe Jaise Rulate Ho
Not a Relationship
FRIEND is not a word Not a relationship
It is a Silent Promise,
which says: I Was, I Am & I Will Be, With u, any time whenever u Need.
Always be in Heart
A Nice Person will always be in Memory.
A Better Person will always be in Dreams.
But
The Sincere person will always be in Heart.
Tuesday, February 5, 2013
Wo Qurz Utarey
Mati ki muhabat mein hum aashufta siron ney
wo qurz utarey hein k wajib bhi nahi thay!!
Ankh ke khajal ke tarah
Paas Jab Tak Woh Rahay DARD Thamaa Rehtaa Haiii
Pheltaa Jaata Hai Phirrr Aankh K KAJAL Ki Tarah.
Always Send Nice Msgs
Always send nice msgs
because
when u die,
After ur death people say about u
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Banda to Zaleel tha par msg achay karta tha
Monday, February 4, 2013
Sirf us ke siwa
Us Ne Samjha Hi Nahi Aur Na Samjhna Chaha,
K Mein Chahta Bhi Kiya Tha Us Se , Sirf Us K Siwa
Sub badal jate hai
Na Mohabbat, Na Dosti, Humein Kuch Raas Nahi,
Sub Badal Jatey Hain,
Humarey Dil Mein Jaga Bananey K Baad
Saturday, February 2, 2013
Aik Dil Hai Ke Basaya Nahi Jata Hum Se
Loog Sehraon Ko Gulzar Bana Dete Hain…
Din dhal chuka tha aur parinda safar mein tha – Wazeer Agha
Din dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
sara lahu badan ka ravan khisht-o-par mein tha
had-e-ufaq pe sham thi kheme mein muntazar
aansu ka ik pahad sa hail nazar mein tha
jate kahan ki raat ke bahen thin mushtail
chupate kahan ki sara jahan apne ghar mein tha
lo wo bhi narm ret ke tile mein dhal gaya
kal tak jo ek koh-e-giran rahguzar mein tha
utara tha vahashi chidiyon ka lashkar zamin par
phir ik bhi narm pat na sare shahar mein tha
pagal si ik sada kisi ujade makan mein thi
khidaki mein ik chirag bhari dopahar mein tha
us ka badan tha khoon ke hiddat se sholafish
suraj ka ik gulab sa tisht-e-sahar mein tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wazeer Agha
Friday, February 1, 2013
Pyaar Sachha Hai Mera To Dekh Lena
Dil Laga Kar Hum Ye Samjhe, Zindagi Kya Cheez Hai,
Ishq Kehte Hai Kise Aur Aashiqui Kya Cheez Hai,
Hai Ye Rukhsaar Ke Shole, Ye Bahein Marmari,
Aapse Mil Kar Ye Do Baatien, Samajh Mein Aa Gayi,
Dhoop Kiska Naam Hai Aur Chandni Kya Cheez Hai,
Aapki Shokhi Ne Kya Kya Roop Dikhlaye Hamein,
Aapki Aankhon Ne Kya Kya Jaam Pilaaye Hamein,
Hosh Kho Baithe To Jaana, Bekhudi Kya Cheez Hai,
Aapki Raahon Mein Jab Se Humne Rakha Hai Qadam,
Humko Ye Mehsoos Hota Hai Ke Hai Manzil Pe Hum,
Kio Kya Jaane Mohabbat Ki Khushi Kya Cheez Hai,
Baad Muddat Ke Mile To, Is Tarah Dekha Mujhe,
Jis Tarah Ek Ajnabi Par Ajnabi Daale Nazar,
Aap Ne Ye Bhi Na Socha Dosti Kya Cheez Hai,
Pehle Pehle Aap Hi Apna Bana Baithe Hamein,
Phir Na Jaane Kis Liye Dilse Bhula Baithe Hamein,
Ab Hua Malum Hum Ko Berukhi Kya Cheez Hai,
Pyaar Sachha Hai Mera To Dekh Lena, Aye Sanam,
Aap Aakar To Denge Khud Meri Zanjeer-E-Gam,
Banda Parvar Jaan Lenge Bandagi Kya Cheez Hai…
Wo Tere Naseeb Ki BARSHAIN
Wo Tere Naseeb Ki BARSHAIN Kisi Or Chat Pe Baras Gai……
Kahan Aa Ke Ruknay Thay Rastay,Kahan Morr Tha Bhool Ja
Jo Mil Gaya Usay Yad Rakh Jo Nahi Mila Usay Bhool Ja
Wo Tere Naseeb Ki BARISHAIN Kisi Or Chat Pe Baras Gai
Dil-E-Bekhabar Meri Baat Sun,,, Usay Bhool Ja
Wo Jo Bisat-E-Jan Hi Ulat Gaya Wo Jo Rastay Se Palat Gaya
Usay Roknay Se Hasool Kia, Usay Mat Bula Usay Bhool Ja
Dil Ki Faryad Suno To Dar Lagta Hai
Submitted By: Sajjad Buledi
Na jane aj ye kis ka khayal aaya hai – Ahmad Hamdani
Na jane aj ye kis ka khayal aaya hai
khushi ka rang liye har malal aaya hai
wo ek shakhs ki hasil na tha jo khud ko bhi
mita kisi pe to kaisa bahal aaya hai
zuban pe harf-e-talab bhi nahi koi phir bhi
nigah-e-dost mein rang-e-jalal aaya hai
kiya na zikr bhi jis ka tamam umr kabhi
hamare kam bahut wo malal aaya hai
nahi hai tum se koi dosti bhi ab to magar
qadam qadam pe ye kaisa vabal aaya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmad Hamdani
Every Word I Love You
Every Word I Love You, You Whisper,
Is Like Rain For The Trees,
Moonlight For The Ocean,
Nectar For The Bee
Every Kiss Bestowed Upon Me
Is Like Fragrance On Flowers,
Heat Upon The Desert,
Mist From Morning Showers
Every Glance In My Direction
Is Like Flame To The Fire,
A Twinkling Of Stars,
A Spark Of Love’s Desire
Every Moment In Your Arms
Is Like Waves To The Ocean,
A Sweet Mix Of Emotion
Every Passing Year Marriage
Is Like Joy Without Measure,
A Life Without Limits,
I Love You Forever.
Udaas Mat Hua Karo
Udaas Mat Hua Karo…
Udaas Mat Kiya Karo…
Yeh Ashk Tairi Aankh K…
Udaas Shaam Ki Tarah…
Barrha Rahay Hai’n Dukh Mairay…
Adhooray Jaam Ki Tarah…
Yeh Lab Tairay Gulaab Say…
Kushbuo’n Ka Bhaid Hai’n…
Yeh Lab Tairay Rafu Karai’n…
Jo Mairay Dil May Chhaid Hai’n…
Jo Ranj-O-Gham K Saaey Hai’n…
Woh Hum Nay Khud Banaaey Hai’n…
Yeh Khuwaab To Azaab Hai’n…
Jo Aankh May Sajaaey Hai’n…
Yeh Derd Tall He Jaaey’n Gay…
Yeh Waqt Beet Jaaey Ga…
Jo Hum Nahee’n To Na Sahi…
Koi To Jeet Jaaey Ga…
Jo Taiz Ker Day Dharrkanai’n…
Woh Naam Mat Liya Karo…
Jo Ho Sakay To Aey Sanam…
Ha’nsi Khushi Jiya Karo…
Udaas Mat Hua Karo…
Udaas Mat Kiya Karo…!