Wednesday, February 20, 2013

Dastan-e-gam-e-dil unako sunai na gai – Jigar Moradabadi



Dastan-e-gam-e-dil unako sunai na gai
bat bigadi thi kuch aisi ki banai na gai
sab ko hum bhool gae josh-e-junun en lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulai na gai
ishq par kuch na chala dida-e-tar ka jadu
usane jo aag laga di wo bujhai na gai
kya uthayegi saba khak meri us dar se
ye qayamat to khud un se bhi uthai na gai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



No comments:

Post a Comment