Thursday, February 14, 2013

Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota – Bahadur Shah Zafar



Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota


khaksari ke liye garache banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota
nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota


apna divana banaya mujhe hota tune
kyon khiradmand banaya na banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
varana bulbul ko bhi paravana banaya hota
roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai ‘zafar’
aisi basti se to virana banaya hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bahadur Shah Zafar



No comments:

Post a Comment